Jaun Elia - Shauq Ka Rang Bujh Gaya

Shauq Ka Rang Bujh Gaya

Shauq Ka Rang Bujh Gaya, Yaad Ke Zakhm Bhar Gaye
Kya Meri Fasl Ho Chuki, Kya Mere Din Guzar Gaye

Reh Guzar-E-Khayaal Mein Dosh Ba-Dosh They Jo Log
Waqt Ki Girdbaad Mein Jaane Kahaan Bikhar Gaye

Shaam Hai Kitni Be-Tapaak, Shahr Hai Kitna Sahamnaak
Hum-Nafaso ! Kahaan Ho Tum, Jaane Yeh Sab Kidhar Gaye

Pas-E-Hayaat Ka Khayaal Hum Ko Bahut Bura Laga
Pass Ba-Hujoom-E-Maareka Jaan Ke Be-Sipar Gaye

Main To Safon Ke Darmiyaan Kab Se Pada Hoon Neem-Jaan
Mere Tamaam Jaan-Nisaar Mere Liye To Mar Gaye

Aaj Ki Shaam Hai Ajeeb, Koi Nahin Mere Qareeb
Aaj Sab Apne Ghar Rahe, Aaj Sab Apne Ghar Gaye

Khwab-E-Talaai-E-Khayaal, Dil Ka Ziyaan Tha Aur Malaal
Hosh Ke Bawajood Hum Khwaab-O-Khayaal Par Gaye

Samt-E-Zamarrudeen-E-Dil Khud Se Hai Kya Bahut Khajil
Hum Jo Gumaan-E-Zard Mein Ghar Se Gaye Na Ghar Gaye

Thaa Jo Nafas Nafas Ka Run, Us Mein thi Sorish-E-Bazan
Zakhm Baghair Waan Se Hum Khoon Mein Tar-Ba-Tar Gaye

Shahid-E-Roz-E-Waqeya Soorat-E-Majera Hai Kya
Kitne Jaththe Bikhar Gaye, Kitne Hujoom Marr Gaye

Raunaq-E-Bazm-E-Zindagi, Turfa Hain Tere Log Bhi
Ek To Kabhi Na Aaye They, Aaye To Rooth Kar Gaye

Khush-Nafsaan-E-Be-Nawa, Be-Khabraan-E-Khush Ada
Tera Naseeb They Magar, Shahar Mein Naam Kar Gaye

Aap Mein ‘Jaun Elia’, Sochiye Ab Dharaa Hai Kya
Aap Bhi Ab Sidhaariye, Aap Ke Chaara-Gar Gaye

-----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>