Jaun Elia - Meri Sharaab Ka Shohra Hai Ab Zamaane Mein


Meri Sharaab Ka Shohra Hai Ab Zamaane  Mein
So Yeh Karam Hai To Kis Ka Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Yeh Taur ! Jaan Jo Hai Meri Bad-Sharaabi Ka
Mujhe Bhala Nahin Lagta Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Kisi Se Koi Bhi Shikwa Nahin Magar Tum Se
Abhi Talak Mujhe Shikwa Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Wo Dil Ke Ab Hai Lahoo Thookna Hunar Jis Ka
Wo Kum Se Kum Abhi Zinda Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Na-Jaane  Kya Hai Ke Ab Tak Mira Khud Apne  Se
Wahi Jo Thha, Wahi Rishta Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Wujood Ek Tamaasha Tha Hum Jo Dekhte  They
Wo Ab Bhi Ek Tamaasha Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Abhi Sadaa-E-Jaras Ka Nahin Hua Aaghaaz
Gubaar Abhi Nahin Uttha Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Hai Mere  Dil Ki Guzaarish Ke Mujh Ko Mat Chhoro
Yeh Meri Jaan Ka Taqaaza Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Kabhi Jo Hum Ne Bare Maan Se Basaaya Tha
Woh Ghar Ujarne  Hi Waala Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Woh ‘Jaun’ Kaun Hai, Jaane  Jo Kuch Nahin Sunta
Hai Jaane Kaun Jo Kahta Hai, Ab Bhi Aa Jaao

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>