Mirza Ghalib - Bazm-E-Shahenshah Mein, Ashaar Ka Daftar Khula

Ashaar Ka Daftar Khula

Bazm-E-Shahenshah Mein, Ashaar Ka Daftar Khula
Rakhiyo Yaa-Rab! Yeh Dar-E-Ganjeena-E- Gauhar Khula

Shab Huyi, Phir Anjum-E-Rakhshanda Ka Manzar Khula
Is Takalluf Se Ke Goya But-Kade Ka Dar Khula

Garche Hoon Deewana, Par Kiyon Dost Ka Khaoon Fareb
Aastin Mein Dashna Pinhaan, Haath Mein Nashtar Khula

Go Na Samjhoon Uski Baaten, Go Na Paoon Uska Bhed
Par Yeh Kya Kam Hai Ke, Mujh Se Woh Pari-Paikar Khula

Hai Khayal-E-Husn Mein Husn-E-Amal Ka Sa Khayal
Khuld Ka Ek Dar Hai Meri Gor Ke Andar Khula

Munh Na Khulne Par Hai Woh Aalam Ki Dekha Hi Nahin
Zulf Se Badh Kar Naqab Us Shokh Ke Munh Par Khula

Dar Pe Rahne Ko Kaha Kah Ke Kaisa Phir Gaya
Jitne Arsey Mein Mera Lipta Hua Bistar Khula

Kyon Andheri Hai Shab-E-Gham, Hai Balaaon Ka Nuzool
Aaj Udhar Hi Ko Rahey Ga Deeda-E-Akhtar Khula

Kya Rahoon Ghurbat Mein Khush, Jab Ho Hawaadis Ka Ye Haal
Naama Laata Hai, Watan Se, Naama-Bar Aksar Khula

Uski Ummat Mein Hoon Main, Merey Rahen Kyon Kaam Band
Waaste Jis Shah Ke, ‘Ghalib’, Gumbad-E-Be-Dar Khula

---------------------------------




Post a Comment

0 Comments

–>