Jaun Elia - Jo Zindagi Bachi Hai Usey Mat Ganwaaiye

Jo Zindagi Bachi Hai Usey Mat Ganwaaiye

Jo Zindagi Bachi Hai Usey Mat Ganwaaiye
Behtar Yahi Hai Aap Mujhe Bhool Jaayiye

Har Aan Ek Judaai Hai Khud Apne Aap Se
Har Aan Ka Hai Zakhm Jo Har Aan Khaaiye

Thi Mashwarat Ke Hum Ko Basana Hai Ghar Naya
Dil Ne Kaha Ke Mere Dar-O-Baam Dhaaiye

Thooka Hai Main Ne Khoon Hamesha Mazaaq Mein
Mera Mazaaq Aap Hamesha Udaaiye

Ek Laal Qila Tha Jo Miyan Zard Ho Gaya
Ab Rangrez Kaun Se Kis Jaa Se Laaiye

Hargiz Mere Huzoor Kabhi Aaiye Na Aap
Aur Aaiye Agar To Khuda Ban Ke Aaiye

Ab Koi Bhi Nahin Hai Koi Dil Mohalle Mein
Kis Kis Gali Mein Jaaiye Aur Ghul Machaaiye

Ek Taur-E-Deh-Sadi Tha Jo Be-Taur Ho Gaya
Ab Jantari Bajaaiye, Tareekh Gaaiye

Shaayar Hain Aap Ya’ni Ke Saste Lateefa-Go
Rishton Ko Dil Se Roiye, Sab Ko Hansaaiye

Jo Haalaaton Ka Daur Tha Woh To Guzar Gaya
Dil Ko Jalaa Chuke Hain So Ab Ghar Jalaaiye

Ab Kya Fareb Deejiye Aur Kis Ko Deejiye
Ab Kya Fareb Khaaiye Aur Kis Se Khaaiye

Hai Yaad Par Madaar Mere Kaarobaar Ka
Hai Arz Aap Se Ke Bahut Yaad Aaiye

Bas Faailon Ka Bojh Uthaaya Karein Janaab
Misra Yeh Jaun Ka Hai Ise Mat Uthaaiye

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>