Aankhon Mein Nami Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hain
Naazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Sa Fasaana Hai
[Jigar Moradabadi]
*************************************
Be-Dard Zamaane Ka Bahaana Sa Banaa Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar
[Nasir kazmi]
*************************************
Tamaam Shab Yun Hi Dekhen Gi Soo-E-Dar Ankhen
Tujhe Ganwaan Kar Na Soyen Gi Umr Bhar Aankhen
*************************************
Hansne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko,
Aansoo Hamari Aankh Mein Pathar Ke Ho Gaye
*************************************
Ai Khuda Log Banaaye They Patthar Ke Agar,
Mere Ehsas Ko Sheeshe Sa Na Banaaya Hota
*************************************
Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye,
Tu Ne Mere Khuloos Ki Qeemat Bhi Chheen Li
[Shakeel Badayuni]
*************************************
Likhna To Tha Ke Khush Hoon Tere Baghair Bhi,
Aansoo Magar Qalam Se Pehle Hi Gir Gaye
*************************************
Raat Meri Aankh Mein Ek Sailaab Tha,
Tera Chehra Dekhna Tha Ki Tabiyat Bhar Gai.
*************************************
Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkon Ko Padhne Ka,
To Behte Huwe Aansoo Aksar Baat Karte Hain
*************************************
Hawa Se Lapati Huwi Siskion Se Lagta Hai,
Meri Kahaani Kisi Aur Ne Bhi Dohraai.
*************************************
Falak Tha Jin Ki Nigaahon Mein Manzil-E-Yak-Gaam,
Chaman Mein Aaj Wo Rote Hain Baal-O-Par Ke Liye.
*************************************
Faasle Aise Bhi Hon Ge Ye Kabhi Sochaa Na Tha,
Saamne Baitha Tha Mere Aur Woh Meraa Na Tha.
[Adeem Hashmi]
*************************************
Ghairon Se Kaha Tum Ne Ghairon Se Suna Tum Ne,
Kuch Hum Se Kaha Hota Kuch Hum Se Suna Hota.
*************************************
Na Pooch Kyon Meri Aankhon Mein Aa Gaey Aansoo,
Jo Tere Dil Mein Hai Us Baat Par Nahin Aaye.
*************************************
Guzra Hai Muhabbat Mein Kuch Aisa Bhi Zamaana,
Rootha Hoon Agar Main To Manaayaa Hai Kisi Ne.
*************************************
Ghar Ki Ta’ameer Chaahe Jaisi Ho,
Us Mein Rone Ki Kuch Jagah Rakhna.
*************************************
Doobna Hi Tha Jo Kashti Ka Muqaddar Yaa-Rab,
Aankh Ke Saamne Ai Kaash Na Saahil Hota.
*************************************
Hayaat Ik Mustaqil Gham Ke Siwa Kuchh Bhi Nahin Shaayad,
Khushi Bhi Yaad Aati Hai To Aansoo Ban Ke Aati Hai.
*************************************
Taaq-E-Masargan Pe Larazte Rahe Ashkon Ke Charaagh,
Kis Takalluuf Se Hanse Aaj Ye Hansne Waale.
*************************************
Zaroorat Hai Hamen Ai Dil Lahoo Ke Chand Qatron Ki,
Kisi Ke Naam Maktoob-E-Wafa Tehreer Karnaa Hai.
*************************************
Zabt-E-Gham Ab To Patthar Kar Dia Warna ‘Faraz’
Dekhta Koi Ke Dil Ke Zakhm Jab Aankhon Mein The
*************************************
Zabt Se Ahad Baandh Rakha Tha,
Aur Phir Bhi Bikhar Gaye Aansoo.
*************************************
Sirf Chehre Ki Udaasi Par Aaye Ansoo,
Dil Ka Aalam To Abi Aap Ne Dekha Hi Nahin.
*************************************
Saif Ye Din To Qayamat Ki Tarah Guzra Hai,
Jaane Kya Baat Thi Har Baat Par Rona Aaya
*************************************
Sabab Har Ek Mujh Se Poochta Hai Mere Rone Ka,
Ilaahi Saari Duniya Ko Main Kaise Raazdaan Kar Loon.
*************************************
Ragon Mein Daudte Phirne Ke Hum Nahin Qaayal,
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahoo Kya Hai.
*************************************
Raat Ke Saath Huwa Khatm Sitaaron Ka Safar,
Apne Ashkon Ki Bhi Ab Shammah Bujha Deejiye.
*************************************
Raat Bhar Aankhon Mein Us Ka Mar- Mareen Paikar Raha,
Chandni Ke Jhilmilaane Mein Nami Us Ki Bhi Thi.
*************************************
Doobe Huwe Taaron Pe Main Kya Ashk Bahaata,
Chadhte Huwe Sooraj Se Meri Aankh Ladi Thi.
*************************************
Hausla Tujh Ko Na Tha Muhj Se Juda Hone Ka,
Warna Kaajal Teri Aankhon Mein Na Phaila Hota.
*************************************
Chand Aansoo Hain Nadaamat Ke Meri Aankhon Mein,
Aur To Kuch Bhi Nahin Mujh Se Gunah-Gaar Ke Paas.
*************************************
Jin Ke Honton Pe Tarab-Khez Hansi Hoti Hai,
Wo Bhi Rote Hain Kitaabon Mein Chhupa Kar Chehre.
*************************************
Saqib Badi Tauqeer Hai Is Zabat-E-Wafa Mein,
Har Ashk Jo Aankhon Se Na Tapke Wo Gohar Hai.
*************************************
Toota Nahin Ashkon Se Abhi Zabt Ka Pushta,
Paani Abhi Khatre Ke Nishaan Tak Nahin Aayaa.
*************************************
Theek Hai Ai Zabt-E-Gham Aansoo Koi Tapka Nahin,
Par Ye Dil Se Aankh Tak Paiham Safar Mein Kaun Hai.
*************************************
Tooti Faseel-E-Lab Na Dar-E-Chashm Waa Huwa,
Ghut Ghut Ke Mar Gayaa Mere Andar Ka Aadmi.
*************************************
Tujhe To Zabt-E-Muhabbat Ka Itna Da’awa Tha,
Ye Ashk Kaise Teri Aankh Se Dhalak Aayaa.
*************************************
Wo Har Baar Zid Mein Rone Lagtaa Hai,
Main Har Baar Us Se Haar Jaataa Hon.
*************************************
Woh Kehte They Ke Rone Se Na Badlenge Naseeb
Un Ki Iss Baat Ne Phir Umr Bhar Roone Na Diyaa
*************************************
Uss Ki Jafaaaon Ne Mujhe Tahzeeb Sikha Di Hai Mohsin,
Main Rote Huwe So Jaaata Hoon Par Shikwa Nahin Karta
*************************************
Main Hans Ke Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Us Ke Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain
[Jaan Nisar Akhtar]
*************************************
Jub Se Dekhi Hain Wo Bheegi Huwi Aankhein …
Hanste Chehron Pe Bhi Rone Ka Gumaan Hota Hai
*************************************
Guzar Hi Jaaye Gi Tere Baghair Bhi Lekin
Bahut Udaas Bahut Be-Qaraar Guzre Gi
*************************************
Tumhara Dil Kabhi Pighle Agar Gham Ki Haraarat Se.
Tumhein Ma’aloom Ho Jaaye Ga Rona Kis Ko Kehte Hain.
*************************************
Chupke Chupke Raat Din Aansoo Bahanaa Yaad Hai
Ham Ko Ab Tak Aashiqi Kaa Wo Zamaanaa Yaad Hai
[Hasrat Mohani]
*************************************
Badi Muddat Se Tanha The Mere Dukh
Khudaaya, Mere Aansoo Ro Gaya Kaun
Jidhar Dekhun Khadi Hai Fasl-E-Girabh
Mere Shahron Mein Aansoo Bo Gaya Kaun
[Parveen Shakir]
*************************************
Meri Aankhon Mein Aansoo Hain Na Hothon Pe Tabassum Hai
Samajh Mein Kya Kisi Ki Aaye Gi Tarz-E-Fughaan Meri
[Shamsi Minai]
*************************************
Main To Us Waqt Se Darta Hun Ki Woh Pooch Na Lein
Yeh Agar Jabr Ka Aansoo Hai To Tapka Kaise
[Ahmad Nadeem Qasmi]
*************************************
Haseenon Ke Rone Pe Hanste The Ham
Kabhi Ek Aansoo Bahaayaa Na Thaa
Haseenon Ke Rone Pe Hanste The Ham
Kabhi Ek Aansoo Bahaayaa Na Thaa
[Akhtar Sheerani]
*************************************
Meri Aankhon Mein Aansoo Aa Gaye, Naa-Deedah Aankhon Ke
Mere Dil Mein Koi Ghamgeen Naghma Sarsaraataa Hai
[Sahir Ludhianvi
*************************************
Ek Aansoo Kah Gayaa Sab Haal Dil Kaa,
Main Samjhaa Tha Ye Zaalim Be-Zubaan Hai
[Khumar Barabankvi]
*************************************
Roodaad-E-Gam-E-Ulfat Un Se Ham Kyaa Kahate Kyonkar Kahate
Ek Harf Na Nikalaa Hothon Se Aur Aankh Men Aansoo Aa Bhi Gaye
[Majaz]
*************************************
Aap Ki Ankhon Main Ye Aansoo Kahan Se Aa Gaye
Hum To Diwaane Hain Lekin Aap Ko Ye Kya Huwa
[Iqbal Azeem]
*************************************
Bhar Aaye Phool Ke Aansoo Payaam-E-Shabnam Se
Kali Ka Nanha Sa Dil Khoon Ho Gayaa Ghamm Se
[Allama Iqbal]
*************************************
Chashm-E-Dil Ke Sab Aansoo Is Hawa Mein Khil Utthe
Shaakhsaar-E-Mizgaan Par Rut Gulaab Ki Aayi
[Parveen Shakir]
*************************************
Ai Josh-E-Giriyaa Dekh Na Karnaa Khajil Mujhe,
Aankhen Meri Zaroor Hain, Aansoo Paraaye Hain,
[Khumar]
*************************************
Meri Tasveer Aankh Kaa Aansoo
Meri Tahreer Jism Kaa Jadoo
[Nida Fazli]
*************************************
Shaadi Mein Kuchh Gham Ke Pahloo Nikal Aate Hain
Be-Saakhta Hansne Mein Aansoo Nikal Aate Hain
[Saaqib]
*************************************
Us Ne Chhoo Kar Mujhe Patthar Se Phir Insaan Kiya
Muddaton Baad Meri Aankh Me Aansoo Aaye
[Basheer Badr]
*************************************
Jise Le Gai Hai Abhi Hawa Wo Waraq Tha Dil Ke Kitab Ka
Kahin Aansuon Se Mita Hua Kahin Aansuon Se Likha Hua
[Basheer Badr]
*************************************
Aansoo Kabhi Palkon Par Der Tak Nahi Rukte
Udd Jate Hain Ye Panchi Jab Shaakh Lachakti Hai
[Basheer Badr]
*************************************
Chamakti Hai Kahin Sadiyon Mein Aansuon Ki Zamin
Gazal Ke Sher Kahan Roz Roz Hote Hain
[Basheer Badr]
*************************************
Ik Ye Din Jab Laakhon Gham Aur Kaal Padaa Hai Aansoo Kaa
Ik Vo Din Jab Ek Zaraa Si Baat Pe Nadiyaan Bahti Thin
[Javed Akhtar]
*************************************
Koi Aansoo Tere Daaman Par Giraakar
Boond Ko Moti Banaanaa Chaahataa Hoon
[Qateel Shifai]
*************************************
Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa
[Riaz Khairabadi]
*************************************
Aankh Men Aansoo Jhade The Par Sada Tujh Ko Na Di,
Is Tawaqqo Par Ki Shaayad Too Palat Kar Dekhta,
[Ahmad Faraz]
*************************************
Labon Pe Narm Tabassum Rachaa Ke Dhul Jaayen
Khudaa Kare Mere Aansoo Kisi Ke Kaam Aayen
[Ahmad Nadeem Qasmi]
*************************************
Wo Tak Rahe The Hamin Hans Ke Pi Gaye Aansoo
Wo Sun Rahe The Hamin Kah Sake Na Afasaane
[Majrooh]
*************************************
Kaun Ponchhe Meri Aankhon Ke Sulagte Aansoo
Kaun Uljhe Hue Baalon Ki Girah Suljhaaye
[Sahir Ludhianvi]
*************************************
Haseen Teri Aankhen, Haseen Tere Aansoo
Yehin Doob Jaane Ko Jee Chaahta Hai
[Jigar Moradabadi]
*************************************
Aansu To Bahot Se Hain Aankhon Mein ‘Jigar’ Lekin
Bindh Jaye So Moti Hai Rah Jaye So Daana Hai
*************************************
Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzri
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mizgaan Tak Aa Na Sake
[Josh Malihabadi]
*************************************
Sirf Ashk-O-Tabassum Mein Uljhe Rahe
Hum Ne Dekha Nahin Zindagi Ki Taraf
Jaane Wo Multafit Hon Kidhar Bazm Mein
Aansuon Ki Taraf Ya Hansi Ki Taraf
[Ehsaan Danish]
*************************************
Lahu Na Ho To Kalam Tarjumaan Nahin Hota
Hamaare Daur Mein Aansu Zuban Nahin Hota
[Wasim Barelvi]
*************************************
Tum Apni Yaad Bhi Dil Se Bhula Jaate To Achha Tha
Yeh Do Aansoo Lagi Dil Ki Bhuja Jaate To Achha Tha
[Jaan Nisar Akhtar]
*************************************
Kuchh Yaad Kar Ke Aankh Se Aansoo Nikal Pade
Muddat Ke Baad Guzre Jo Us Gali Se Ham
[Nawab Saeed]
*************************************
Vo Raaz Hai Ye Gham Aah Jise
Paa Jaaye Koi To Khair Naheen
Aankhon Se Jab Aansoo Bahte Hain
Aa Jaaye Koi To Khair Naheen
[Adam]
*************************************
Aansoo Nikal Rahe Hain Ban Ke Tasavvur Mein Phool
Shaadaab Ho Rahaa Hai Gulistaan-E-Aarzoo
[Akhtar Shirani]
*************************************
Dard Seene Se Uthaa Aankh Se Aansoo Nikle
Raat Aai To Ghazal Kahne Ke Pahle Nikle
[Unknown]
*************************************
Itna To Zindagi Mein Kisi Ke Khalal Pade
Hansane Se Ho Sukun Na Rone Se Kal Pade
Jis Tarah Hans Raha Hun Main Pi-Pi Ke Ashk-E-Gam
Yun Doosra Hanse To Kaleja Nikal Pade
Muddat Ke Ba’d Us Ne Jo Ki Lutf Ki Nigah
Jee Khush To Ho Gaya Magar Aansu Nikal Pade
[Kaifi Azmi]
*************************************
0 Comments