Jaun Elia - Guzashta Waqt Ki Halat-E-Haal Par Salaam

Guzashta Waqt Ki Halat-E-Haal Par Salaam

‘Jaun’! Guzashta Waqt Ki Halat-E-Haal Par Salaam
Us Ke Firaaq Ko Duaa!! Us Ke Visaal Par Salaam

Tera Sitam Bhi Tha Karam, Tera Karam Bhi Tha Sitam
Bandagi Teri Tegh Ko!! Aur Teri Dhaal Par Salaam

Sood-O-Zeyaan Ke Farq Ka Ab Nahin Hum Se Waasta
Subh Ko Arz-E-Kornish!! Shaam-E-Malaal Par Salaam

Ab To Nahin Hai Lazzat-E-Mumkin-E-Shauq Bhi Naseeb
Roz-O-Shab Zamaanaa-E-Shauq-E-Mahaal Par Salaam

Hijr-E-Sawaal Ke Hain Din!! Hijr-E-Jawaab Ke Hain Din
Us Ke Jawaab Par Salaam!! Apne Sawaal Par Salaam

Jaane Woh Rang-E-Masti-E-Khwaab-O-Khyaal Kya Hui
Ishrat-E-Khwaab Ki Sana!! Aish-E-Khyaal Par Salaam

Apna Kamaal Tha Ajab!! Apna Zawaal Tha Ajab!!
Apne Kamaal Par Darood!! Apne Zawaal Par Salaam

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>