Sahir Ludhianvi-Nazm- Khana-Aabadi

Nazm- Khana-Aabadi

Taraane Goonj Uththe Hain Fazaa Mein Shaadiyaanon Ke
Havaa Hai Itr-Aagi, Zarra Zarra Muskuraataa Hai
Magar Door Ek Afsurdaa Makaan Mein Sard Bistar Par
Koi Dil Hai Ke Har Aahat Pe Yoon Hi Chaunk Jaataa Hai
Meri Aankhon Mein Aansoo Aa Gaye, Naa-Deedah Aankhon Ke
Mere Dil Mein Koi Ghamgeen Naghma Sarsaraataa Hai
Ye Rasm-E-Inqata’e-Ahd-E-Ulfat, Ye Hayaat-E-Nau
Muhabbat Ro Rahi Hai, Aur Tamaddun Muskuraata Hai
Ye Shaadi Khaana-Aabaadi Ho, Mere Mohtaram Bhai
Mubaarak Kah Nahin Saktaa, Mera Dil Kaanp Jaataa Hai
               ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>