Aankhen Shayari

aankhen shayari



Kis Qadar Hain Teri Aankhen Be-Baak
In Se Fitne Bhi Haya Karte Hain

[Daagh]

--------------------------------

‘Meer’, Un Neem-Baaz Aankhon Mein,
Saari Masti Sharaab Ki Si Hai

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Khilna Kam Kam Kali Ne Seekha Hai,
Teri Aankhon Ki Neem-Khwaabi Se.

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Kin Neendon Ab Tu Soti Hai, Ai Chashm-E-Giriya Naak,
Mizhgaan To Khol, Shahr Ko Sailaab Le Gayaa.

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Chashm-E-Najm-E-Sapahir Jhapke Hai,
Sadqe Is Ankhriaan Ladaane Ke.

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Ek Sab Aag, Ek Sab Paani,
Deeda-O-Dil Azaab Hain Donon.

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Ashk-E-Tar, Qatra-E-Khoon, Lakht-E-Jigar, Paara-E-Dil,
Ek Se Ek Adoo Aankh Se Behtar Nikla.

[Mir Taqi Mir]

--------------------------------

Kal Lad Gain Kooche Main Aankhon Se Meri Aankhen
Kuchh Zor Hi Aapas Main Do Do Huin Samaghaaten

[Sauda]

--------------------------------

Aalooda Chashm Mein Na Hui Surma Se Nigah,
Dekha Jahaan Se Saaf Hi Ahl-E-Safa Chale.

[Zauq]

--------------------------------

Jo Chashm Ke Be Nam Ho, Ho Khwar To Behtar,
Jo Dil Ke Ho Be-Daagh, Jal Jaaye To Achcha.

[Zauq]

--------------------------------

Aankhen Meri Talwon Se Woh Mal Jaaye To Achcha,
Hai Hasrat-E-Paa-Bos, Nikal Jaaye Tp Achcha.

[Zauq]

--------------------------------

Aankhon Mein Raha Dil Mein Utar Kar Nahin Dekha
Kishti Ke Musafir Ne Samandar Nahin Dekha

Woh Shakhs Mere Masaayal Ko Samajh Nahin Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Mein Samandar Nahin Dekha

[Bashir Badr]

--------------------------------

Shab Tum Jo Bazm-E-Ghair Men Aankhen Chura Gaye
Khoye Gaye Ham Aise Ke Aghyaar Paa Gaye

[Momin]

--------------------------------

Maza Barsat Ka Chaaho To In Aankhon Mein Aa Baitho
Siyahi Hai, Safedi Hai, Shafaq Hai, Abr-E-Baaraan Hai

[Sudarshan Fakhir]

--------------------------------

‘Fani’, Jis Men Aansoo Kya, Dil Ke Lahoo Ka Kaal Na Tha,
Haaye Woh Aankh Ab Paani Ki Do Boondon Ko Tarsati Hain

[Fani Badayuni]

--------------------------------

Ujri Hui Aankhon Mein Raunaq Tere Dam Se Thi
Veeran Hain Har Basti Veerane Ko Kya Kahiye

[Fani Badayuni]

--------------------------------

Din Mein Hum Ko Dekhne Waalo, Apne Apne Hain Auqaat,
Jaao Na Tum In Khushk Aankhon Par, Hum Raaton Ko Ro Len Hain.

[Firaq Gorakhpuri]

--------------------------------

Ho Na Beena To Farq Phir Kya Hai,
Chashm-E-Insaan-O-Chashm-E-Nargis Mein.

[Hali ]

--------------------------------

Main To Raaz-E-Dil Chhipaaoon, Par Chhipa Rahne Bhi De,
Jaan Ki Dushman Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui.

[Ameer Minai]

--------------------------------

Aankh Ki Tasweer Sar-Naama Pe Kheenchi Hai Ke Ta,
Us Pe Khul Jaaye Ke Mujh Ko Hasrat-E-Deedaar Hai.

[Mirza Ghalib]

--------------------------------

Laakh Ummeed Khilaati Rahe Aankhon Mein Gulaab,
Iss Samundar Ko Gulistaan Nahin Hona Hai.

[Shahid Jameel]

--------------------------------

Us Ki Aankhen Hi Kaj-Nazar Thin ‘Adam’
Dil Ke Parde To Hil Gaye Hote

[Abdul Hameed Adam]

--------------------------------

Jab Bhi Aankhen Milin Un Aankhon Se
Dil Ne Dil Ka Mizaaj Poocha Hai

Phir Meri Aankh Ho Gayi Namnaak
Phir Kisi Ne Mizaaj Poocha Hai

[Majaz]

--------------------------------

Saffaak Se Yeh Abru Yeh Ghazab-Naak Si Aankhen
Ik Daagh Sa Har Qalb-E-Pur Armaan Mein Dekha

[Majaz]

--------------------------------

Ai Josh-E-Giriyaan Dekh Na Karna Khajil Mujhe,
Aankhen Meri Zaroor Hain, Aansoo Paraaye Hain

[Khumar Barabankvi]

--------------------------------

Basti Bhi Samander Bhi Bayaabaan Bhi Mera Hai
Aankhen Bhi Meri Khwab-E-Pareshaan Bhi Mera Hai

[Iftikhar Arif]

--------------------------------

Kis Ko Hamaare Haal Se Nisbat Hai Kya Karen
Aankhen To Dushmanon Ki Bhi Pur-Nam Hain Dosto

]Ahmad Faraz]

--------------------------------

Aankhen Jhukeen Ki Dast-E-Tihi Par Nazar Gayee
Bachche Ke Wal-Walon Ki Dilon Tak Khabar Gayee

[Josh Malihabadi]

--------------------------------

Honton-Se Muskuraate Huye Ghum Ko Kyaa Pataa,
Aankhon Ne Aansuon Ko Sambhaala Hai Kis Tarah.

[Shahid Jameel]

--------------------------------

Jaam-E-Sharbat Hain Tumhaari Aankhen,
Khud Wazaahat Hain Tumhaari Aankhen

Main Tumhen Hosh May Laa Loon To Kahoon,
Kya Qayaamat Hain Tumhaari Aankhen.

[Aslam Rahi]

--------------------------------

Apni Aankhon Me Basaa Lo Mujh Ko,
Khoob-Soorat Hain Tumhaari Aankhen.

[Aslam Rahi ]

--------------------------------

Har Aankh Yeh Chaahe Hai Ke Dekhe Us Ko
Dhekhe Se Jiya Jaaye Hai Phir Kya Keeje

Aalaa Haie Bahut Zauq-E-Samaa’t Jin Ka
Kam Un Se Sunaa Jaaye He Phir Kya Keeje

[Aslam Rahi]

--------------------------------

Qaatil Ki Is Ada Pe Bhi Qurbaan Jaayie,
Khud De Ke Zahar Aankkhon Mein Aansoo Bhi Bhar Liye,

Thi Kaun Si Khata Ke Mili Jis Ki Yeh Saza,
Hum Ne To Umr Bhar Tere Naqsh-E-Qadam Liye.

[Azra Adil Rashid]

--------------------------------

Hum Jaante Hain Dil Mein Tumhaare Nahin Hain Hum,
Jo Khat Tumhari Aankhon Mein The Hum Ne Parh Liye.

[Azra Adil Rashid]

--------------------------------

Aankh Parhti Hai Kahin Paaon Kahin Parhta Hai,
Sab Ki Hai Un Ko Khabar Apni Khabar Kuch Bhi Nahin.

[Alam Tab Tashna]

--------------------------------

Meri Aankhon Ko Agar Band Bhi Kar Degi Thakan
Taza-Dam Ho Ke Teri Aankhon Se Jhakoon Ga Main!

[Perwez Shahidi]

--------------------------------

Kis Jurm Mein Chheeni Gayeen Mujh Se Meri Aankhain
Unn Mein To Koi Khwaab Sajaya Bhi Naheen Tha

[Kausar Samreen]

--------------------------------

Un Ki Aankhon Mein Be-Rukhi Ka Rang,
Mere Hothon Pe Iltija Ki Lahar.

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Kaun Deta Hai Dar-E-Khwab Pe Dastak Shab-Bhar
Kis Ka Chehra Meri Aankhon Mein Basaa Rahta Hai

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Abhi To Aankh Ladi Hai, Zara Thahar Jaao
Haseen Raat Padi Hai, Zara Thahar Jaao

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Aankhon Mein Us Ki Yaad Ki Tasweer-E-Gham Na Ho,
Aisa Hua Nahin, Kabhi Aisa Hua Nahin.

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Takhaiyyul Kya Kisi Shaaheen Ki Bedaar Aankhen Hain,
Ki Band Aankhon Se Akhtar Kya Nahin Hum Dekh Lete Hain.

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Khwabon Mein Raat Aaya Tha Kis Dasht Se Ghazaal
Aankhen Badi Haseen Theen, Chehra Bada Buland

[Kalim Akhtar]

--------------------------------

Meri Aankhon Ko Agar Band Bhi Kar Degi Thakan,
Taza-Dam Ho Ke Teri Aankhon Se Jhaakoon Ga Main.

[Perwez Shahidi]

--------------------------------

Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aankhon Me Aansoo Hain
Jo Tu Samjhe To Moti Hai, Jo Na Samjhe To Pani Hai

--------------------------------

Wo Jin Me Chamakte The Wafa K Moti
Yaqeen Jano Wo Ankhein Hi Bewafa Nikli

--------------------------------

Shayad Use Aziz Thein Aankhen Meri Bahut
Wo Mere Naam Apni Basaarat Bhi Kar Gaya

Dil Ka Nagar Ujaarne Wala Hunar-Shanaas
Ta’meer Hauslon Ki E’maarat Bhi Kar Gaya

--------------------------------

Her Koi Ro Ke Dikhaaye Ye Zaruri To Nahin
Khushk Ankhon Mein Bhi Sailaab Hua Karte Hain

--------------------------------

Teri Zulfon Ke Bikharne Ka Sabab
Aankh Kehti Hai Terey Dil Mein Talab Hai Koi
----------------

Teri Soorat Se Hai Aalam Mein Bahaaron Ko Sabaat
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai

------------------

Le Gaya Chheen Ke Aankhen Meri
Mujh Se Kyon Wa’da-E-Farda Kar Ke

-----------------

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai M’asoom Namazi
Palken Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthti Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Nam-Naak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Hui Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Hui Gham-Geen Si Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachchaai
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayaat

[Gulzar]

--------------------------------

Paas Hote To Koi Sharaarat Karte,
Tujhe Lay Kar Baanhon Mein Muhabbat Karte

Dekhtay Teri Aankhon Mein Neend Ka Khumaar,
Apni Khoyi Hui Neendon Ki Shikayat Karte.

[Shahid Awan]

--------------------------------

Kabhi Dharti Pe Sitaron Ka Gumaan Hota Hai,
Kabhi Aakash Pe Kharon Ka Gumaan Hota Hai,

Teri Aankhen Kabhi Sagar Ki Tarah Lagti Hain,
Aur Kabhi In Pe Kinaaron Ka Gumaan Hota Hai.

[Fakhira Batool]

--------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Kuchi Jewels is a project of Gem & Gems which is a leading exporter since 2005 to onwards in all over the world. Our company has experienced, educated and motivated staff. Our main goal is to meet the international standard B2C and B2B export target with competitive prices and high quality products. pearl necklace australia , pearl necklace chile ,

    ReplyDelete

–>