Shamsi Minai- Qitaat



Shamsi Minai


Qita't

Ek Baar Aasmaan Se Zamin Tak Hum Aa Chuke
Ek Baar Hum Zameen Se Ta-Arsh Arsh Jaa Chuke
Kya Haisiat Hai Chaand Sitaron Ki Sochiye
Do Baar Gad-E-Raah Unhein Hum Bana Chuke

     -----------------------


Jab Shaakh Sama-Baar Koi Saamne Aaie
Bas Ek Nazar Dekh Liya Rah-Guzar Se
Sookhi Hui Har Shaakh Ko Seene Se Lagaya
Ho Jaaye Who Shaadaab Mere Khoon-E-Jigar Se

          --------------------------


Jo Gham Bhi Un Ke Naam Se Mansoob Ho Gaye
Hum Ko Hazaar Jaan Se Mehboob Ho Gaye
Jin Ko Daba Sake Na Yeh Haalaat-E-Rozgaar
Un Ki Nigah-E-Naz Se Maghloob Ho Gaye

     ---------------------------


Insan Ka Dil Bhi Kitna Ajeeb-O-Ghreeb Hai
Mauqe Pe Dushmani Ka Nishan Bhi Mita Diya
Jeene Pe Jis Ko Paas Bithana Muhaal Tha
Marne Ke Ba’d Kandhe Pe Us Ko Utha Liya

     ---------------------------
–>