Ghalib - Dil Mera Soz-E-Nihan Se



Dil Mera Soz-E-Nihan Se Be Muhaba Jal Gaya
Aatish-E-Khamosh Ki Maanind Goya Jal Gaya

Dil Mein Zauq-E-Vasl-O-Yaad-E-Yaar Tak Baaqi Nahin
Aag Is Ghar Ko Lagi Aisi Ke Jo Tha Jal Gaya

Main Adam Se Bhi Parey Hoon Warna Gafil Baaraha
Meiri Aah-E-Aateshin Se Baal-E-Anqa Jal Gaya

Arz Keejye Jauhar-E-Andesha Ki Garmi Kahan
Kuch Khayal Aya Tha Wahshat Ka Ki Sahra Jal Gaya

Dil Nahin Tujh Ko Dikhata Warna Daghon Ki Bahaar
Is Chiraghaan Ka, Karoon Kya, Kaar Farma Jal Gaya

Main Hoon Aur Afsurdagi Ki Aarzoo ‘Ghalib’ Ke Dil
Dekh Kar Tarz-E-Tapaak-E-Ahl-E-Duniya Jal Gaya
---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>