Jaun Elia - Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai! Nahin To

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai! Nahin To
Kisi Sey Kuch Shikaayat Hai! Nahin To

Hai Woh Ek Khwaab-E-Be-Taabeer
Bhula Dene Ki Neeyat Hai! Nahin To

Kisi Ke Bin, Kisi Ki Yaad Ke Bin
Jiye Jaane Ki Himmat Hai! Nahin To

Kisi Soorat Bhi Dil Lagta Nahin! Haan
To Kuch Din Se Yeh Haalat Hai! Nahin To

Tujhe Jisne Kahin Ka Bhi Na Rakhkha
Woh Ek Zaati Si Wehshat Hai! Nahin To

Tere Is Haal Par Hai Sab Ko Hairat
Tujhe Bhi Is Pe Hairat Hai! Nahin To

Hum-Aahangi Nahin Dunia Se Teri
Tujhe Is Par Nadaamat Hai! Nahin To

Hua Jo Kuch Yehi Maqsoom Tha Kya!
Yehi Saari Hikaayat Hai! Nahin To

Azeeyat-Naak Ummeedon Sey Tujh Ko
Amaan Paaney Ki Hasrat Hai! Nahin To

Tu Rehta Hai Khayaal-O-Khwaab Mein Gum
To Is Ki Wajha Fursat Hai! Nahin To

Wahaan Waalon Sey Hai Itni Muhabbat
Yahaan Waalon Se Nafrat Hai! Nahin To

Sabab Jo Is Judaai Ka Bana Hai
Wo Mujh Se Khoobsoorat Hai! Nahin To

------------------------------

Post a Comment

7 Comments

  1. Boht achi post share ki ha ap na apki shukria apka Jon elia aik big famous urdu hindi poet thay aik alug style or sub sa alug tarah ki poetry thi sir Urdu Poetry ki unki poetry ki kuch lines hain jo ma share kerna chahti ho

    Dil Jo Ha Aag Laga Don us Ko
    Aur Phir Khud He Hawa Don us Ko,
    Jo Bhee Hai Os Ko Ganwa Betha Hai,
    Mein Bhala Kaisay Ganwa Doon Os Ko ?
    Tujh Gumaan Per Jo Emaarat Ki Thi,
    Sochta Hoon K Mein Dhaa Doon Os Ko
    Jism Mein Aag Laga Doon Os Ke,
    Aur Phir Khud Hee Bujha Doon Os Ko,
    Hijr Ki Nazar Tou Deni Hai Osay,
    Sochta Hoon Ke Bhulaa Doon Os Ko,
    Jo Nahee Hai Meray Dil Ki Dunya,
    Kyun Na Mein ‘Jhon’ Mita Doon Os Ko

    ReplyDelete
  2. Wo darveshi jo Tach kar aagaya tu
    Yeah daulat uski keemat hai! Nahin toh

    ReplyDelete
  3. I Love This Ghazal. RIP Jaun Elia.
    There are Some best 55 Jaun Elia's Sher Collection. Pls Have a Look. Click Link

    https://hunarpoetry.com/top-55-jaun-elia-shayari/

    Thanks me later

    ReplyDelete
  4. Abb translation bhi ho toh maza aajaye

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shairi ki koi translation nahi hoti dear, ap ko us mahol me culture me awr zuba me khud jana parta he, phir zara samajh ata he k kehne wale ne kaha kia tha..

      Delete

–>