Sahir Ludhianvi-Nazm- 'Teri Aawaaz'

Nazm- 'Teri Aawaaz'

Raat Sunsaan Thi, Bojhal Thin Fazaa Ki Saansein
Rooh Par Chhaye The Be-Naam Ghamon Ke Saaye
Dil Ko Ye Zid Thi Ke Too Aaye Tassalli Dene
Meri Koshish Thi Ke Kambakht Ko Neend Aa Jaaye

Der Tak Aankhon Mein Chubhti Rahi Taaron Ki Chamak
Der Tak Zahn Sulagtaa Rahaa Tanhaai Mein
Apne Thukraaye Hue Dost Ki Pursish Ke Liye
Tu Na Aayi Magar Is Raat Ki Pahnaai Mein

Yoon Achaanak Teri Aavaaz Kahin Se Aayi
Jaise Parbat Ka Jigar Cheer Ke Jharna Phoote
Yaa Zameenon Ki Muhabbat Mein Tadap Kar Naa-Gaah
Aasmaanon Se Koi Shokh Sitaaraa Toote

Shahad Sa Ghul Gaya Talkhaaba-E-Tanhaai Mein
Rang Sa Phail Gayaa Dil Ke Siyaah-Khaane Mein
Der Tak Yoon Teri Mastaana Sadaayein Goonjein
Jis Tarah Phool Chatakne Lagein Veeraane Mein

Too Bahut Door Kisi Anjuman-E-Naaz Mein Thi
Phir Bhi Mahsoos Kiya Main Ne Ke Too Aayi Hai
Aur Naghmon Mein Chhupa Kar Mere Khoye Hue Khwaab
Meri Roothi Hui Neendon Ko Manaa Laayi Hai

Raat Ki Sath Par Ubhre Tere Chehre Ke Nuqoosh
Vahi Chup Chaap Si Aankhein Vahi Saada Si Nazar
Vahi Dhalkaa Hua Aanchal Vahi Raftaar Ka Kham
Vahi Rah Rah Ke Lachaktaa Huaa Naazuk Paikar

Too Mere Paas Na Thi Phir Bhi Sahar Hone Tak
Tera Har Saans Mere Jism  Ko Chhooo Kar Guzraa
Qatra Qatra Tere Deedaar Ki Shabnam Tapki
Lamha Lamha Teri Khusboo Se Muattar Guzraa

Ab Yahi Hai Tujhe Manzoor To Ai Jaan-E-Qaraar
Main Teri Raah Na Dekhoon Gaa Siyah Raaton Mein
Dhoond Leingi Meri Tarsi Hui Nazrein Tujh Ko
Naghma-O-Sher Ki Umdi Hui Barsaaton Mein

Ab Tera Pyaar Sataaye Gaa To Meri Hasti
Teri Masti Bhari Aavaaz Mein Dhal Jaaye Gi
Aur Ye Rooh Jo Tere Liye Bechain Si Hai
Geet Ban Kar Tere Honton Pe Machal Jaaye Gi

Tere Naghmaat Tere Husn Ki Thandhak Le Kar
Mere Tapte Hue Maahaul Mein Aa Jaayein Ge
Chand Ghadiyon Ke Liye Hon Ke Hamesha Ke Liye
Meri Jaagi Hui Raaton Ko Sulaa Jaayein Ge
               ----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>