Daagh Dehlvi- Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain

Falak Deta Hai Jin Ko Aish


Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain
Jahaan Bajte Hain Naq’qaare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain

Gile Shikwe Kahaan Tak Hon Ge Aadhi Raat To Guzri
Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain

Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai
Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain

Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh
Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain

Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahin Mit’ti
Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain

----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>