Jaun Elia - Wahi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Jaun Elia


Wahi Hisaab-E-Tamanna Hai, Ab Bhi Aa Jaao
Wahi Hai Sar Wahi Sauda Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Jise Gaaye Huye Khud Se Ab Ek Zamaana Hua
Woh Ab Bhi Tum Mein Bhatakta Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Wo Dil Se Haar Gaya Hai Par Apni Daanist Mein
Wo Shakhs Ab Bhi Yagaana Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Main Khud Nahin Hoon Koi Aur Hai Mere Andar
Jo Tum Ko Ab Bhi Tarasta Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Main Yaan Se Jaane Hi Waala Hoon Ab, Magar Ab Tak
Wahi Hai Ghar Wahi Hujra Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Wahi Kasha-Kash-E-Ehsaas Hai Ba Har Lamhaa
Wahi Hai Dil, Wahi Duniya Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Tumhen Tha Naaz Buhat Jis Ki Naam-Daari Par
Wo Saare Shahar Mein Ruswaa Hai, Ab Bhi Aa Jaao

Yahan Se Saath Hi Khwaabon Ke Shahar Jaayen Ge
Wohi Junoon, Wohi Sehra Hai, Ab Bhi Aa Jaao

----------------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>