Iftikhar Arif - Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya



Iftikhar Arif


Azaab Yeh Bhi Kisi Aur Par Nahin Aaya
Ke Ek Umr Chale Aur Ghar Nahin Aaya

Us Ek Khwaab Ki Hasrat Mein Jal Bujhi Aankhen
Wo Ek Khwaab Ke Ab Tak Nazer Nahin Aaya

Karen To Kis Se Karen Naa-Rasaiyon Ka Gila
Safar Tamaam Huaa Hum-Safar Nahin Aaya

Dilon Ki Baat Badan Ki Zabaan Se Kah Dete
Ye Chaahte The Magar Dil Idhar Nahin Aaya

Ajeeb Hi Tha Mere Daur-E-Gumrahi Ka Rafiq
Bichhad Gaya To Kabhi Laut Kar Nahin Aaya

Harim-E-Lafz-O-Ma’aani Se Nisbaten Bhi Rahin
Magar Saliqa-E-Arz-E-Hunar Nahin Aaya

-----------------------
–>