Gulzar- Nazm- 'Dastak'



Gulzar


Subah Subah Ik Khwab Ki Dastak Par Darwaza Khola, Dekha
Sarhad Ke Us Paar Se Kuchh Mehmaan Aaye Hain
Aankhon Se Maanoos The Saarey

Chehre Saare Sune Sunaaye
Paanv Dhoye, Haath Dhulaaye
Aangan Mein Aasan Lagwaaye

Aur Tanoor Pe Makki Ke Kuchh Mote Mote Rot Pakaaye
Potli Mein Mehmaan Mere
Pichhle Saalon Ki Faslon Ka Gud Laaye They

Aankh Khuli To Dekha Ghar Mein Koi Nahin Tha
Haath Laga Kar Dekha To Tanoor Abhi Tak Bujha Nahin Tha
Aur Hothon Pe Meethe Gud Ka Zaayqa Ab Tak Chipak Raha Tha

Khwab Tha Shayad!
Khwab Hi Hoga! !

Sarhad Par Kal Raat, Suna Hai, Chali Thi Goli
Sarhad Par Kal Raat, Suna Hai
Kuchh Khwaabon Ka Khoon Hua Hai

     -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>