Iftikhar Arif- Muqaddar Hai Be-Dar-O-Deewar Rahna



Iftikhar Arif


Muqaddar Hai Be-Dar-O-Deewar Rahna
Kahen To Parha Hai Shaher Ka Mismar Rahna

Namood Khwab Ke Aur Inhedam Khwab Ke Beech
Qayamat Marhalah Hai Dil Ka Nahamwar Rahna

Dilon Ke Darmiayn Doori Ke Din Hain Aur Hum Ko
Isi Mausam Mein Tanha Bar-Sar-E-Paikar Rahna

Andheri Rat Aur Shorisgan-E-Koo-E-Dashnam
Aur Aise Mein Kisi Ek Aankh Kabardaar Rahna

Tmaasha Karne Waale Aa Rahein Hain Joq-Dar-Joq
Garohe Paa-Bajola Raqs Ko Tayyar Rahna

Hawaain Koo-E-Qatil Be-Adab Hone Lagi Hain
Chiragh-E-Jadui Sidq-O-Safa Hushyar Rahna

Yeh Dushwari To Aasani Ka Khamiyazah Hai Werna
Bahut Hi Sahel Tha Hum Ko Bahut Dushwar Rahna

Idhar Kuch Din Se Is Basti Ko Raas Aane Laga Hai
Hum Aashuftah Dilon Ko Dar-Pai- Aazaar Rahna

        ------------------
–>