Sahir Ludhianvi- Nazm- Maazoori

Nazm- Maazoori

Khalwat-O-Jalwat Mein Tum Mujh Se Mili Ho Baa-Raha
Tum Ne Kya Dekha Nahin, Main Muskura Sakta Nahin
Main Ki Maayoosi Meri Fitrat Mein Daakhil Ho Chuki
Jabr Bhi Khud Par Karoon To Gungunaa Sakta Nahin

Mujh Mein Kya Dekha Ki Tum Ulfat Ka Dam Bharne Lagin
Main To Khud Apne Bhi Koi Kaam Aa Sakta Nahin
Rooh-Afzaa Hain Junoon-E-Ishq Ke Naghme Magar
Ab Main In Gaaye Hue Geeton Ko Gaa Sakta Nahin

Main Ne Dekha Hai Shikast-E-Saaz-E-Ulfat Ka Samaan
Ab Kisi Tahreek Par Barbat Uthaa Sakta Nahin
Dil Tumhaari Shiddat-E-Ahsaas Se Waaqif To Hai
Apne Ehsaasaat Se Daaman Chhuraa Sakta Nahin

Tum Meri Ho Kar Bhi Be-Gaana Hi Paao Gi Mujhe
Main Tumhaara Hoke Bhi Tum Mein Samaa Sakta Nahin
Gaaye Hain Main Ne Khuloos-E-Dil Se Bhi Ulfat Ke Geet
Ab Riyaa-Kaari Se Bhi Chaahoon To Gaa Sakta Nahin

Kis Tarah Tum Ko Banaa Loon Main Shareek-E-Zindagi
Main To Apni Zindagi Kaa Baar Uthaa Sakta Nahin
Yaas Ki Taareekiyon Mein Doob Jaane Do Mujhe
Ab Main Sha’ma-E-Aarzoo Ki Lau Badhaa Sakta Nahin

----------------------


Post a Comment

0 Comments

–>