Dil Shayari

Dil shayari


Vo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daghaa Kare Vo Kisi Se To Sharm Aaye Mujhe

[Qateel Shifai]

------------------------------

Main Muddaton Jiyaa Hoon Kisi Dost Ke Baghair
Ab Tum Bhi Saath Chhodne Ko Kah Rahe Ho, Khair

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Ham Se Poochho Na Dosti Ka Sila
Dushmanon Ka Bhi Dil Hila Dega

[Sudarshan Faakir]

------------------------------

Vo Zamaana Bhi Tumhein Yaad Hai Tum Kahte They
Dost Duniya Mein Nahin ‘Daagh’ Se Behtar Apna

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Meri Khushi Se Mere Doston Ko Gham Hai ‘Shamim’
Mujhe Bhi Is Ka Bahut Gham Hai Kya Kiya Jaaye

[Shamim Jaipuri]

------------------------------

Dost Gham-Khvaari Mein Meri Sa’yi Farmaayen Ge Kya
Zakhm Ke Bharne Talak Naakhoon Na Badh Jaayen Ge Kya

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Ai Dost Yoon To Ham Teri Hasrat Ko Kya Kahen
Lekin Ye Zindagi Bhi Koi Zindagi Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Jo Munkir-E-Wafaa Ho Fareb Us Pe Kya Chale
Kyon Bad-Gumaan Hoon Dost Se Dushman Ke Baab Mein

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Nahin Gar Hamdardi Aasaan Na Ho Ye Rashk Kya Kam Hai
Na Di Hoti Khudaaya Aarzoo-E-Dost Dushman Ko

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Bhool Shayad Bahut Badi Kar Li
Dil Ne Duniya Se Dosti Kar Li

[Bashir Badr]

------------------------------

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho ‘Faraz’
Dost Hota Nahin Har Haath Milaane Vaalaa

[Ahmad Faraz]

------------------------------

Dhoondhne Par Bhi Na Miltaa Tha Mujhe Apna Wajood
Main Talaash-E-Dost Men Yoon Be-Nishaan Tha Dosto

[Jagannath Azad]

------------------------------

Bad-Gumaan Ho Ke Mil Ai Dost Jo Milnaa Hai Tujhe
Ye Jhijhakte Huwe Milnaa Koi Milnaa Bhi Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

------------------------------

Hamen Bhi Doston Se Kaam Aa Padaa Ya’ni
Hamaare Doston Ke Bevafaa Hone Ka Vaqt Aaya

[Hari Chand Akhtar]

------------------------------

‘Ghalib’ Nadim-E-Dost Se Aati Hai Boo-E-Dost
Mashghool-E-Haq Hoon Bandagi-E-Butaraab Men

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Doston Se Aaj Mulaaqaat Ki Shaam Hai
Ye Sazaa Kaat Ke Phir Apne Ghar Ko Jaaoon Ga

[Mazhar Imam]

------------------------------

Dushmanon Se Pashemaan Honaa Pada
Doston Ka Khuloos Aazamaane Ke Baad

[Khumar Barabankvi]

------------------------------

Hataaye They Jo Raah Se Doston Ki
Vo Patthar Mere Ghar Men Aane Lage Hain

[Khumar Bbarabankvi]

------------------------------

Kya Laayaq-E-Sitam Bhi Nahin Ab Main Doston
Pathhar Bhi Ghar Mein Aaye Zamaane Guzar Gaye

[Khumar Barabankvi]

------------------------------

Saaf Kab Imtihaan Lete Hain Woh To Dam De Ke Jaan Letey Hain
Zid Har Ek Baat Men Nahin Achchi Dost Ki Dost Maan Letey Hain

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Girey Gi Kahaan Ye Barq Dosto
Mera To Kahin Aashiyaan Bhi Nahin

[Mumtaz Mirza]

------------------------------

Kya Lutf-E-Dosti Ki Nahin Lutf-E-Dushmani
Dushman Ko Bhi Jo Dekhiye Pooraa Kahan Hai Ab

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaaye
Dushmanon Ki Bhi Raay Li Jaaye

[Raha Indori]

------------------------------

Ai Dost Tum Se Tark-E- Ta'alluq Ke Baa-Wajood
Mahsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi

[Sahir Ludhianvi]

------------------------------

Ye Kahaan Ki Dosti Hai Ke Bane Hain Dost Naaseh
Koi Chaara-Saaz Hotaa Koi Gham-Gusaar Hotaa

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Mujhe Mere Doston Se Bachaaiye ‘Rahi’
Dushmanon Se Main Khud Nipat Loon Ga

[Saeed Rahi]

------------------------------

Ye Fitna Aadami Ki Khaana-Viraani Ko Kya Kam Hai
Huwe Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasamaan Kyon Ho

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Laakh Be-Mehar Sahi Dost To Rakhtey Ho ‘Faraz’
Inhen Dekho Ke Jinhen Koi Bhi Sitam-Gar Na Milaa

[Ahmed Faraz ]

------------------------------

Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhaane Waala
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamaane Waala!!

[Ahmad Faraz]

------------------------------

Yon Lage Dost Tera Mujh Se Khafa Ho Jaanaa
Jis Tarah Phool Se Khushboo Ka Juda Ho Jaanaa

[Qateel Shifai]

------------------------------

Dost Ban Ban Ke Mile Mujh Ko Mitaane Vaale
Main Ne Dekhe Hain Kai Rang Badalane Vaale

[Saeed Rahi]

------------------------------

Mere Hamnafas, Mere Hamnavaa, Mujhe Dost Banke Dagha Na De
Main Hoon Dard-E-Ishq Se Jaan-Ba-Lab, Mujhe Zindagi Ki Dua Na De

[Shakeel Badayuni]

------------------------------

Ai Dost Mit Gaya Hoon Fanaa Ho Gaya Hoon Main
Is Daur-E-Dosti Ki Dava Ho Gaya Hoon Main

[Hafeez Jullundhary]

------------------------------

Doston Ko Bhi Mile Dard Ki Daulat Yaa-Rabb
Mera Apna Hi Bhala Ho Mujhe Manzoor Nahin

[Hafeez Jalandhri]

------------------------------

Har Taraf Zeest Ki Raahon Mein Kadi Dhoop Hai Dost
Bas Teri Yaad Ke Saaye Hain Panaahon Ki Tarah

[Sudarshan Fakhir]

------------------------------

Khuda Jab Dost Hai Ai ‘Daagh’ Kya Dushman Se Andesha
Hamaara Kuchh Kisi Ki Dushmani Se Ho Nahin Sakta

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Apnon Ne Nazar Pheri To Dil Ne To Diya Saath
Duniya Mein Koi Dost Mere Kaam To Aayaa

[Shakeel Badayuni]

------------------------------

Baat Kam Keejey Zahaanat Ko Chhupaate Rahiye
Yeh Naya Shahr Hai Kuch Dost Banaate Rahiye

[Nida Fazli]

------------------------------

Mera Zameer Bahut Hai Mujhe Saza Ke Liye
Tu Dost Hai To Naseehat Na Kar Khuda Ke Liye

[Shaz Tamaknat ]

------------------------------

Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein
Be-Wafaa Dost Yaad Aate Hain

[Faiz Ahmad Faiz]

------------------------------

Dosti Jab Kisi Se Kee Jaaaye
Dushmanon Ki Bhi Raay Lee Jaaye

[Rahat Indori]

------------------------------

Ai Dost Aa Bhi Jaa Ke Main Tasdeeq Kar Sakoon
Sab Keh Rahe Hain Aaj Faza Khush-Gawaar Hai

------------------------------

Dost Kya Khoob Wafaaon Ka Sila Detey Hain
Har Ek Mod Pe Ek Zakham Naya Detey Hain

Tum Sey To Khair Ghari Bhar Ki Mulaqat Rahi
Log Sadiyon Ki Rafaaqat Ko Bhula Detey Hain

Kaun Hota Hai Museebat Mein Kisi Ka Ai Dost
Aag Lagti Hai To Pattey Bhi Hawa Detey Hain

Jin Pe Hota Hai Dil Ko Bharosa 'Tawish'
Waqt Parne Pe Wohi Log Dagha Detey Hain

------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Best Urdu Shayari Collection
    https://zgpoetry.blogspot.com/

    ReplyDelete

–>