Sahir Ludhianvi-Nazm - Kisi Ko Udaas Dekh Kar


Nazm - Kisi Ko Udaas Dekh Kar


Tumhein Udaas Sa Paataa Hoon Main Kai Din Se
Na Jaane Kaun Se Sadme Uthaa Rahi Ho Tum
Voh Shokhiyaan, Vo Tabassum, Vo Qahqahe Na Rahe
Har Ek Cheez Ko Hasrat Se Dekhti Ho Tum
Chhupaa Chhupaa Ke Khamoshi Mein Apni Be-Chaini
Khud Apne Raaz Ki Tashheer Ban Gayi Ho Tum

Meri Ummeed Agar Mit Gayi To Mitne Do
Ummeed Kya Hai Bas Ik Pesh-O-Pas Hai Kuchh Bhi Nahin
Meri Hayaat Ki Ghamgeeniyon Ka Gham Na Karo
Gham-E-Hayaat, Gham-E-Yak-Nafas Hai Kuchh Bhi Nahin
Tum Apne Husn Ki Ra’naayion Pe Raham Karo
Wafa Fareb Hai Tool-E-Hawas Hai Kuchh Bhi Nahin

Mujhe Tumhaare Taghaaful Se Kya Shikaayat Ho
Meri Fanaa Mere Ehsaas Ka Taqaazaa Hai
Main Jaantaa Hoon Duniya Ka Khauf Hai Tum Ko
Mujhe Khabar Hai Ye Duniya Ajeeb Duniya Hai
Yahaan Hayaat Ke Parde Mein Maut Palti Hai
Shikast-E-Saaz Ki Aavaaz Rooh-E-Naghma Hai

Mujhe Tumhaari Judaai Ka Koi Ranj Nahin
Mere Khayaal Ki Duniya Mein Mere Paas Ho Tum
Ye Tum Ne Theek Kaha Hai Tumhein Milaa Na Karoon
Magar Mujhe Ye Bataa Do Ke Kyon Udaas Ho Tum
Khafaa Na Hona Meri Jurrat-E-Takhaatub Par
Tumhein Khabar Hai Meri Zindagi Ki Aas Ho Tum

Mera To Kuchh Bhi Nahin Hai Main Ro Ke Jee Loon Gaa
Magar Khuda Ke Liye Tum Aseer-E-Gham Na Raho
Huaa Hi Kya Jo Zamaane Ne Tum Ko Chheen Liya
Yahaan Pe Kaun Huaa Hai Kisi Ka Socho To
Mujhe Qasam Hai Meri Dukh Bhari Javaani Ki
Main Khush Hoon, Meri Muhabbat Ke Phool Thukra Do

Main Apni Rooh Ki Har Ik Khushi Mitaa Loon Gaa
Magar Tumhaari Masarrat Mitaa Nahin Sakta
Main Khud Ko Maut Ke Haathon Mein Saunp Sakta Hoon
Magar Ye Baar-E-Masaaib Uthaa Nahin Sakta
Tumhaare Gham Ke Sivaa Aur Bhi To Gham Hain Mujhe
Najaat Jin Se Main Ik Lahza Paa Nahin Sakta

Ye Unche Unche Makaanon Ki Dyodhiyon Ke Tale
Har Ek Gaam Pe Bhookhe Bhikaariyon Ki Sada
Har Ek Ghar Mein Hai Iflaas Aur Bhookh Ka Shor
Har Ek Samt Ye Insaaniyat Ki Aah-O-Bukaa
Ye Kaarkhaanon Mein Lohe Ka Shor-O-Ghul Jis Mein
Hai Dafn Laakhon Ghareebon Ki Rooh Ka Naghma

Ye Shaah-Raahon Pe Rangeen Saariyon Ki Jhalak
Ye Jhonpadon Mein Ghareebon Ke Be-Kafan Laashein
Ye Maal Road Pe Kaaron Ki Rel-Pel Ka Shor
Ye Patriyon Pe Ghareebon Ke Zard-Ru Bachche

Gali Gali Mein Ye Bikte Hue Javaan Chehre
Haseen Aankhon Mein Afsurdagi Si Chhaai Hai
Ye Jang Aur Ye Mere Watan Ke Shokh Javaan
Khareedi Jaati Hain Uth-Ti Javaaniyaan Jin Ki
Ye Baat Baat Pe Qaanon-O-Zaabte Ki Giraft
Ye Zillatein, Ye Ghulaami, Ye Daur-E-Majboori

Ye Gham Bahut Hain Meri Zindagi Mitaane Ko
Udaas Rah Ke Mere Dil Ko Aur Ranj Na Do!


--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>