Meer Anees - Abbas Ali Sher-E-Nayastan-E-Najaf Hai

Abbas Ali Sher-E-Nayastan-E-Najaf Hai

Abbas Ali Sher-E-Naystan-E-Najaf Hai
Tabindah Durr-E-Taj-E-Suleman-E-Najaf Hai
Sar'w-E Chaman-E-Khizr-E-Bayaban-E-Najaf Hai
Aaeenah-E-Roo-E-Mah-E-Kanaan-E-Najaf Hai

Tifli Se Usay Ishq-E-Imaam-E-Do-Sara Tha
Shah Us Pe Fida Thay, Woh Shah-E-Deen Pe Fida Tha


Kya Dabdaba, Kya Shaan Thi, Kya Solat-O-Shaukat
Kya Husn Tha, Kya Khulq Tha, Kya Chashm-E-Murawwat
Kya Hilm Tha, Kya Ro'b Tha, Kya Quwwat-O-Qudrat
Kya Rehem Tha, Kya Adl Tha, Kya Bakhshish-O-Himmat

Jab Tak Mah-O-Khursheed Mein Yeh Noor Rahe Ga
Aalam Mein Alamdar Ka Mazkoor Rahe Ga


Allah Re Nasab Wah Ree Tauqeer Zah-E-Jaah
Dada To Abu Taalib-E-Ghaazi Sa Shehenshaah
Amm Jaffar-E-Tayyar, Hazbar-E-Saf-E-Jangaah
Aur Waalid-E-Majid Ko Jo Poochho Asad-Ullah

Fakhr Un Ko Ghulami Ka Hussain Ibn E Ali Ki
Maadar Ko Kaneezi Ka Sharaf Bint-E-Nabi Ki


Har Chand Na Tha Batan Se Zahra Ke Who Mah?Roo
Lekin Kise Hath Aata Hai Is Tarah Ka Bazoo
Bachpan Se Jo Chhora Na Tha Shabbir Ka Pehloo
Thi Taba Mein Sari Gul-E-Zahra Hi Ki Khoo Boo

Khulq Us Mein Jawaan-Mardi-E-Shah-E-Najaf Us Mein
Thay Ilm-E-Imaamat Ke Siwa Sab Sharaf Us Mein


Paidaesh-E-Abbas Ka Yeh Haal Hai Tehreer
Jab Khuld Ko Dunya Se Hooeen Fatima Rah-Geer
Yaawar Thi Zabas Maadar-E-Abbas Ki Taqdeer
Ham-Bistar-E-Haider Hooee Who Sahib-E-Tauqeer

Jis Roz Se Aaee Thi Yadullah Ke Ghar Mein
Rehti Thi Shab-O-Roz Tamanna-E-Pisar Mein


Dawa-E-Kaneezi Tha Usay Bint-E-Nabi Se
Tha Uns Bahot Aal-E-Rasool-E-Arabi Se
Matlab Tha Nah Apni Usay Rahat Talabi Se
Aagaah Thi Shabbir Ki Aali Nasabi Se

Masroof Woh Fizzah Se Bhi Khidmat Mein Siwa Thi
Sau Jaan Se Farzandon Pe Zahra Ke Fida Thi


Haider Se Kabhi Poochhti Thi Ya Shah-E-Safdar
Donon Mein Bahot Chahte Thay Kis Ko Payambar
Us Bibi Se Farmate Thay Yeh Faatah-E-Khaibar
Ulfat Thi Mohammad Ko Nawaason Se Baraabar

Yeh Donon Dil-O-Jaan-E-Rasool-E-Do-Sara Thay
Sadqe Kabhi Is Par Thay Kabhi Us Pe Fida Thay


Jab Mashaf-E-Natiq Se Suni Us Ne Yeh Taqreer
Ki Haq Se Manajaat Ke Ai Maalik-E-Taqdeer
Gar De Too Mujhe Eik Pisar Sahib-E-Tauqeer
Main Us Ko Khushi Ho Ke Karoon Fidiya-E-Shabbir

Mumtaz Ghulamon Mein Jo Gulfam Ho Mera
Zahra Ki Kaneezon Mein Bara Naam Ho Mera


Shabbir Ka Tha Naam Manajaat Mein Dakhil
Kis Tarah Na Maqbool Kare Khaliq-E-Aadil
Jald Us Ko Samar Nakhl-E-Do’a Ka Hua Haasil
Allah Ne Bakhsha Pisar Nek Shamaail

Dikhlaaee Jo Tasweer-E-Pisar Bakht-E-Rasa Ne
Abbas Ali Naam Rakha Sher-E-Khuda Ne


Shabbir Ko Abbas Ki Madar Ne Bulaya
Aur Gode Mein Farzand Ko De Kar Yeh Sunaya
Lo Wari Wafadaar Ghulam Aap Ne Paya
Naa'lain Uthaey Ga Tumhari, Maira Jaya

Aaqa Ho, Shehenshah Ho, Sardar Ho Is Ke
Malik Ho Tumheen Aur Tumheen Mukhtar Ho Is Ke


Chaati Se Laga Kar Usay Bolay Shah-E-Khush Khoo
Yeh Taq-Viyat-E-Rooh Hai Or Quwwat-E-Bazoo
Is Gull Se Wafadari Ki Aati Hai Mujhe Boo
Kitna Mere Baba Se Mushabah Hai Yeh Gul-Roo

Yeh Sher Madadgari-E-Shabbir Kare Ga
Allah Ise Sahib-E-Tauqeer Kare Ga


Jab Saat Baras Ka Hua Woh Gesuon Wala
Maan Ne Kaha Tum Ne Meri Jan Hosh Sambhala
Maani Thi Yeh Nazar Or Tha Ishi Waste Pala
Ab Tum Ko Karoon Gi Main Nisar-E-Shah-E-Wala

Haq Ulfat-E-Zahra Ka Adaa Karti Hoon Baita
Jo Ehed Kya Us Ko Wafa Karti Hoon Baita


Khush Ho Ke Yeh Ki Hazrat-E-Abbas Ne Taqreer
Yeh Ain Tamanna Hai Ke Hon Fidiyah-E-Shabbir
Hazir Hoon Karo Jald Fida Hone Ki Tadbeer
Lazim Naheen Amman Amal-E-Khair Mein Takheer

Go Umr Mein Chota Hai Gul-Andaam Tumhara
Par Khulq Mein Howay Ga Bara Naam Tumhara


Madar Ko Yeh Farzand Ki Taqreer Khush Aaee
Le Le Ke Balaaen Usay Poshak Pehnaaee
Pakre Huwe Haath Aage Yadullah Ke Laaee
Ki Arz Ke Laundi Ne Jo Daulat Hai Yeh Paaee

Tha Dain Ada Karne Ka Is Ke Mere Sar Par
Aap Is Ko Fida Keejiay Zahra Ke Pisar Par


Kuch Soch Kar Farzand Se Haider Ne Yeh Poocha
Shabbir Pe Maan Tujh Ko Fida Karti Hai Beta
Abbas! Bata De Mujhe Marzi Hai Teri Kya
Woh Ahl-E-Wafa Jor Ke Hathon Ko Yeh Bola

Main Aashiq-E-Farzand-E-Rasool-E-Do-Sara Hoon
Sau Baar Jo Zinda Hoon To Sau Baar Fida Hoon


Ro Kar Asad Ullah Ne Daikha Rukh-E-Shabbir
Jangaah Ki Aankhon Ke Tale Phir Gaee Tasveer
Piyason Ka Khayal Aa Gaya Halat Huee Tagheer
Yaad Aaee Bhari Mashk Kalaijay Pe Laga Teer

Taqat Nah Rahi Zabt Ki Ahmad Ke Wasi Ko
Nazdeek Tha Sadme Se Ghash Aa Jaey Ali Ko


Abbas Ko Liptaa Ke Gale Karne Lage Piyar
Choome Kabhi Abbas Ke Bazoo Kabhi Rukhsar
Farmate Thay Tujh Sa Naheen Dunya Mein Wafadar
Sadqe Tere Ai Dilbar-E-Zahra Ke Madadgar

Matam Taira Har Ta'ziah Khane Mein Rahe Ga
Shohrah Tairi Ulfat Ka Zamane Mein Rahe Ga


Rote Hain Malaik Yeh Azakhanah Hai Kis Ka
Jannat Se Ali Aaey Yeh Kashanah Hai Kis Ka
Har Shamma Ko Riqqat Hai Yeh Afsanah Hai Kis Ka
Gardish Mein Hai Khursheed Yeh Parwanah Hai Kis Ka

Uthte Alam Sub Ke Giraiban Phate Hain
Kis Sher Ke Bazoo Tah-E-Shamsheer Kate Hain


Yeh Lashkar-E-Gham Hai Ke Aza-Daron Ki Saff Hai
Gohar Hai Jo Har Ashk To Har Chashm Sadaf Hai
Kon Uth Gaya Kioon Rone Ka Ghull Char Taraf Hai
Haan Matam-E-Farzand-E-Shehenshah-E-Najaf Hai

Khali Naheen Majlis Mein Jagah Nohah- Garon Se
Purse Ko Alamdar Ke Aaey Hain Gharon Se


Ban Kar Hamah Tan Gosh Suno Wasf-E-Alamdar
De Sab Ko Khuda Deeda-E-Haq Been Dil-E-Baidar
Hain Bulbull-E-Gulzar-E-Sukhan Or Bhi Do Char
Insaf Karain Har Gul-E-Mazmoon Ke Talabgar

Guldasta-E-Maa'ni Ke Zara Dhang Ko Daikhain
Bandish Ko Nazakat Ko Naey Rang Ko Daikhain


Khursheed-E-Muneer-E-Falak-E-Noor Hai Abbas
Misbah-E-Shabistan-E-Sar-E-Toor Hai Abbas
Saqqa-E-Haram Khalq Mein Mashhoor Hai Abbas
Haider Ki Tarha Sahib-E-Maqdoor Hai Abbas

Lakhon Hon To Khouf Us Ko Dam-E-Razm Naheen Hai
Aisa Koi Aalam Mein Oolul-Azm Naheen Hai


Kya Kya Nah Jawan Mard Huwe Khalq Mein Paida
Laikin Koi Abbas Ki Jurrat Ko Nah Ponhcha
Har Sheher Mein Ghazi Ki Shuja’at Ka Hai Shohrah
Har Lab Pe Hai Zikr Ke Yaktaa Hai Woh Yak'taa

Aisa Nah Hooa Koi Nah Hoay Ga Jahan Mein
Jo Ahl-E-Wafa Hai Usay Roay Ga Jahan Mein


Kya Dhaak Hai, Kya Ro'ob Hai, Kya Izzat-O-Tauqeer
Hay Fatah Talab In Se Har Ik Sahib-E-Shamsheer
Maashooq-E-Sheh Uqda Kusha Ashiq-E-Shabbir
Soorat Mein Sarapa Asadullah Ki Tasweer

Hamlah Hai Wohi, Shan Wohi, Harb Wohi Hai
Panjah Hai Wohi, Zor Wohi, Zarb Wohi Hai


Dunia Mein Huma Ne Yeh Sa'aadat Naheen Paaee
Firdous Mein Toobaa Ne Yeh Riffat Naheen Paaee
Hamza Ne Yeh Himmat, Yeh Shuja'at Naheen Paaee
Jaffar Ne Yeh Tauqeer, Yeh Shoukat Naheen Paaee

Saqqa-E-Haram Hain, Khalaf-E-Shah-E-Najaf Hain
Waan Aik Buzurgi Hai To Yaan Lakh Sharaf Hain


Do Hath Jo Qurban Kiay Hisse Mein Aaee
Deen Parwari-O-Daad Rasi, Uqdah Kushaaee
Kousar To Hai Qabze Mein Tasarruf Mein Taraaee
Har Band Se Daite Hain Yeh Bandon Ko Rehaaee

Be Dast Hain Laikin Sipar-E-Peer-O-Jawan Hain
Kya Taigh Ki Hajat Hai Ke Khud Saif-E-Zaman Hain


Tharrata Hai Khursheed, Jalal-O-Hasham Aisa
Lakhon Se Bhi Hatta Naheen Sabit Qadam Aisa
Naam Aisa Dil Aisa Sharaf Aisa Karam Aisa
Jhuk Jati Hai Shakh-E-Sar-E-Toobaa Ilam Aisa

Qatre Ke Iwaz La'al-O-Gohor Daitay Hain Abbas
Daman Dar-E-Maqsood Se Bhar Daitay Hain Abbas


Kya Faiz Hai Kya Ism-E-Mubarak Mein Asar Hai
Hangam-E-Maraz Taqviyyat-E-Qalb-O-Jigar Hai
Kaisi Hi Mohim Sakht Ho Ik Aan Mein Sar Hai
Bazoo Pe Jo Bandhe To Sar-E-Dast Zafar Hai

Kaam Aata Hai Yeh Naam Museebat Mein Bala Mein
Aafat Mein Sipar Hai To Saroo Hi Hai Wagha Mein


Shamsheer-E-Wagha Faras-E-Maidan-E-Tahawwur
Jarrar, Wafadar, Oolul Azm, Bahadur
Tashbeeh Mein Aajiz Nah Ho Kis Tarah Tasawwur
Hai Aalam-E-Bala Pe Malaik Ko Tahayyur

Jab Khainch Chuka Shakl-E-Alamdar-E-Alam Ko
Khud Choom Lia Saanae Qudrat Ne Qalam Ko


Likhe Koi Kya Ulfat-E-Sardar-O-Alamdar
Daikha Na Kabhi Ashiq-O-Mashooq Mein Yeh Piyar
Bulbul Ko Bhi Yeh Gull Ki Mohabbat Naheen Zinhar
Qumri Bhi Naheen Saroo Ki Is Tarah Talabgar

Ik Aan Faraq In Mein Shab-O-Roz Naheen Hai
Parwanah Bhi Yoon Shamma Ka Dilsoz Naheen Hai


Fakhar Apna Samajhte Thay Yeh Na'lain Uthana
Meraj Thi Romaal Khare Ho Ke Hilana
Sath Aana Sada Shah Ke Or Sath Hi Jana
Thi Ain-E-Tamanna Qadam Aankhon Se Lagana

Shah Sote To Takiya Pe Nah Sar Dharte Thay Abbas
Manind-E-Qamar Phir Ke Seher Karte Thay Abbas


Farmate Thay Shabbir Ke Aey Mere Gull Andam
Tum Ne Koi Saa'at Nah Kia Raat Ko Aaram
Kehte Thay Ghulamon Ko Hai Aaram Se Kia Kaam
Rahat Hai Jo Khidmat Mein Basar Ho Seher-O-Shaam

Lazim Hai Adab Aap Hain Sardar Hamare
Jage To Zahe Taa'lae Baidaar Hamare


Farmate Thay Shah Madar-E-Abbas Se Aksar
Abbas Ali Hai Maira Shaida Maira Yawar
Piyara Na Ho Kioon Kar Yeh Mujhe Aap Ka Dilbar
Jab Samne Aata Hai To Yaad Aate Hain Haider

Is Bhai Mein Khoo Boo Hai Shah-E-Uqdah Kusha Ki
Ghar Mein Mere Tasweer Hai Yeh Shair-E-Khuda Ki


Sari Wohi Soorat, Wohi Shoukat Hai Wohi Shaan
Teenat Mein Wohi Khulq Wohi Taba Mein Ehsaan
Abbas Dilawar Pe Tasadduq Hai Meri Jaan
Manzoor Hai Yeh Roz, Hussain Us Pe Ho Qurban

Us Ko Bhi To Bachpan Se Maira Ishq-E-Dili Hai
Safdar Hai, Badadur Hai Saeed-E-Azali Hai


Woh Kehti Thi Aey Ahmad-E-Mukhtar Ke Pyare
Khadim Hain Yeh Sab Aap Hain Sardar Hamare
Zaibindah Hai Sadqe Hon Agar Chand Pe Tare
Fakhar Us Ka Hai Abbas Jo Sar Qadmon Pe Ware

Munh Us Ne Sada Paa-E-Mubarak Pe Mala Hai
Baiton Ki Tarah Aap Ki Godi Mein Pala Hai


Abbas Ki Khatir Se Mein Kehti Naheen Waari
Hai Us Ko Na Olaad Nah Jaan Aap Se Piyari
Sote Mein Bhi Rehta Hai Zabaan Par Yehee Jaari
Farzand-E-Payambar Pe Fida Jaan Hamari

Hai Ishq-E-Dili Us Ko Shah-E-Kon-O-Makaan Se
Leta Naheen Be Sillay Alaa Naam Zabaan Se


Ik Roz Kaha Main Ne Kaha Abbas Wafadar
Tum Un Ka Ghulam Aap Ko Kioon Kehte Ho Har Baar
Sadqe Gaee Yeh Tarfah Mohabbat Hai Naya Piyar
Jo Tum Ho So Woh Hain Khalaf-E-Haider-E-Karrar

Marte Huwe Haider Ne Supurd Un Ke Kia Hai
Kuch Khatt-E-Ghulami To Naheen Likh Ke Dia Hai


Itna Maira Kehna Tha Ke Bas Aankh Phira Li
Tharra Ke Kaha Baat Yeh Kya Munh Se Nikali
Tobah Karo Yaksaan Hooa Main Or Shah-E-Aali?
Main Banda-E-Nacheez Woh Konain Ke Waali

Qatra Kabhi Dariya Ke Barabar Naheen Hota
Zarrah Kabhi Khursheed Ke Hamsar Naheen Hota


Nisbat Kya Mujhe Un Se Kahaan Noor Kahaan Khak
Main Gard-E-Qadam Or Woh Taj-E-Sar-E-Aflaak
Abbas Ke Nana Bhi Hain Kya Syed-E-Lolaak?
Mere Liay Aaee Hai Kabhi Khuld Se Poshak?

Soya Hoon Kabhi Main Bhi Mohammad Ki Abaa Mein?
Meri Bhi Sana Hai Kaheen Quran-E-Khuda Mein?


Zahra Ne Mujhe Doodh Pilaya Ho To Keh Do
Kandhe Pe Mohammad Ne Bithaya Ho To Keh Do
Jibraeel Ne Jhoole Mein Jhulaya Ho To Keh Do
In Rutbon Mein Rutbah Koi Paya Ho To Keh Do

Woh Fakhar-E-Do Aalam Hai Imam-E-Do Jahan Hai
Israr-E-Ladunni Mere Seene Mein Kahaan Hai


Ik Moor Ho Kis Tarha Sulaimaan Ke Barabar
Rutbe Mein Saheefa Naheen Quraan Ke Barabar
Har Baagh Naheen Roza-E-Rizwaan Ke Barabar
Kioon Kar Ho Soha Nayyar-E-Tabaan Ke Barabar

Sar Qaimmah-E-Arsh Talak Jaa Naheen Sakta
Kaabe Ka Sharaf Koi Makaan Paa Naheen Sakta


-------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>