Ghair Ke Dhoke Mein Khat Le Ke Meraa Qaasid Se
Padhne Ko Padh To Liyaa Magar Naam Chhod Diyaa
[Nizam Rampuri]
******************************
Vo Aur Vaada Vasl Kaa Qaasid Nahin Nahin
Sach Sach Bataa Ye Lafz Unhin Ki Zabaan Ke Hain
[Amir Meenai]
******************************
Qaasid Ki Guftagoo Se Tasalli Ho Kis Tarah
Chhipti Nahin Vo Jo Teri Zabaan Ki Hai
[Daagh Dehlvi]
******************************
Phirtaa Hai Mere Dil Men Koi Harf-E-Mudda'a
Qaasid Se Kah Do Aur Na Jaaye Zaraa Si Der
[Daagh Dehlvi]
******************************
Qaasid Payaam-E-Shauq Ko Denaa Bahut Na Tool
Kahanaa Faqat Ye Un Se Ki Aankhen Taras Gain
[Jaleel Manakpuri]
******************************
Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaantaa Hoon Jo Vo Likhenge Javaab Mein
[Mirza Ghalib]
******************************
Aati Hai Baat Baat Mujhe Baar Baar Yaad
Kahtaa Hoon Daud Daud Ke Qaasid Se Raah Mein
[Daagh Dehlvi]
******************************
Un Ke Dar Tak Pahunch Gaya Qaasid
Aage Taqdeer Ki Rasaai Hai
[Daagh Dehlvi]
******************************
Koi Naam-O-Nishaan Poochhe To Ai Qaasid Bataa Dena
Takhallus "Daagh" Hai Aur Aashiqon Ke Dil Men Rahate Hain
[Daagh Dehlvi]
******************************
Ye Qaasid Hi Jaane Hai Jo Hai Apnaa Haal-E-Dil
Jo Tujhe Ye Ilm Hota To Ye Haal Hi Na Hotaa
[Unknown]
******************************
Vo Kab Sunane Lage Qaasid Magar Yoon Hi Sunaa Dena
Milaa Kar Doosron Ki Daastaan Mein Daastaan Meri
[Unknown]
******************************
Ta-Ammul To Thaa Un Ko Aane Mein Qaasid
Magar Ye Bataa Tarz-E-Inkaar Kyaa Thi
[Iqbal]
******************************
Khat Ke Purze Aaye Hain Qaasid Ka Sar Tasvir-E-Ghair
Ye Hai Bhejaa Us Sitam-Gar Ne Mere Khat Kaa Javaab
[Unknown]
******************************
Qaasid Hai Tu Khuda Ka Agar Chitthiyaan Hi Baant
Un Chitthiyon Pe Too Likhaa Apnaa Pataa Na Dekh
[Surendra Chaturvedi]
******************************
Qaasid Chalaa To Hai Khabar-E-Yaar Ke Liye
Itnaa Rahe Khayaal Ki Aankhon Mein Jaan Hai
[Unknown]
******************************
Ek Muddat Se Na Qaasid Hai Na Khat Hai Na Payaam
Apne Vaade Ko Too Kar Yaad Mujhe Yaad Na Kar
[Jaleel Manikpuri]
******************************
Kyaa Jaane Likh Diyaa Kyaa Use Izteraab Mein
Qaasid Ki Laash Aai Hai Khat Ke Javaab Mein
[Momin]
******************************
Tu Dekh Rahaa Hai, Jo Meraa Haal Hai Qaasid
Mujh Ko Yahi Kahnaa Hai Main Kuchh Nahin Kahta
[Kaif Dehlvi]
******************************
Qayaamat Hai Ye Kah Kar Us Ne Lautaaya Hai Qaasid Ko
Ki Un Ka To Har Ik Khat Aakhiri Paighaam Hotaa Hai
[Sheri Bhopali]
******************************
Kyaa Mere Haal Pe Sach-Much Unhen Gham Tha Qaasid
Too Ne Dekhaa Thaa Sitaaraa-E-Mizgaan Koi
[Unknown]
******************************
Qaasid Aayaa Hai Vahaan Se To Zaraa Tham To Sahi
Baat To Karne De Us Se Dil-E-Betaab Mujhe
[Unknown]
******************************
Vo Bad-Khoo Aur Meri Daastan-E-Ishq Toolaani
Ibaarat Mukhtasar Qaasid Bhi Ghabraa Jaaye Hai Mujh Se
[Mirza Ghalib]
******************************
Paa-E-Qaasid Phirte Phirte Ghis Gaye Misl-E-Qalam
Khat Wo Leta Hi Nahin, Kya Faaeyda Tahreer Se
[Nasikh]
******************************
Mere Likhe Ko Mitaaya Aap Ne Achcha Hua
Tha Shugoon Hi Mudd'aa Yaan Naame Ki Tehreer Se
[Momin]
******************************
Ashkon Ke Nishaan Parcha-E-Saada Pe Hain Qaasid
Ab Kuchh Na Bayaan Kar Ye Ibaarat Hi Bahut Hai
[Ehsan Ali Khan]
******************************
Qaasid Ke Hosh Gum The Yek -Tarfaa Maajraa Thaa
Kahta Tha Kuchh Zabaani Aur Khat Mein Kuchh Likhaa Thaa
[Zaki]
******************************
Pahunche Na Vahaan Tak Ye Duaa Maang Rahaa Hoon
Qaasid Ko Udhar Bhej Ke Dhyaan Aaye Hai Kyaa Kyaa
[Mir Zamin Ali Jalal]
******************************
Qaasid Yahaan Se Barq Tha Par Nisf Raah Mein
Beemaar Ki Hai Chaal Qadam Naa-Tawaan Ke Hain
[Daagh Dehlvi]
********************************
O Qaasid Jab Too Jaaye Mere Dildaar Ke Aage
Adab Se Sar Jhukaanaa Husn Ki Sarakaar Ke Aage
Gar Moonh Se Na Kah Paaye To Aankhon Se Bayaan Karna
Mere Gham Kaa Har Ek Qissaa Mere Gham-Khvaar Ke Aage
[Unknown]
*********************************
2 Comments
Awesome post.
ReplyDeleteArmy Shayari
Sharabi Shayari
Dil Shayari
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete