Sahir Ludhianvi - Nazm- Chakle

Nazm- Chakle


Ye Kooche Ye Neelaam-Ghar Dil-Kashi Ke
Ye Lutate Hue Kaarvaan Zindagi Ke
Kahaan Hain Kahaan Hain Muhaafiz Khudi Ke
Sanaa-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Ye Pur-Pench Galiyaan Ye Be-Khwaab Baazaar
Ye Gumnaam Raahi Ye Sikkon Ki Jhankaar
Ye Ismat Ke Saude Ye Saudon Pe Takraar
Sana- Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Ta'ffun Se Pur Neem-Raushan Ye Galiyaan
Ye Masli Hui Adh-Khuli Zard Kaliyaan
Ye Bikti Hui Khokhli Rang-Raliyaan
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Wo Ujle Dareechon Mein Paayal Ki Chhan-Chhan
Tanaffus Ki Ulajhan Pe Tabale Ki Dhan-Dhan
Ye Be-Rooh Kamron Mein Khaansi Ki Dhan-Dhan
Sanaa Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Ye Goonje Huwe Qah-Qahe Raaston Par
Ye Chaaron Taraf Bheed Si Khidkiyon Par
Ye Aawaazen Khinchte Huwe Aanchalon Par
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Ye Phoolon Ke Gajre, Ye Peekon Ke Chheente
Ye Be-Baak Nazaren, Ye Gustaakh Fiqre
Ye Dhalke Badan Aur Ye Madqooq Chehre
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Ye Bhookhi Nigaahen Haseenon Ki Jaanib
Ye Badhte Huwe Haath Seenon Ki Jaanib
Lapakte Huwe Paanv Zeenon Ki Jaanib
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Yahaan Peer Bhi Aa Chuke Hain Jawaan Bhi
Tano-Mand Bete Bhi, Abbaa Miyaan Bhi
Ye Beewi Bhi Hai Aur Bahan Bhi Hai, Maan Bhi
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Madad Chaahti Hai Ye Hawwa Ki Beti
Yashodha Ki Ham Jins Raadha Ki Beti
Payambar Ki Ummat Zulaikha Ki Beti
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

Zara Mulk Ke Rah-Baron Ko Bulaao
Ye Galiyaan Ye Kooche Ye Manzar Dikhaao
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Ko Laao
Sana-Khwaan-E-Taqdees-E-Mashriq Kahaan Hain

   ----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>