Meer Anees - Marsiya Of Hazrat Ali Akbar

Marsiya Of Hazrat Ali Akbar


Manind-E-Sher Jung Mein Thi Chaar Su Nigaah
Chhup Chhup Ke Badliyon Se Nikalte They Misl-E-Maah
Lekin Ajal Se Bas Nahin Chalta Kisi Ka Aah
Dekha Jo Phir Ke Yun Nazar Aayi Adam Ki Raah

Chhaati Pe Lag Ke Pusht Se Naiza Guzar Gaya
Ubla Lahu To Umr Ka Paimana Bhar Gaya

Naiza Laga Ke Zor Se Khaincha La’een Ne Jab
Tukde Kai Jigar Ke Nikal Aaye Hai Ghazab
Harne Pe Sar Jhuka Ke Jo Sambhla Woh Tashna-Lab
Tar Ho Gayi Lahu Se Qabaa Mustafa Ki Sab

Ghash Aaya, Nabzein Chhut Gayin, Tevar Badal Gaye
Halqe Rakaab Ke Bhi Qadam Se Nikal Gaye

Faryad Hai Ke Toot Pada Lashkar-E-Giraan
Harbe Tamaam Fauj Ke Aur Ek Naujawaan
Girte Huwe Faras Se Pukara Woh Neem-Jaan
Leeje Khabar Ghulam Ki Ai Qibla-E-Zamaan

Jaldi Uthaaiye Mujhey Dasht-E-Nabard Se
Ab Jaan Nikli Jaati Hai Chhati Ke Dard Se

Sunna Tha Yeh Ke Shah Pe Gira Aasmaan-E-Ghum
Itna Kaha Ke “Aah, Huwe Ab Tamaam Hum”
Daude, Gire, Utthe, Kai Ja Qibla-E-Umam
Rakhkha Kisi Jagah To Kisi Ja Pada Qadam

Khaliq Pisar Ka Daagh Dikhaaye Na Baap Ko
Aankhon Se Kuchh Dikhaayi Na Deta Tha Aap Ko

Chillaate They Kidhar Ko Hai Tu Ai Jawaan Pisar
Aashiq Pisar, Shafeeq Pisar, Meherbaan Pisar
Mere Saeed Lal, Mere Qadrdaan Pisar
Hoton Pe Dum Hai Baap Ka, Ai Neem-Jaan Pisar

Beta Nibaah Baap Ka Ab Tere Haath Hai
Jaldi Na Keejiyo Ke Yeh Bekas Bhi Saath Hai

Kis Jaa Sitam Ki Seene Pe Kha Kar Sinaan Gire
Aawaaz Phir Do, Ai Ali Akbar Kahaan Gire
Kis Tarah Ladkhada Ke Na Yeh Naa-Tawaan Gire
Peeri Mein Jis Pe Koh-E-Ghum-E-Naujawaan Gire

Aada Se Is Sitam Ka Khuda Inteqaam Le
Itna Nahin Koi Mere Haathon Ko Thaam Le

Jangal Mein Pahunche Laash Pe Us Waqt Shaah-E-Deen
Jab Ediyaan Ragad Rahe They Akbar-E-Haseen
Chillaaye Paas Gir Ke Shah-E-Bekas-O-Hazeen
Haazir Hai Baap Ai Mere Farzand-E-Mehjabeen

Baba Ko Mutma’in To Karo Munh Se Bol Ke
Baahein Gale Mein Daal Do Aankhon Ko Khol Ke

Tum Ne Bhi Munh Ko Baap Se Moda, Hazaar Haif
Bekas Ko Is Za’eef Ko Chhoda, Hazaar Haif
Pehna Na Bar Mein Byaah Ka Joda, Hazaar Haif
Qismat Ne Taaze Phool Ko Toda, Hazaar Haif

Bheegi Huyi Mason Pe Ajab Aab-O-Taab Thi
Hai Hai Abhi To Aamad-E-Fasl-E-Shabaab Thi

Kyon Tharthara Ke Karwatein Lete Ho Baar Baar
Kya Hai Ke Khaak Par Kisi Pehlu Nahin Qaraar
Hazrat Se Dum Nikalne Mein Bola Woh Gul-Azaar
Barchhi Ka Zakhm Hai Meri Chhati Ke Waar Paar

Kya Haal-E-Dil Kahun, Nahin Taqat Bayaan Ki
Lo Alwida, Jism Se Rukhsat Hai Jaan Ki

Naagaah Rang Zard Hua, Haath Thartharaaye
Karwat Kabhi Karaah Ke Li, Gaah Muskuraaye
Atka Jo Dum, Sawaal Mein Paani Ke Lab Hilaaye
Hanste Hue Guzar Gaye Duniya Se Haai Haai

Phaila Ke Haath Paanv Woh Maqtool Rah Gaya
Khushbu Soo-E-Bahisht Gayi Phool Reh Gaya

Bas Ai ‘Anees’ Bas Na Sune They Kabhi Yeh Bain
Barpa Hai Bazm-E-Matam-E-Akbar Mein Shor-O-Shain
Main Ek Kya, Nahin Kisi Momin Ke Dil Ko Chain
Keeje Madad, In Apne Ghulamon Ki Ya Hussain

Asrat Ho Door, Aish Ka Saamaan Kam Na Ho
Juz Maatam-E-Huzoor Koi Aur Ghum Na Ho

--------------------

Post a Comment

0 Comments

–>