Meer Anees - Imam Hussain Ki Aakhri Rukhsat

Meer Anees


 Jab Aakhri Rukhsat Ko Hussain Aaye Haram Se

Sab Beebiyan Liptin Shah-E-Wala Ke Qadam Se

Hazrat Ne Kaha Qata Mohabbat Karo Hum Se

Jeene Ke Nahin Hum Gham-E-Akbar Ke Alam Se


Baba Se Na Jab Tak Woh Gul-Andam Milega

Tab Tak Na Hamen Ek Dam Aaram Milega 



Sab Mar Chuke Ab Kis Ke Liye Sar Na Kataayen

Aise Nahin Bichde Ki Jo Akbar Chale Aayen

Kis Tarah Se Uss Yusuf-E-Gum Gashta Ko Paayen

Hai Farq Basaarat Mein Kidhar Dhoondhne Jaayen


Be Unke Na Khane Ka Na Peene Ka Maza Hai

Farzand Salamat Ho To Jeene Ka Maza Hai 



Ek Jaan-E-Hazin Taa-Ba-Kuja Ranj Uthaye

Rahat Ab Isi Mein Hai Ki Jaldi Ajal Aaye

Zakhm-E-Jigar-O-Dil Kise Shabbir Dikhaye

Allah Tabahi Yeh Kisi Ghar Pe Na Laaye


Taraj Na Iss Tarah Se Ho Bagh Kisi Ka

Ab Mujh Ko Dikhaye Na Khuda Dagh Kisi Ka










Post a Comment

0 Comments

–>