Jaun Elia - Nazar Hairaan, Dil Veeran

Nazar Hairaan, Dil Veeran

Nazar Hairaan, Dil Veeran, Mera Jee Nahin Lagta,
Bichar Ke Tum Se Meri Jaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Koi Bhi To Nahin Hai Jo, Pukaare Raah Mein Mujh Ko,
Hoon Main Be-Naam Ik Insaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Hai Ek Inbwa Qadmon Ka Rawaan In Shahraahon Per,
Nahin Meri Koi Pehchaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Jahaan Milte They Hum Tum Aur Jahaan Mil Kar Bicharte They,
Na Woh Dar Hai, Na Woh Daalaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Hon Pehchaane Huye Chehre To Jee Ko Aas Rehti Hai,
Hon Chehre Hijar Ke Anjaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Yeh Saara Shaher Ek Dasht-E-Hajoom-E-Be-Niyazi Hai,
Yahan Ka Shor Hai Veeraan, Mera Jee Nahin Lagta,

Woh Aalam Hai Ke Jaise Main Koi Hum-Naam Hoon Apna,
Na Hirmaan Hai Na Woh Darmaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Kahin Sar Hai Kahin Sauda, Kahin Wehshat Kahin Sehra,
Kahin Main Hoon, Kahin Saamaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Mere Hi Shaher Mein, Mere Mohahalley Mein, Mere Ghar Mein,
Bula Lo Tum Koi Mehmaan, Mera Jee Nahin Lagta

Main Tum Ko Bhool Jaaoon, Bhoolne Ka Dukh Na Bhoolon Ga,
Nahin Hai Khel Yeh Aasaaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Koi Paimaan Poora Ho Nahin Sakta Magar Phir Bhi,
Karo Taaza Koi Paimaan, Mera Jee Nahin Lagta,

Kuch Aisa Hai Ke Jaise Main Yahan Hoon Ek Zindgani,
Hain Saare Log Zindaan Baan Mera Jee Nahin Lagta

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>