Jaun Elia - Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main


Ek Hunar Hai Jo Kar Gaya Hoon Main
Sab Ke Dil Se Utar Gaya Hoon Main

Kaise Apni Hansi Ko Zabt Karoon
Sun Raha Hoon Ke Ghar Gaya Hoon Main

Kya Bataaun Ke Mar Nahin Paata
Jeete Ji Jab Se Mar Gaya Hoon Main

Ab Hai Bus Apna Saamnaa Darpesh
Har Kisi Se Guzar Gaya Hoon Main

Woh Hi Naaz-O-Adaa, Woh Hi Ghamze
Sar-Ba-Sar Aap Par Gaya Hoon Main

Ajab Ilzaam Hoon Zamaane Ka
Ke Yahan Sab Ke Sar Gaya Hoon Main

Kabhi Khud Tak Pahunch Nahin Paaya
Jab Ke Waan Umr Bhar Gaya Hoon Main

Tum Se Jaanaan Mila Hoon Jis Din Se
Be-Tarah, Khud Se Dar Gaya Hoon Main

Koo–E–Jaanaan Mein Sog Barpaa Hai
Ke Achaanak, Sudhar Gaya Hoon Main

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>