Jaun Elia - Abhi Farmaan Aaya Hai Wahaan Se

Abhi Farmaan Aaya Hai Wahaan Se

Abhi Farmaan Aaya Hai Wahaan Se
Ke Hatt Jaoon Main Apne Darmiyaan Se

Yahan Jo Hai Tanaffus Hi Mein Gum Hai
Parinde Ud Rahe Hain Shaakh-E-Jaan Se

Dareecha Baaz Hai Yaadon Ka Aur Main
Hawa Suntaa Hoon Pedon Ki Zubaan Se

Zamaana Tha Woh Dil Ki Zindagi Ka
Teri Furqat Ke Din Laaoon Kahaan Se

Tha Ab Tak Maa’rka Baahar Ka Dar-Pesh
Abhi To Ghar Bhi Jaana Hai Yahaan Se

Falaan Se thi Ghazal Behtar Falaan Ki
Falaan Ke Zakhm Achche They Falaan Ke

Khabar Kya Doon Mein Shahr-E-Raftagaan Ko
Koi Laute Bhi Shahar-E-Raftagaan Se

Yehi Anjaam Kya Tujh Ko Hawas Tha
Koi Poochhe To Meer-E-Dastaan Se

---------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>