Shama Shayari

shama


Rukh-E-Raushan Ke Aage Shama Rakh Kar Woh Yeh Kahte Hain,
Idhar Aata Hai, Dekhen, Ya Udhar Parwana Jata Hai.

[ Dagh Dehlvi ]

-----------------------


Shama-Roo Aap Ho Gaye Lekin,
Lutf-E-Soz-O-Gudaaz Kya Jaanen.

Daagh Dehlvi

-----------------------


Subah Tak Shama Sar Ko Dhunti Rahi,
Kya Patange Ne Iltemaas Kiya

[ Mir Taqi Mir ]

-----------------------


Kya Patange Ko Shama Roye, ‘Meer’,
Uski Shab Ko Bhi To Hai Sahar Darpesh.

[ Mir Taqi Mir ]

-----------------------


Ai Shama Teri Umr-E-Taba’i Hai Ek Raat,
Hans Kar Guzaar Ya Ise Ro Kar Guzaar De.

[ Zauq ]

-----------------------


Dagh-E-Firaq-E-Suhbat-E-Shab Ki Jali Hui,
Ik Shama Rah Gai Hai, Woh Bhi Khamosh Hai.

[ Mirza Ghalib ]

-----------------------


Ghum-E-Hasti Ka, ‘Asad’, Kis Se Ho Juz Marg Ilaj,
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak.

[ Mirza Ghalib ]

-----------------------


Parwaane Ko Kis Liye Jalaya, Ai Shama,
Be Jurm Ko Khaak Mein Milaya, Ai Shama,

Sar Katne Se Bhi Zara Shararat Na Gayi,
Tu Ne To Ghazab Hi Sar Uthaya, Ai Shama.

[Momin]

-----------------------


Guzashta Ahd Ki Yaadon Ko Phir Karo Taaza,
Bujhe Chiragh Jalaao, Bahut Andhera Hai

[ Firaq Gorakhpuri ]

-----------------------


In Mein Lahu Jala Ho Hamara Ke Jaan-O-Dil,
Mahfil Mein Kuchh Chiragh Firozaan Hue To Hain.

[ Faiz Ahmad Faiz ]

-----------------------


Tuk ‘Meer’-E-Jigar-Sokhta Ki Jald Khabar Le,
Kya Yaar Bharosa Hai Chiragh-E-Sahri Ka.

[ Mir Taqi Mir ]

-----------------------


Kuchh Na Dekha Phir Ba-Juz Yak Shola-E-Pur Pech-O-Taab,
Shama Tak To Hum Ne Bhi Dekha Ke Parwana Gaya.

[ Mir Taqi Mir ]

-----------------------


Shama Bujhti Hai, To Us Mein Se Dhuan Uthta Hai,
Shola-E-Ishq Siyah-Posh Hua Mere Baad.

[ Mirza Ghalib ]

-----------------------


Tapak Ai Shama Aansu Ban Ke Parvaane Ki Aankhon Se
Saraapa Dard Hoon Hasrat Bhari Hai Daastaan Meri

[Allama Iqbal]

-----------------------


Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri,
Zindagi Shama’ Ki Soorat Ho, Khudaya Meri.

[Allama Iqbal]

-----------------------


Ho Shama-E-Bazm-E-Aish, Ke Shama-E-Mazaar Tu,
Har Haal Ashk-E-Ghum Se Rahi Hum-Kinaar Tu.

[ Allama Iqbal]

-----------------------


Shama Parwaane Se Kehti Hai Yeh Rokar Shab-E-Hijr
Aaj Ki Raat Bachenge To Saher Dekhenge

[Unknown]

-----------------------


Bujhi Hui Shama Ka Dhuaan Hoon Aur Apne Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasti To Mit Chuki Hai Ab Apni Hasti Mita Raha Hoon

[Jigar Moradabadi]

-----------------------


Andaz Hai Jazb Is Mein Sab Shama-E-Shabistan Ke,
Ik Husn Ki Duniya Hai Khakstar-E-Parwaana

[Asghar Gondvi]

-----------------------


Aaandhiyan Tod Liya Karti Thin Shama’on Ki Laven
Jad Diye Is Liye Bijli Ke Sitaare Hum Ne

[Kaifi Azmi]

-----------------------


Shama-E- Rukh-E-Janaan Ke Hain Parwaane Hazaaron
Lekin Dar-E-Jaanan Mein Hazaaron Ki Kami Hai

[Aziz Barabankvi]

-----------------------


Jinki Aankhon Ko Rukh-E-Subh Ka Yaara Bhi Nahin
Unki Raaton Main Koi Shama Munawwar Kar De

[Faiz Ahmas Faiz]

-----------------------


Yoon Achaanak Tere Aariz Ka Khayaal Aataa Hai
Jaise Zulmaat Mein Koi Shama’ Bhadak Uthti Hai

[Sahir Ludhianvi]

-----------------------


Is Noor-E-Majsam Ke Afsaane Ko Kya Kahiye
Hai Shama Bhi Parvana Parvaane Ko Kya Kahiye

[Fani Badayuni]

-----------------------


Zindagi Shama Ki Maanind Jalaataa Hoon "Nadeem"
Bujh To Jaaoon Ga Magar Subah To Kar Jaaoon Ga

[Ahmed Nadeem Qasmi]

-----------------------


Shamaa Ki Maanind Ham Is Bazm Mein
Chashm-Nam Aaye The Daaman Tar Chale

[Meer Dard]

-----------------------


Shama Hai Gul Bhi Hai Bul-Bul Bhihai Paravana Bhi
Raat Ke Raat Ye Sab Kuch Hai Sahar Kuch Bhi Nahi

[Alam Tab Tashna]

--------------------


Tapak Ai Shamma Aansoo Ban Kar Parwaane Ki Aankhon Sey
Saraapa Dard Hoon Hasrat Bhari Hai Daastaan Meri

--------------------


Qaabil-E-Bahes To A’maal Hain Parwaanon Ke
Shama Ma’soom Hai, Ma’soom Par Ilzaam Nahin

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>