Ahmad Faraz- Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri



Ahmad Faraz


Main Mar Mita To Woh Samjha Ye Inteha Thi Meri
Usay Khabar Hi Na Thi, Khaak Keemiya Thi Meri

Main Chup Huwa To Woh Samjha Ke Baat Khatm Huwi
Phir Uss Ke Baad To Aawaaz Jaa-Baja Thi Meri

Jo Taana-Zan Tha Meri Purshish-E-Dareedah Par
Usi Ke Dosh Pe Rakhkhi Huwi Quba Thi Meri

Main Uss Ko Yaad Karoon Bhi To Yaad Aata Nahin
Main Uss Ko Bhool Gaya Hoon Yahi Saza Thi Meri

Shikast De Gaya Apna Ghuroor Hi Uss Ko
Wagarna Uss Ke Muqaabil Bisaat Kya Thi Meri

Kahin Dimagh Kahin Dil Kahin Badan Hi Badan
Har Ek Se Dosti Yaari Judaa Judaa Thi Meri

Main Uss Ko Dekta Rahta Tha Hairaton Se ‘Faraz’
Ye Zindagi Se Ta’aruff Ki Ibtedaa Thi Meri


------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>