Jaun Elia - ‘Jaun’ Tumhain Ye Daur Mubaarak

‘Jaun’ Tumhain Ye Daur Mubaarak

‘Jaun’ Tumhain Ye Daur Mubaarak Door Ghum-E-Ayyaam Se Ho,
Ik Paagal Ladki Ko Bhula Kar Ab To Bade Aaraam Se Ho,
Ik Adhoori Angraai Ke Mustaqbil Ka Khoon Kiya,
Tum Ne Us Ka Dil Dukhaya Us Ke Dil Ka Khoon Kiya,
Ye Jo Tumhara Seher-E-Takalum Husn Ko Karta Hai Mehsoor,
Bano Jamal-Aara Aur Fiza Ke Haq Mein Hai Naasoor,

Khoon-E-Jigar Ka Jo Bhi Fun Hai Sach Jaano Woh Jhoota Hai,
Woh Jo Bahot Sach Bol Raha Ho Sach Jaano Woh Jhoota Hai,
Qatl-E-‘Seezer’ Per ‘Antony’ Jo Kuch Bola Jhoot Tha Woh,
Ya’ni Labon Ne Jitna Kuch Zakhmon Ko Taula Jhoot Tha Woh,
Maiyat Per ‘Sohraab’ Ki ‘Firdosi’ Ne Naatak Khela Tha,
Us Ke Honton Per They Naale Dil Mein Fan Ka Maila Tha,

Husn Bala Ka Qaatil Ho Per Aakhir Ko Be-Chaara Hai,
Ishq To Woh Qaatil Hai Jis Ne Apne Ko Bhi Maara Hai,
Ye Dhokhe Deta Aaya Hai Dil Ko Bhi Duniya Ko Bhi,
Is Ke Jhoot Ne Khwaar Kiya Hai Sehraa Mein Laila Ko Bhi,
Dil Dukhta Hai Kaise Kahun Main Chaal Se Bechal Hote Hain,
Jazbe Mein Jo Bhi Marte Hain Woh Sab Paagal Hote Hain,

Thi Jo Ik Sayyaad Tumhaari Thehri Hai Ik Said-E-Zaboon,
Ya’ni Ab Honton Se Masihaa Ke Ristaa Hai Aksar Khoon,
Khoon Ki Thookan Hai Jo Tumhari Kya Hai Woh Ik Pesha Ke Nahin,
Tum Ho Masihaaon Ke Haq Mein Qaatil Andesha Ke Nahin,
Fan Jo Juz Fan Kuch Bhi Na Ho Ik Muhlik Khush-Baashi Hai,
Kaar-E-Sukhan Pesha Hai Tumhaara Jo Khooni Ayyaashi Hai,

-----------------------

Post a Comment

2 Comments

  1. Ye kaha se tasdeeq ki hai aapne kaha se mili aapko yeh nazm hawaala de sakte hain kya ya kitaab ka nam bata dein

    ReplyDelete

–>