Ahmad Faraz - Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaaye Gaa



Ahmad Faraz


Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaaye Gaa
Vaqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaaye Gaa

Itna Maanoos Na Ho Khilvat-E-Gham Se Apne
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhe Ga To Dar Jaaye Gaa

Tum Sar-E-Raah-E-Vafaa Dekhte Rah Jaao Ge
Aur Wo Baam-E-Rafaaqat Se Utar Jaaye Gaa

Zindagi Teri Ataa Hai To Ye Jaane Vaalaa
Teri Bakhshish Teri Dahleez Pe Dhar Jaaye Gaa

Doobte Doobte Kashti Ko Uchhaalaa De Dun
Main Nahin Koi To Saahil Pe Utar Jaaye Gaa

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayaamat Ka 'Faraz'
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaaye Gaa


----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>