Jaun Elia - Zindaniyan-E-Shaam-O-Sahar Khairiyat Sey Hain

Zindaaniyaan-E-Shaam-O-Sahar Khairiyat Sey Hain

Zindaaniyaan-E-Shaam-O-Sahar Khairiyat Sey Hain
Har Lamha Jee Rahey Hain Magar Khairiyat Sey Hain

Shehr-E-Yaqeen Mein Ab Koi Dam-Kham Nahin Raha
Dasht-E-Gumaan Ke Khaak Basar Khairiyat Sey Hain

Aakhir Hai Kaun Jo Kisi Pal Keh Sakey Yeh Baat
Allaah Aur Tamaam Bashar Khairiyat Sey Hain

Hai Apney Apney Taur Pa Har Cheez Iss Ghari
Mizgaan-E-Khushk-O-Daaman-E-Tar Khairiyat Sey Hain

Ab Faislon Ka Kam-Nazaron Par Madaar Hai
Yani Tamaam Ahl-E-Nazar Khairiyat Sey Hain

Pairon Sey Aablon Ka Wohi Hai Mua’amla
Saudaaiyaan-E-Haal Ke Sar Khairiyat Sey Hain

Hum Jin Gharon Ko Chhor Ke Aaye They Naa-Gahaan
Shikwe Ki Baat Hai,Wo Agar Khairiyat Sey Hain

Loo Chal Rahi Hai,Mahw Hai Apne Mein Dopahar
Khaak Ur Rahi Hai Aur Khandar Khairiyat Sey Hain

Hum Ahl-E-Shehr Apne Jawaanon Ke Darmyaan
‘Jaun’ ! Ek Mo’jiza Hai Agar Khairiyat Sey Hain

Barbaad Ho Chuka Hai Hunar Ek Hunar Ke Saath
Aur Apne Saahibaan-E-Hunar Khairiyat Sey Hain

Shukr-E-Khuda Shaheed Huey Ahl-E-Haq Tamaam
Bargustawaan-E-Teigh-O-Tabar Khairiyat Sey Hain

Ab Us Ka Qasr-E-Naaz Kahaan Aur Woh Kahaan
Bas Dar Hai Aur Banda-E-Dar Khairiyat Sey Hain

Hum Hain Ke Shaayari Hai Hamaare Liye Azaab
Warna Tamaam Josh-O-Jigar Khairiyat Sey Hain

Shayar To Do Hain ‘Meer Taqi’ Aur Meer ‘Jaun’
Baaqi Jo Hain Woh Shaam-O-Saher Khairiyat Sey Hain

-------------------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. Great work by you and your team.I really appreciate your efforts and i am so thankful to you for giving us a lifestyle and biography of Sir John Elia......
    So thank you very much

    ReplyDelete

–>