Jaun Elia - Kaf-E-Safed-E-Sar-E-Saahil-E-Tamanna Hai

Kaf-E-Safed-E-Sar-E-Saahil

Kaf-E-Safed-E-Sar-E-Saahil-E-Tamanna Hai
Aur Us Ke Baad Saraabon Ka Ek Dariya Hai

Yeh Aarzu Ka Fusun, Raaz-E-Jaavidaana Kya
Na Aarzu Na Fusun, Raaz-E-Jaavidaana Hai

Hai Kab Se, Parda-E-Aawaaz Ko Sukoot-E-Hawas,
Sukoot, Parda-E-Aawaaz Ko Tarasta Hai

Hai Darmiyaana Azal Hi Se Ek Tarq-E-Sukhan
Par Ek Sukhan, Jo Azal Hi Se Darmiyaana Hai

Yeh Khaaqdaan Hai Bas Ek Roz Tawahhum Ka
Yeh Rozana Hi Tawahhum Ka Ek Tosha Hai

Na Jaane Kab Se Ek Aashob Hai Sawaalon Ka
Magar Sawaal To Yeh Hai, Ki Masala Kya Hai

Na Poochh Haalat-E-Jaan Kaah-E-Tudni-E-Parwaaz,
Takaan-E-Baal-O-Par-E-Jaan Hi Raahat-Afza Hai

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>