Jaun Elia - Mazloom Hasraton Ke Sahaaron Ka Saath Do

Mazloom Hasraton Ke Sahaaron Ka Saath Do

Mazloom Hasraton Ke Sahaaron Ka Saath Do
Baahar Nikal Ke Seena Figaaron Ka Saath Do

Ek Ma’arka Bahaar-O-Khizaan Mein Hai In Dinon
Sab Kuch Nisaar Kar Ke Bahaaron Ka Saath Do

Tum Ko Hareem-E-Deeda-O-Dil Hai Agar Azeez
Shehron Ke Saath Aao Dayaaron Ka Saath Do

Aabaadion Se Arz Hai, Shehron Se Iltemaas
Is Waqt Apne Kaar-Guzaaron Ka Saath Do

Be-Daar Rah Ke Aakhir-E-Shab Ke Hisaar Mein
Khursheed Ke Jareeda Nigaaron Ka Saath Do

Zakhmon Se Jin Ke Phat Rahi Hai Shuaa-E-Rang
Un Husn-Parwaron Ki Qataaron Ka Saath Do

Roshangaron Ne Khoon Se Jalaayi Hain Mashaalein
Un Mashaalon Ke Surkh Ishaaron Ka Saath Do

Yaaron Ka Ek Hujoom Chala Hai Kafan-Badosh
Hai Aaj Roz-E-Waaqeya Yaaron Ka Saath Do

-----------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>