Daagh Dehlvi- Aankhon Se Lade Gesu-E-Khamdaar Se Uljhe

Aankhon Se Lade Gesu-E-Khamdaar Se Uljhe


Aankhon Se Lade Gesu-E-Khamdaar Se Uljhe
Yeh Hazrat-E-Dil Roz Hi Do Chaar Se Uljhe

Hone Na Diya Rashq Ne Izhaar-E-Tamanna
Har Baat Mein Ham Apni Hi Guftaar Se Uljhe

Aane Na Diya Unko To Shokhi Ne Mere Saath
Har Gaam Pe Woh Tezi-E-Raftaar Se Uljhe

Bhoole Se Bhi Pahunche Na Tere Ghar Mein Kabhi Ham
Barson Yun Hi Khaar-E-Sar-E-Deewaar Se Uljhe

-----------------------------
–>