Tasveer Kyon Dikhaayen Tumhen Naam Kyon Bataayen
Laaye Hain Ham Kisi Se Kisi Bevafaa Ki Hai
[Bekhud Dehlvi]
****************************************
Ham Ne Dikhaa Dikhaa Teri Tasveer Jaa-Ba-Jaa
Har Ik Ko Apni Jaan Ka Dushman Banaa Liyaa
[Jagannath Azad]
****************************************
Aap Ne Tasveer Bheji Main Ne Dekhi Ghaur Se
Har Ada Achchhi Khamoshi Ki Ada Achchhi Nahin
[Jaleel Manikpuri]
****************************************
Taab-E-Nazzaara Nahin Aaina Kya Dekhne Doon
Aur Ban Jayenge Tasveer Jo Hairaan Honge
[Momin Khan Momin]
****************************************
Khushaamad Ai Dil-E-Betaab Is Tasveer Ki Kab Tak
Ye Bolaa Chaahti Hai Par Na Bole Gi Na Boli Hai
[Ameer Meenai]
****************************************
Lagtaa Hai Kai Raaton Se Jaagaa Tha Musavvir
Tasveer Ki Aankhon Se Thakan Jhaank Rahi Hai
[Unknown]
****************************************
Teri Tasveer Se Karta Tha Baaten
Mere Ghar Men Aaina Nahin Tha
[Majaz]
****************************************
Dekh Ke Jis Ko Dil Dukhata Tha
Vo Tasveer Jalaa Di Ham Ne
[Farhat Shehzad]
****************************************
Jalva Na Ho Maani Ka To Soorat Ka Asar Kya
Bulbul Gul-E-Tasveer Ka Shaida Nahin Hota
[Unknown]
****************************************
Haadise Aur Bhi Guzre Teri Ulfat Ke Sivaa
Haan Mujhe Dekh Mujhe Ab Meri Tasveer Na Dekh
[Majrooh Sultanpuri]
****************************************
Naqsh Fariyaadi Hai Kis Ki Shokhi-E-Tahreer Ka
Kaaghazi Hai Pairahan Har Paikar-E-Tasveer Ka
[Mirza Ghalib]
****************************************
Chand Tasveer-E-Butaan Chand Hasinon Ke Khutoot
Baad Marne Ke Mere Ghar Se Ye Saamaan Niklaa
[Mirza Ghalib]
****************************************
Dil Gaya Tha To Ye Aankhen Bhi Koi Le Jaataa
Main Faqat Ek Hi Tasveer Kahaan Tak Dekhoon
[Ahmed Nadeem Qasmi]
****************************************
Meri Tasveer Mein Rang Aur Kisi Kaa To Nahin
Gher Len Mujh Ko Sab Aa Ke Main Tamaasha To Nahin
[Unknown]
****************************************
Ham Un Ki Tasveer Dil Men Chhipaaye Baithe Hain
Veeraan Zindagi Mein Ek Gul Khilaaye Baithe Hain
[Unknown]
****************************************
Maanind-E-Aks Dekha Use Aur Na Mil Sake
Kis Roo Say Phir Kahenge Ke Roz-E-Visaal Thaa
[Mir Hasan]
****************************************
Sunaat Ke Musavvir Ne Sabaahat Ke Safeh Par
Tasveer Banaai Hai Tere Noor Ko Hal Kar
[Wali Deccani]
****************************************
Uroos-E-Maanaa Ki Tasveer Khainch Aati Hai 'Sauda' Ko
Koi Khaatir Mein Us Ki Maani-O-Behzad Aataa Hai
[Mohammed Rafi Sauda]
****************************************
Rahe Hain Naqsh Mere Chashm-O-Dil Par Yoon Teri Soorat
Musavvir Ki Nazar Mein Jis Tarah Tasveer Phirti Hai
[Hasrat Azeemabadi]
****************************************
Muddaton Pahle Jab Tujh Se Taarruf Bhi Na Tha
Teri Tasveer Banaate The Khayaalat Mere
[Unknown]
****************************************
Teri Soorat Se Nahin Milti Kisi Ki Soorat
Ham Jahaan Mein Teri Tasveer Liye Phirte Hain
[Nasikh]
****************************************
Ghalat Hai Aap Na The Ham-Kalaam Khalvat Men
Adoo Se Aap Ki Tasveer Bolti Hogi
[Riaz Khairabadi]
****************************************
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Ghark Hone Ko Bhi Tasveer Ka Lahjaa Chaahe
[Unknown]
****************************************
Javaani Kya Hai Goya Ek Tasveer-E- Muhabbat Ke
Jis Mein Rangon Ki Evaz Khoon-E-Jigar Bharte Hain
[Unknown]
****************************************
Bane Huye Hain Woh Mehfil Mein Soorat-E-Tasveer
Har Ek Ko Yun Gumaan Hai Ki Idhaar Ko Dekhte Hain
[Daagh Dehlvi]
****************************************
Mila Jawaab Ke Tasveer-Khaana Hai Duniya
Shab-E-Daraaz Ad'm Ka Fassaana Hai Duniya
[Iqbal]
****************************************
Tasveer Hai Khinchi Hui Naaz-O-Niyaaz Ki
Main Sar Jhukaaye Aur Woh Khanjar Liye Huwe
[Iqbal Azeem]
****************************************
Koi Din To Us Pe Kya Taswir Ka Aalam Raha
Har Koi Hairat Ka Putla Dekh Kar Ban Jaae Tha
Momin
****************************************
Ahd-E-Gum-Gashta Ki Tasveer Dikhaati Kyon Ho?
Ek Aawaara-E-Manzil Ko Sataati Kyon Ho?
[Sahir Ludhianvi]
****************************************
Tasveer Hai Khinchi Hui Naaz-O-Niyaaz Ki
Main Sar Jhukaaye Aur Woh Khanjar Liye Huwe
[Asghar Gondvi]
****************************************
Ye Baat Alag Haath Kalam Ho Gaye Apne
Ham Aap Ki Tasveer Banaanaa Nahin Bhoole
[Saghar Azmi]
****************************************
Tum Saraapa Ho Surat-E-Tasveer
Tum Se Phir Baat Kya Kare Koi
Jis Main Laakhon Baras Ki Huren Hon
Aisi Jannat Ko Kya Kare Koi
[Daagh]
****************************************
Aaj Sadkon Pe Tasveer Banate Rahe
Ungliyan Toot Chuki Jab Yeh Hunar Aaya Tha
[Rahat Indori]
****************************************
Insaan Ki Tasveer Nayi Ho Ke Puraani,
Matloob Mujhe Husn Hai Aur Husn-E-Ma’ani,
[Hafeez Jaladhri]
****************************************
Firdaus Badaman Hai Har Naqsh-E-Khayal In Ka
Yeh Shaan-E-Tassavur Hai Tasveer Ko Kya Kahiye
[Fani Badayuni]
****************************************
Bane Huye Hain Woh Mehfil Mein Soorat-E-Tasveer
Har Ek Ko Yeh Gumaan Hai Ki Idhar Ko Dekhte Hain
[Daagh]
****************************************
0 Comments