Sahir Ludhianvi - Aqaaid Waham Hain, Mazhab Khayaal-E-Khaam Hai

Aqaaid Waham Hain

 

Aqaaid Waham Hain, Mazhab Khayaal-E-Khaam Hai Saaqi
Azal Se Zehn-E-Insaan Basta-E-Auhaam Hai Saaqi

Haqeeqat Aashnaai Asl Mein Gum[Kardah Raahi Hai
Aroos-E-Aagahi Parvardah-E-Ibhaam Hai Saaqi

Mubaarak Ho Za’eefi Ko Khirad Ki Falsafa-Daani
Javaabi Be-Niyaaz-E-Ibrat-E-Anjaam Hai Saaqi

Havas Hogi Aseer-E-Halqa-E-Nek-O-Bad-E-Aalam
Muhabbat Maavara-E-Fikr-E-Nang-O-Naam Hai Saaqi

Abhi Tak Raaste Ke Pech-O-Kham Se Dil Dharakta Hai
Mera Zauq-E-Talab Shaayad Abhi Tak Khaam Hai Saaqi

Vahaan Bheja Gaya Hoon Chaak Karne Parda-E-Shab Ko
Jahaan Har Subah Ke Daaman Pe Aks-E-Shaam Hai Saaqi

Mere Saaghar Mein Mai Hai Aur Tere Haathon Mein Barbat Hai
Vatan Ki Sarzameen Mein Bhookh Se Kohraam Hai Saaqi

Zamana Bar-Sar-E-Paikaar Hai Pur-Haul Sho’lon Se
Tere Lab Par Abhi Tak Naghma-E-Khayyaam Hai Saaqi


  ----------------------
–>