Jaun Elia - Nazm - Darakht-e-Zard

jaun elia nazm-darakht e zard


(A nazm by Jaun Elia for his son Zaryun)

Nahin Ma'loom Zaryun Ab Tumhari Umr Kya Hogi
Wo Kin Khwaabon Sey Jaaney Aashna, Na-Aashna Hogi
Tumhare Dil Ki Is Duniya Mein Kaisey Silsiley Hon Ge
Tumhein Kaisey Gumaan Honge, Tumhein Kaisey Giley Honge
Tumhari Subhh Jaaney Kin Khayaalon Sey Nahaati Ho
Tumhari Shaam Jaaney Kin Malaalon Sey Nibhati Ho
Na Jaane Kaun Dosheeza Tumhari Zindagi Hogi
Na Jaane Us Ki Kya Baayestagi Shayastagi Hogi
Usey Tum Phone Kartey Aur Khat Likhtey Rahey Ho Ge
Na Jaane Tum Ne Kitni Kam Ghalat Urdu Likhi Hogi

Yeh Khat Likhna To Daqiyanoos Ki Peerhee Ka Qissa Hai
Yeh Sinf-E-Nasr Hum Na Baalighon Ke Funn Ka Hissa Hai
Wo Hansti Ho To Shayad Tum Na Reh Paate Ho Haalon Mein
Garha Nannha Sa Pad Jaata Ho Shayad Uss Ke Gaalon Mein
Guman Yeh Hai Tumhari Bhi Rasaai Na-Rasaai Ho
Woh Aayi Ho Tumhare Paas, Lekin Aa Na Paayi Ho

Woh Shayad Maaidey Ki Gand Biryaani Na Khati Ho
Woh Naan-E-Be-Khameer Maida Kam Tar Hi Chabaati Ho
Woh Dosheeza Bhi Shayad Daastaanon Ki Ho Dil-Daada
Usey Ma’loom Hoga Zaal Tha Sohraab Ka Daada
Tahamtan Ya’ni Rustam Tha Garaami Saam Ka Waaris
Garaami Saam Tha Sulb-E-Naremaani Ka Khush Zaada

Yeh Meri Ek Khwaahish Hai Jo Mushkil Hai

Woh Najm Aafandi-E-Marhoom Ko To Jaanti Hogi
Woh Nauhon Ke Adab Ka Tarz To Pehchaanti Hogi
Usey Kadd Hogi Shayad Un Sabhi Sey Jo Lapaari Hon
Na Honge Khwaab Uska Jo Gawaiyye Aur Khilaari Hon

Hadaf Honge Tumhara Kaun,Tum Kis Ke Hadaf Hoge
Na Jaaney Waqt Ki Paikaar Mein, Tum Kis Taraf Hoge
Hai Runn Yeh Zindagi, Ik Runn Jo Barpa Lamha Lamha Hai
Humein Iss Runn Mein, Jo Bhi Ho, Kisi Jaanib To Hona Hai
So Hum Bhi Iss Nafas Tak Hain Sipaahi Ek Lashkar Ke
Hazaaron Saal Sey Jeetey Chaley Aaye Hain Mar Mar Ke
Shahood Ik Funn Hai Aur Meri Adaawat Be-Funon Sey Hai
Meri Paikaar Azal Sey Sab Tanasub Dushmanon Sey Hai
Bihar Aaqaa-E-Baabil Hai Do-Aaba Bechta Kya Hai
Yeh Khusro, Meer, Ghalib Ka Kharaaba Bechta Kya Hai
Hamara Ghalib-E-A’zam Tha Chour Aaqaa-E-Bedil Ka
So Rizq-E-Fakhr Ab Hum Kha Rahey Hain Meer-E-Bismil Ka
Sidhaart Bhi Tha Sharminda Ke Do-Aabey Ka Baasi Tha
Qasam Ahsaas Ki Woh To Gaya Sey Iltemaasi Tha
Tumhein Ma’loom Hai Urdu Jo Hai ‘Paali’ Sey Nikli Hai
Woh Goya Uski Hi Ek Pur-Numo Daali Sey Nikli Hai

Yeh Karwahat Ki Baatein Hain, Mithaas In Ki Na Poochho Tum
Nam-E-Labb Ko Tarasti Hain, So, Pyaas Inki Na Poochho Tum
Yeh Ek Do Jeron Ki Ek Chaul Hai Aur Chaul Mein Kya Hai
Awaam-Un-Naas Sey Poochho, Bhala Alcohol Mein Kya Hai
Yeh Ta’n-O-Tanz Ki Harza-Saraayi Ho Nahin Sakti
Ke Meri Jaan, Mere Dil Sey Rishta Kho Nahin Sakti

Nasha Charhney Laga Hai Aur Charhna Chahiye Bhi Tha
Abass Ka Nirkh To Is Waqt Barhna Chahiye Bhi Tha
Ajab Be-Maajra, Be-Taur, Be-Zaraana Haalat Hai
Wujood Ek Wehm Hai Aur Wehm Hi Shayad Haqeeqat Hai

Sar-E-Guftaar Kya Tha? Sar Tha Aur Guftaar Hi Ka Tha
Gharaz Jo Haal Tha Woh Nafs Ke Bazaar Hi Ka Tha
Hai ‘Zey’ Bazaar Mein To Darmiyaan, Zaryun Mein Awwal
To Yeh Ibrafaneeqi Khelte Harfon Sey They Har Pal
To Yeh Zaryun Jo Hai, Kya Yeh Aflatoon Hai Koi
Ke Bu Sehl-E-Maseehi Ki Yeh Ik Ma’joon Hai Koi
Amaan, Zaryun To Zaryun Hai, Ma’joon Kyun Hota
Hain Ma’joonen Mufeed Arwaah Ko Ma’joon Yun Hota
Suno! Tafreeq Kaisey Ho Bhala Ashkhaas-O-Ashiya Mein
Bahot Janjaal Hain Par Ho Yahan To “Ya” Mein Aur “Ya” Mein

Tumhari Jo Hamasa Hai Bhala Uska To Kya Kehna
Hai Shayad Mujh Ko Saari Umr Uss Ke Sehr Mein Rehna
Magar Mere Ghareeb Ajdaad Ne Bhi Kuch Kiya Hoga
Bahot Tuchcha Sahi Un Ka Bhi Koi Maajra Hoga
Yeh Hum Jo Hain, Hamari Bhi To Hogi Koi Nautanki
Hamara Khoon Bhi Sach-Much Ka Sehney Par Baha Hoga

Hai Aakhir Zindagi Khoon-Az-Bun-E-Naakhun Bar-Aawar-Tar
Qayamat Saaneha Matlab Qayamat Faajeya-Parwar
Nahin Ho Tum Mere, Mera Farad Nahin Mera
So Main Ne Sahat-E-Deeroz Mein Dala Hai Ab Dera
Mere Deeroz Main Zehr-E-Hilahal Tegh-E-Qatil Hai
Mere Ghar Ka Wohi Sir Nam Tar Hai Jo Bhi Bismil Hai
Guzisht-E-Waqt Sey Paiman Hai Apna Ajab Sa Kuch
So Ek Ma’mool Hai Imran Ke Ghar Ka Ajab Sa Kuch

Hasan Naami Hamare Ghar Mein Ik Suqraat Guzra Hai
Woh Apni Nafi Sey Asbaat Tak Ma’shar Ke Pahuncha Hai
Ke Khoon-E-Raayegaan Ke Amr Mein Parna Nahin Un Ko
Ke Bas Yun Hi Laraayi Ke Liye Larna Nahin Un Ko
Layeen-Ud-Dahr Kore Mulk Ki O Naayla-Zaade
Asa Ki Teer Sey Paa-E-Hasan Ko Aur Eiza Dey
Woh Sood-E-Haal Sey Yaksar Ziyaan-Kaarana Guzra Hai
Woh Be-Yaawar Raha Hai Aur Be-Yaraana Guzra Hai
Talab Thi Khoon Ki, Qay Ki, Usey Aur Be-Nihayat Thi
So, Fauran Bint-E-Ash’as Ka Pilaya Pee Gaya Hoga
Wo Ik Lamhey Ke Andar Sarmadeeyat Ji Gaya Hoga

Tumhari Arjumand Ammi Ko Main Bhoola Bahot Din Mein
Main Un Ke Rang Ki Taskeen Sey Nimta Bahot Din Mein
Wohi To Hain, Jinhon Ne Mujhko Paiham Rang Thukwaya
Woh Kis Ragg Ka Lahu Hai Jo Miyan Main Ne Nahin Thooka
Lahu Aur Thookna Uska, Hai Karobaar Bhi Mera
Yehi Hai Saakh Bhi Meri Yehi Me’yaar Bhi Mera
Main Woh Hoon Jis Ne Apne Khoon Sey Mausam Khilaaye Hain
Na Jaane Waqt Ke Kitney Hi Aalam Aazmaaye Hain

Main Ik Taareekh Hoon Aur Meri Jaane Kitni Faslein Hain
Meri Kitni Hi Far’ein Hain, Meri Kitni Hi Aslein Hain
Hawadis Majra Hi Hum Rahe Hain Ik Zamaane Sey
Shadayad Saneha Hi Hum Rahe Hain Ik Zamaane Sey
Hamare Ghair Aur Hum Jaane Kab Se Bain Dayam Hain
Hamesha Sey Bapa Ek Jung Hai, Hum Us Mein Qayam Hain
Hamari Jung Khair-O-Shar Ke Bistar Ki Hai Zaeeda
Ye Charqh-E-Jabr Ke Dawwar-E-Mumkin Ki Hai Girweeda
Ladaai Ke Liye Maidan Aur Lashkar Nahin Lazim
Sanaan-O-Gurz-O-Shamsheer-O-Tabar,  Khanjar Nahin Lazim
Bas Ek Ehsaas Lazim Hai, Ke Hum Bo’deen Hain Donon
Ke Nafi-E-Ain-E-Ain-O-Sar-Ba-Sar Ziddain Hain Donon
Luis Urbina Ne Meri Ajab Kuch Gham-Gusari Ki
Ba-Sad Dil Danishi Guzran Apni Mujh Pe Tari Ki
Bahut Is Ne Pilaayi Aur Peeney Hi Na Di Mujh Ko
Palak Tak Is Ne Marne Ke Liye Jeeney Na Di Mujh Ko
Main Tere Ishq Main Ranjeeda Hoon, Han Ab Bhi Kuch Kuch Hoon
Mujhe Teri Khayanat Ne Ghazab Majrooh Kar Dala
Magar Taish-E-Shadeedana Ke Ba’d Akhir Zamane Mein
Raza Ki Jawedana Jabr Ki Naubat Bhi Aa Pahunchi

Mohabbat Ek Paspaai Hai Pur-Ahwaal Haalat Ki
Mohabbat Apni Yak-Tauri Mein Dushman Hai Mohabbat Ki
Sukhan Maal-E-Mohabbat Ki Dukaan Aaraai Karta Hai
Sukhan Sau Tarha Sey Ik Ramz Ki Ruswaai Karta Hai
Sukhan Bakwaas Hai Bakwaas Jo Thahera Hai Funn Mera
Woh Hai Ta’beer Ka Aflaas Jo Thahera Hai Funn Mera
Sukhan Ya’ni Labon Ka Funn, Sukhanwar Yani Ek Pur Funn
Sukhanwar Eezad Achcha Tha Ke Adam Ya Phir Ahremann
Sukhan Ya’ni Labon Ka Funn Magar Eezad Ke Labb Yaani
Mazeed Aan Ke Sukhan Mein Waqt Hai, Waqt Ab Sey Ab Ya’ni

Kuch Aisa Hai, Yeh Main Jo Hoon, Yeh Main Apney Siwa Hoon Main
So, Apney Aap Mein Shayad Nahin Waqey Hua Hoon Main
Jo Honey Mein Ho, Woh Har Lamha Apna Ghair Hota Hai
Ke Honey Ko To Honey Sey Ajab Kuchh Bair Hota Hai
Yun Hi, Bas Yun Hi Zaino Ne Yaka-Yak Khud-Khushi Kar Li
Ajab Hiss-E-Zarafat Ke They Maalik Yeh Rawaaqi Bhi


Bideh Yara, Azaan Badeh, Ke Dehqaan Parwirdd Aan Raa
Ba Sozed Har Mata-E-Intema-E-Dood-Manaan Raa
Ba Sozed Een Zameen-E-Aitebar-O-Aasmanaan Raa
Ba Sozed Jaan-O-Dil Raham Biyasad Dil-O-Jaan Raa
Dil-O-Jaan Aur Aasaaish, Yeh Ek Kofi Tamaskhur Hai
Humaq Ki Abqariyat Hai, Safahat Ka Tafakkur Hai
Humaq Ki Abqariyat Aur Safahat Ke Tafakkur Ne
Hamein Tazee’-E-Mohlat Ke Liye Ikhwaan Bakhshe Hain
Aur Aflatoon-E-Aqdas Ne Hamein A’yaan Bakhshe Hain

Suno Zaryun Tum To Ain-E-Aeyaan-E-Haqeeqat Ho
Nazar Sey Door Manzar Ka Sar-O-Saamaan-E-Sarwat Ho
Hamari Umr Ka Qissa Hisaab-Andoz-E-Aani Hai
Zamaani Zad Mein Zan Ki Ek Gumaan-E-Laazamani Hai
Gumaan Yeh Hai Ke Saari Zindagi Ek Pur-Hyani Hai
Fana Har Aan Baqi Hai, Baqa Har Aan Faani Hai
Kahani Sunney Waley Jo Bhi Hain Wo Khud Kahani Hain
Kahani Kehney Wala Ek Kahani Ki Kahani Hai
Yaqeen Shayad Kahin Thehrey Gumaan Jitney Hain Fani Hain
Paya Pay Yeh Guzarish, Yeh Guman Aur Yeh Giley Kaise
Sila Sozi To Mera Funn Hai, Phir Iss Ke Siley Kaise

To Main Kya Keh Raha Tha Ya’ni Kya Kuch Seh Raha Tha Main
Amaan, Haan, Mez Par Ya Mez Par Sey Beh Raha Tha Main
Ruko, Main Be-Sar-O-Paa Apney Sar Sey Bhaag Nikla Hoon
Mera Main Laag Mein Tha, Is Sey Main Be-Laag Nikla Hoon

Ilaya Ayyuhal Abjad Zara Ya’ni, Zara Thehro
‘There Is An Absurd I, In Absurdity’ Shaayad
Kahin Apney Siwa, Ya’ni Kahin Apney Siwa Thehro
Tum Is ‘Absurdity’ Mein Ek Radeef, Ek Qafiya Thehro

Radeef-O-Qafiya Kya Hain, Shikast-E-Naa-Rawa Kya Hai
Shikast-E-Naa-Rawa Ney Mujhko Paara Paara Kar Dala
Ana Ko Meri Be-Andaza Tar Be-Chara Kar Dala
Main Apney Aap Mein Haara Hoon Aur Khaarana Haara Hoon
Jigar Chaakaana Haara Hoon, Dil Afgaarana Haara Hoon
Main Haara Hoon Main Haara Hoon Main Becharaana Haara Hoon

Jisey Funn Kehte Aaye Hain Woh Hai Khoon-E-Jigar Apna
Magar Khoon-E-Jigar Kya Hai Woh Hai Qattaal Tar Apna
Koi Khoon-E-Jigar Ka Funn Zara Ta’beer Mein Laaye
Magar Main To Kahoon Woh Pehle Mere Saamne Aaye
Wojood-O-Sher Yeh Donon Define Ho Nahin Saktey
Kabhi Mafhoom Mein Hargiz Yeh Kaayin Ho Nahin Saktey
Hisaab-E-Harf Mein Aata Raha Hai Bas Hasab Inka
Nahin Ma’loom Eezad Eezdaan Ko Bhi Nasab Inka
Hai Eezad Eezdaan Ek Ramz Jo Be-Ramz-E-Nisbat Hai
Miyan Ek Haal Hai, Ek Haal Jo Be-Haal-E-Haalat Hai

Na Jaaney Jabr Hai Haalat Ke Haalat Jabr Hai, Ya’ni
Kisi Bhi Baat Ke Ma’ni Jo Hain Un Ke Hain Kya Ma’ni
Wujood Ek Jabr Hai Mera, Adam Auqaat Hai Meri
Jo Meri Zaat Hargiz Bhi Nahin, Woh Zaat Hai Meri
Main Roz-O-Shab Nigarish Kosh Khud Apney Adam Ka Hoon
Main Apna Aadmi Hargiz Nahin Lauh-O-Qalam Ka Hoon

Hai Karwahat Mein Yeh Bheegey Huwe Lamhe Ajab Se Kuch
Sarasar Be Hisabana,  Sarasar Be-Sabab Se Kuch
Sarabon Ne Sarabon Par Bahut Baadal Hain Barsaaye
Sharabon Ne Moabir Ke Tamooz-O-Ba’l Nehlaye
Yaqeenan Qafia Hai Ya Wah Farmai Ka Sar-Chashma
Na Jaane A’rba Kyon Aaye, Kyon Mustarba Aaye
Mazar Ke Log To Chhaane Hi Wale Thay, So Woh Chhaaye
Mere Jadd Hashim-E-Aala Gaye Ghaza Mein Dafnaaye
Main Naqe Ko Pilaoon Ga, Mujhe Waan Tak Woh Le Jaaye
Ledulil-Maut-E-Wabnul-Kharabe Sun Kharabati
Woh Mard-E-Aus Kahta Hai, Haqeeqat Hai Khurafati

Yeh Zalim Teesra Peg Ek Aqaneemi Badayat Hai
Uloohi Harza-Farmaayi Ka Sar-E-Toor-E-Luknat Hai
Bhala Horab Ki Jhari Ka Woh Ramz-E-Aatsheen Kya Tha
Magar Horab Ki Jhari Kya, Yeh Kis Ki Kis Se Nisbat Hai
Pa-E-Nisbat Ke Bahut Se Qafiye Hain Hai Gila Is Ka
Magar Tujh Ko To Yaara Qafion Ki Be Tarha Lat Hai

Guman Yeh Hai Ke Shayad Behr Se Kharij Nahin Hoon Main
Zara Bhi Haal Ke Aahang Mein Harij Nahin Hoon Main
Tana Tan Tan, Tana Tan Tan, Tana Tan Tan, Tana Tan Tan
Tana Tan Tan, Nahin Mehnat-Kashon Ka Tan, Na Pairahan
Na Pairahan, Na Poori Adhi Roti Ab Raha, Saalan
Ye Saale Kuch Bhi Khane Ko Na Payen, Gaalian Khayen
Hai Un Ki Be-Hisi Mein Ek Muqaddas Tar Harami-Pan

Magar Aahang Mera Kho Gaya Shayad, Kahan Jaaney
Koi Mauj-E-, Koi Mauj-E-,Shumal-E-Jawedaan Jaaney
Shumal-E-Jawedaan Ke Apne Hi Qisse They Jo Guzre
Woh Ho Guzre, To Phir Khud Main Ne Bhi Jana, Woh Ho Guzre
Shumal-E-Jaawedaan Apna, Shumale-Jaawedaan-E-Jaan
Hai Ab Bhi Apni Poonji Ek Milal-E-Jaawedaan-E-Jaan

Nahin Ma’loom Zaryun Ab Tumhari Umr Kya Hogi
Yehi Hai Dil Ka Mazmoon, Ab Tumhari Umr Kya Hogi
Hamare Darmiyan Ab Ek Be-Jaa Tar Zamana Hai
Lab-E-Tashna Pe Ek Zehr-E-Haqeeqat Ka Fasana Hai
Ajab Fursat Mayassar Aayi Hai Dil-Jaan Rishte Ko
Na Dil Ko Aazmana Hai Na Jaan Ko Azmana Hai

Kaleed-E-Kisht-Zar-E-Khwab Bhi Gum Ho Gayi Aakhir
Kahan Ab Jada-E-Khurram Mein Sar-Sabzaana Jaana Hai
Kahoon To Kya Kahoon, Mera Yeh Zakhm-E-Jawedana Hai
Wohi Dil Ki Haqeeqat Jo Kabhi Jaan Thi Woh Ab Aakhir
Fasana-Dar-Fasana, Dar-Fasana, Dar-Fasana Hai

Hamara Bahami Rishta Jo Hasil Tar Tha Rishton Ka
Hamara Taur-E-Bezari Bhi Kitna Walehana Hai
Kisi Ka Naam Likha Hai Meri Sari Bayazon Per
Main Himmat Kar Raha Hoon, Ya’ni Ab Is Ko Mitana Hai

Hansi Aati Hai Ab Woh Kis Qadar Na-Wajibaana Hai
Yeh Ek Sham-E-Azaab-E-Be-Sarokarana Halat Hai
Huwe Jaane Ki Halat Main Hoon, Bas Fursat Hi Fursat Hai
Nahin Ma’loom Tum Is Waqt Kis Ma’loom Mein Ho Ge
Na Jaane Kaun Se Ma’ni Mein Kis Mafhoom Mein Ho Ge
Main Tha Mafhoom, Naa-Mafhoom Mein Gum Ho Chuka Hoon Main
Main Tha Ma’loom, Naa-Ma’loom Mein Gum Ho Chuka Hoon Main

Nahin Ma’loom Zaryun Ab Tumhari Umr Kya Hogi
Mere Khud Se Guzarne Ke Zamane Se Siwa Hogi
Mere Qamat Se Ab Qamat Tumhara Kuch Fuzoon Hoga
Mera Farda Mere Deeroz Se Bhi Khush-Numo Hoga
Hisab-E-Mah-O-Saal Ab Tak Kabhi Rakha Nahin Main Ne
Kisi Bhi Fasl Ka Ab Tak Maza Chakhkha Nahin Main Ne

Main Apne Aap Mein Kab Rah Saka, Kab Rah Saka Aakhir
Kabhi Ek Pal Ko Bhi Apne Liye Socha Nahin Main Ne
Hisab-E-Mah-O-Saal-O-Roz-O-Shab, Woh Sokhta Bodash
Musalsal Jaan-Kani Ke Haal Mein Rakhta Bhi To Kaise

Jise Yeh Bhi Na Ho Ma’loom Woh Hai Bhi, To Kyon Kar Hai
Koi Halat Dil-E-Paamaal Mein Rakhta Bhi To Kaise
Koi Nisbat Bhi Ab To Zaat Se Bahir Nahin Meri
Koi Bistar Nahin Mera, Koi Chadar Nahin Meri

Ba-Haal-E-Nashta Sad Zakhm-Haa-O-Khoon-Haa Khurdam
Ba-Hardam Shukraan Aamekhta Ma’joon-Haa  Khurdam
Ke Aakhir Is Jahaan Ka Ek Nizam-E-Kaar Hai Aakhir
Jaza Ka Aur Saza Ka Koi To Hanjaar Hai Aakhir
Main Khud Mein Jhainkta Hoon Aur Seene Mein Bharakta Hoon
Hai Meri Zindagi Ab Roz-O-Shab Ek Majlis-E-Gham-Haa
Aza-Haa, Marsiya-Haa, Girya-Haa, Aashob-E-Matam-Haa

Tumhein Is Baat Se Matlab Hi Kya Aur Akhrish Kyon Ho
Kisi Se Bhi Nahin Mujh Ko Gila, Aur Akhrish Kyon Ho
Jo Hai Ek Nang-E-Hasti Is Ko Tum Kya Jaan Bhi Lo Ge
Agar Tum Dekh Lo Mujh Ko, To Kya Pehchan Bhi Lo Ge
Tumhein Mujh Se Jo Nafrat Hai, Wohi To Meri Rahat Hai
Meri Jo Bhi Azeeyat Hai, Wohi To Meri Lazzat Hai

Tumhari Tarbiyat Mein Mera Hissa Kam Raha, Kam Tar
Zuban Meri Tumhare Waaste Shayad Ke Mushkil Ho
Zuban, Apni Zuban Main Tum Ko Aakhir Kab Sikha Paya
Azab-E-Sad-Shamatat Aakhirash Mujh Par Hi Nazil Ho
Zubaan Ka Kaam Yun Bhi Baat Samjhana Nahin Hota
Samajh Mein Koi Bhi Matlab Kabhi Aana Nahin Hota
Kabhi Khud Tak Bhi Matlab Koi Pahunchana Nahin Hota
Gumanon Ke Guman Ki Dam-Ba-Dam Aashob Kari Hai
Bhala Kya Aitbari Aur Kya Naa-Aitbari Hai

Guman Yeh Hai, Bhala Main Juz Guman Kya Tha Gumanon Mein
Sukhan Hi Kya Fasanon Ka, Dhara Kya Hai Fasanon Main
Mera Kya Tazkira Aur Waqayi Kya Tazkira Mera
Main Ik Afsos Hoon, Afsos Tha Guzre Zamanon Main

Hai Shayad Dil Mera Be Zakhm Aur Lab Per Nahin Chhaale
Mere Seene Mein Kab Sau Zinda-Tar Daghon Ke Hain Chhaale
Magar Dozakh Pighal Jaaye Jo Mera Sans Apna Le
Tum Apni Mom Ke Be-Had Muradi Manaton Waale
Mere Kuch Bhi Nahin Kuch Bhi Nahin Kuch Bhi Nahin Baale

Magar Pehle Kabhi Tum Se Mera Kuch Silsila To Tha
Guman Mein Mere Shayad Ek Koi Ghuncha Khila To Tha
Woh Meri Jawedana Be Doi Ka Ek Sila To Tha
So Us Ko Ek Abu Naam Ka Ghora Mila To Tha

Saya-E-Daman-E-Rehmat Chahiye Thora Mujhe
Main Na Chhoroon Ya Nabi, Tum Ne Agar Chhora Mujhe
Eid Ke Din Mustafa Se Yun Lage Kehne Hussain
Sabz Jora Do Hasan Ko Surkh Do Jora Mujhe
Aap Ne Farmaya Beta Mere Kandhe Par Charho
Nanhe Nanhe Hothon Se Kahte Chalo Ghora Mujhe

Adab Adab Kattey Tere Kaan Katoon
Zaryun Ke Beda Ke Naan Batoon
Taaron Bhare Jagar Jagar Khwan Batoon
Aa Ja Ri Nindiya Tu Aa Kyon Na Jaa
Zaryun Ko Aa Ke Sula Kyon Na Jaa

Tumhare Beyah Mein Shajra Parha Jaana Tha Nausha Waste Doolha
Chauki Aangan Mein Bichhi Waste Doolha Ke Liye
Makke Madine Ke Pak Musallay, Payambar Ke Nawaasey
Shah-E-Mardan, Ameer-Ul-Momineen Hazrat Ali Ke Potey
Hazrat Imam Hasan Hazrat Imam Hussain Ke Potey
Hazrat Imam Ali Naqi Ke Potey
Syed Ja’far-E-Sani Ke Potey
Syed Abul Farah Saidwai Al Wasti Ke Potey
Meeran Syed Ali Buzurg Ke Potey
Syed Hussain Sharfuddin Shah Wilayat Ke Potey
Qazi Syed Ameer Ali Ke Potey
Deewan Syed Hamid Ke Potey
Allama Syed Shafiq Hasan Elia Ke Potey
Syed Jaun Elia Hasani Al Hussaini Supoot Jah
Magar Nazir Hamara Sokhta Sulb Akhri Nassab Ab Marne Hi Wala Hai
Bas Ek Pal Haf Sadi Ka Faisla Karne Hi Wala Hai

Suno Zaryun, Bas Tum Hi Suno, Ya’ni Faqat Tum Hi
Wohi Rahat Mein Hai Jo Aam Se Hone Ko Apna Le
Kabhi Koi Bhi Per Ho Koi Behman Yaar Ya Zeeno
Tumhein Behka Na Paaye, Aur Bairooni Na Kar Daaley
Main Sari Zindagi Ke Dukh Bhugat Kar Tum Se Kehta Hoon
Hai Tum Ko Aam Shehri Dekhne Ki Arzoo Mujh Ko
Bahut Dukh De Gi Tum Mein Fikr Aur Funn Ki Namo Mujh Ko
Tumhare Waste Be-Had Sahoolat Chahta Hoon Main
Dawam-E-Jehl-O-Haal-E-Isterahat Chahta Hoon Main
Na Dekho Kash Tum Woh Khwab, Jo Dekha Kiya Hoon Main
Woh Saare Khwab They Qassab Jo Dekha Kiya Hoon Main

Kharash-E-Dil Se Tum Be-Rishta Be-Maqdoor Hi Thehro
Mere Hajeem-E-Zaat-E-Zaat Se Tum Door Hi Tehro
Koi Zaryun, Koi Bhi Clerk Aur Koi Karinda
Koi Bhi Bank Ka Afsar, Senator, Koi Pawinda
Har Ek Haiwan-E-Sarkari Ko Tattoo Jaanta Hoon Main
To Zahir Hai, Usi Shai Se Ziyada Maanta Hoon Main
Tumhein Ho Subh-Dam Taufeeq Bas Akhbar Padhne Ki
Tumhein Ai Kash! Beemari Na Ho, Deewar Padhne Ki
Ajab Hai Sartre Aur Russel Bhi Akhbar Padhte They
Woh Ma’loomaat Ke Maidan Ke Shauqeen Boorhe They

Nahin Ma’loom Mujh Ko Aam Shehri Kaise Hote Hain
Woh Kaise Apna Banjar Naam Banjar-Pan Mein Bote Hain
Main Us Se Aaj Tak Ek Aam Shehri Ho Nahin Paya
Isi Baais Main Hoon Anboh Ki Lazzat Se Be-Maya
Magar Tum Ek Do Paya Rast-Qamat Ho Ke Dikhlana
Suno Raay-E-Dahenda Bin Huwe Tum Baaz Mat Aana
Faqat Zaryun Ho Tum Ya’ni Apna Sabiqa Chhoro
Faqat Zaryun Ho Tum Ya’ni Apna Laheqa Chhoro

Magar Main Kaun Jo Chahoon Tumhare Baab Main Kuch Bhi
Bhala Kyon Ho Mere Ehsaas Ke Asbaab Mein Kuchh Bhi
Tumhara Baap Yani Main, Abas Main, Ek Abas Tar Main?
Magar Main Ya’ni Jaane Kaun, Achcha Main, Saraasar Main
Main Ek Qasid Hoon, Kaazib Hoon, Main Kayiyaad-O-Kameena Hoon
Main Kaasa Baaz-O-Keena-Saaz Kaasa Tan Hoon, Kutta Hoon
Main Ek Nangeen-E-Bodish Hoon Pa Tum To Sir Manaam Ho
Tumhara Baap Rooh-Ul-Quds Tha? Tum Ibn-E-Mariyam Ho

Yeh Qulqul Teesra Peg, Ab To Chautha Ho, Gumaan Yeh Hai
Gumaan Ka Mujh Se Koi Khas Rishta Ho, Gumaan Yeh Hai
Gumaan Yeh Hai Ke Main Jo Jaa Raha Tha, Aa Raha Hoon Main
Magar Main Aa Raha Kab Hoon, Piya Pe Jaa Raha Hoon Main
Yeh Chautha Peg Hai, Oon Hoon, Zalaalat Ki Gayi Mujh Se
Zalaalat Ki Gayi Mujh Se, Khayanat Ki Gayi Mujh Se
Jazami Ho Gayi Waazeh Ki Mehboob, Waa-Waila
Magar Is Ka Gila Kya Jab Nahin Aaya Koi Aaila

Suno Meri Kahani Par Miyan Meri Kahani Kya
Main Yak Sar Raaigaani Hoon, Hisab-E-Raaigaani Kya
Bahut Kuch Tha Kabhi Shayad, Per Ab Kuch Bhi Nahin Hoon Main
Na Apna Hum-Nafas Hoon Main Na Apna Hum-Nasheen Hoon Main
Kabhi Ki Baat Hai Faryad Mera Who Kabhi Ya’ni
Nahin Is Ka Koi Matlab Nahin Is Ke Koi Ma’ni
Main Apne Shaher Ka Sab Se Girami Naam Ladka Tha
Main Be-Hangaam Ladka Tha, Main Sad-Hangaam Ladka Tha
Mere Dam Se Ghazab Hangama Rehta Tha Mohallon Main
Main Hashr-Aaghaz Ladka Tha, Main Hashar-Anjaam Ladka Tha
Mere Hindu Musalmaa’n Sab Mujhe Sir Par Bithaate They
Inhin Ke Faiz Se Ma’ni Mujhe Ma’ni Sikhaate They

Sukhan Bahta Chala Aata Hai Be-Baais Ke Honton Sey
Woh Kuch Kahta Chala Aata Hai Be-Baais Ke Honton Sey
Main Ashraf-E-Kamina-Kaar Ko Thokar Pe Rakhta Tha
So Main Mehnat-Kashon Ki Jootiyan Minbar Pe Rakhta Tha
Main Shayad Ab Nahin Hoon Woh, Magar Ab Bhi Wohi Hoon Main
Ghazab Hangama-Parwar Kheera-Sar Ab Bhi Wohi Hoon Main
Magar Mera Tha Ek Taur Aur Bhi Jo Aur Hi Kuch Tha
Magar Mera Tha Ek Daur Aur Bhi Jo Aur Hi Kuch Tha
Main Apne Shaher-E-Ilm-O-Funn Ka Tha Ek Nau-Jawaan Kaahin
Mere Talmeez-E-Ilm-O-Funn Mere Baba Ke They Hum-Sin

Mera Baba Mujhe Khamosh Aawaazen Sunata Tha
Woh Apne Aap Mein Gum Mujh Ko Pur Haali Sikhata Tha
Woh Haayat-Daan Woh Aalim Naaf-E-Shab Mein Chhat Pe Jaata Tha
Rasad Ka Rishta Sayyaaron Se Rakhta Tha, Nibhaata Tha
Usey Khwahish Thi Shohrat Ki Na Koi Hirs-E-Daulat Thi
Bade Se Qatar Ki Ek Doorbeen Us Ki Zaroorat Thi
Meri Maan Ki Tamannaaon Ka Qatil Tha Woh Qallama
Meri Maan, Meri Mehbooba, Qayamat Ki Haseena Thi
Sitam Yeh Hai, Yeh Kahne Se Jhijhakta Tha Woh Fahamma
Tha Behad Ishte’aal-Angez Bad-Qismat Woh Allama
Khalaf Us Ki Hazaf Aur Be Nehayat Naa-Khalaf Nikle
Hum Us Ke Saare Bete Intehaayi Be-Sharaf Nikle
Main Us Aalim-Tareen-E-Dehr Ki Fikrat Ka Munkir Tha
Main Jo Fastai Tha Jaahil Tha Aur Mantaq Ka Mahir Tha
Par Ab Meri Yeh Shohrat Hai Ke Main Bas Ek Sharabi Hoon
Main Apne Dood-Man-E-Ilm Ki Khana-Kharabi Hoon
Sagan-E-Khookzad-E-Barzan-O-Baazar-E-Be-Maghzi
Meri Jaanib Ab Apne Thobre Shahana Karte Hain
Zina-Zaade Meri Izzat Bhi Gustakhana Karte Hain
Kamine Sharm Bhi Ab Mujh Se Be-Sharmana Karte Hain

Mujhe Is Sham Hai Apne Labon Per Ik Sukhan Lana
Ali Darwesh Hai, Tum Us Ko Apna Jadd Na Batlana
Woh Sibtain-E-Mohammad Jin Ko Jane Kyon, Bahut Arfaa
Bahut Arfaa Bahut A’laa Samajhwaya Gaya Ab Tak
Tum Un Ki Door Ki Nisbat Se Bhi Yaksar Mukar Jana
Ke Is Nisbat Se Zehr-E-Zakhm Ko Sehna Zaroori Hai
Ajab Ghairat Se Ghalteeda Bukhon Rahna Zaroori Hai

Woh Shajra Jo Kanana, Fehr, Ghalib, Ka’ab, Marrah Se
Qassi-O-Hashim-O-Sheeba Abu Talib Tak Aata Hai
Woh Ek Andoh Tha Tareekh Ka, Andoh-E-Sozinda
Woh Naamon Ka Darakht-E-Zard Tha Aur Is Ki Shakhon Ko
Kisi Tanoor Ki Heezam Ka Khakistar Hi Banna Tha
Isi Sho’al-Zada Bodish Ka Ik Bistar Hi Banna Tha

Hamara Fakhr Tha Fuqr Aur Danish Apni Poonji Thi
Nasab-Naamon Ke Hum Ne Kitne Hi Parcham Lapete Hain
Mere Hum-Shaher, Zaryun, Ek Fusoon Hai Nasl Hum Dono
Faqat Aadam Ke Bete Hain, Faqat Aadam Ke Bete Hain
Main Jab Ausaan Apne Khone Lagta Hoon To Hansta Hoon
Main Tum Ko Yaad Kar Ke Rone Lagta Hoon To Hansta Hoon
Hamesha Main Khuda Hafiz, Hamesha Main Khuda Hafiz
Khuda Hafiz
Khuda Hafiz

--------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>