Meer Anees - Ain-e-Hussain

Ain-e-Hussain


Aankhon Ko Kahiye Ain To Ain-E-Khata Hai Yeh
Parde Na Kyon Hon Saat Ke Noor-E-Khuda Hai Yeh
Sab Ko Hai Chashmdasht Ke Ain-E-Ata Hai Yeh
Beemaar Khud Pa Sab Ke Marz Ki Dawa Hai Yeh

Sarkhush Bhi Jaam In Ki Jo Ulfat Mein Pee Gaya
Dekha Nigaah-E-Lutf Se Jis Ko Wo Jee Gaya

Ehsaan Bhi Haya Bhi Murawwat Bhi Qaher Bhi
Khud Maut Bhi Hayaat Bhi Amrit Bhi Zaher Bhi
Beena Bhi Nuqta-Sanj Bhi Daanaa-E-Daher Bhi
Tasneem Bhi Behisht Bhi Kausar Ki Naher Bhi

Sar Sharm Se Jhukaaye Hai Nargis Riyaaz Mein
Jannat Sawaad Mein, Yad-E-Baiza Bayaaz Mein

Aahu Shikaar-O-Teer-O-Kamaadaar-O-Sher-Geer
Hushyaar-O-Khush-Nigaah-O-Sukhansanj-O-Dilpazeer
Khoon-Rez-O-Jaan-Fareb-O-Dil-Aavez-O-Be-Nazeer
Qabze Mein Aabruon Ki Kamaanein, Mizhah Ke Teer

Jis Saada-Dil Ko In Ki Siyaahi Ki Yaad Ko
Na-Khwaanda Bhi Gar Ho To Raushan Sawaad Ho

Aahu-Fareb-O-Ashwa-Farosh-O-Karishma-Saaz
Tannaaz-O-Sharmgeen-O-Giraan-Khwaab-O-Sarfaraaz
Haqbeen-O-Paak-Baaz-O-Khuda-Been-O-Beniyaaz
Bedaar-O-Daagh-Deeda-O-Khoon-Baar-O-Ghum-Taraaz

Gird Is Ke Phir, Ye Kaaba-E-Eimaan Ka Tauf Hai
Bas Ai Anees Bas Nazar-E-Bad Ka Khauf Hai

-------------------------

Post a Comment

4 Comments

  1. best ever poetry of Mir ANees sb,,, MASHAALLAH

    ReplyDelete
  2. There wasn't in the past and there could never be in future, a match for the brilliant compositions of KHUDA-E-SOKHAN MEER BABAR ALI (ANEES)!!! ["KISI NE TERI TARAH SE AYE ANEES +++ UROOS-E-SOKHAN KO SANWAARA NAHI"] ...!!!

    ReplyDelete
  3. What is the meaning of ain e khata hai ye ??

    ReplyDelete

–>