Ghalib - Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi

Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi


Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi Tangi-E-Jaa Ka
Guhar Mein Maho Huwa Izteraab Dariya Ka

Yeh Jaanta Hoon Ki Tu Aur Pasukh-E-Maktoob!
Magar Sitam-Zadah Hoon, Zauq-E-Khaama Farsa Ka

Hena-E-Paa-E-Khizaan Hai, Bahaar Agar Hai Yehi
Dawaam-E-Kulfat-E-Khatir Hai, Aish Duniya Ka

Gham-E-Firaq Mein, Takleef Sair-E-Gul Mat Do
Mujhe Dimagh Nahin Khanda-Haa-E-Bejaa Ka

Hunooz Mahrami-E-Husn Ko Tarasta Hoon
Kare Hai Har Bun-E-Moo, Kam Chashm-E-Beena Ka

Dil Us Ko Pahle Hi Naaz-O-Ada Se De Baithe
Hamein Dimagh Kahan, Husn Ke Taqaaza Ka

Na Kah Ki Girya Ba-Miqdaar-E-Hasrat-E-Dil Hai
Meri Nigah Mein Hai Jama’ Wa Kharch Dariya Ka

Falak Ko Dekh Ke Karta Hoon Us Ko Yad ‘Asad’
Jafaa Mein Uski Hai Andaz-E-Kaar-Ferma Ka

---------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>