Koi Aahat Koi Aavaaz Koi Chaap Nahin
Dil Ki Galiyaan Badi Sunasaan Hain Aaye Koi
[Parvin Shakir]
******************************
Dekh To Dil Ke Jaan Se Uthataa Hai
Ye Dhuaan Sa Kahaan Se Uthataa Hai
[Meer Taqi Meer]
******************************
Kisi Ko De Ke Dil Koi Navaa Sanj-E-Fughaan Kyon Ho
Na Ho Jab Dil Hi Seene Mein To Phir Munh Men Zabaan Kyon Ho
[Ghalib]
******************************
Jalaa Hai Jism Jahaan Dil Bhi Jal Gayaa Hoga
Kuredte Ho Ab Raakh Justujoo Kyaa Hai
[Ghalib]
******************************
Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kyon
Royenge Ham Hazaar Baar Koi Hamein Sataaye Kyon
[Ghalib]
******************************
Dil-E-Naadaan Tujhe Huaa Kyaa Hai
Aakhir Is Dard Ki Davaa Kyaa Hai
[Ghalib]
******************************
Dil Ki Haqiqat Arsh Ki Azamat Sab Kuchh Hai Maaloom Hamein
Sair Rahi Hai Aksar Apani In Paakeezaa Makaanon Men
[Mir Taqi Mir]
******************************
Mere Dil Men Too Hi Too Hai Dil Ki Davaa Kyaa Karoon
Dil Bhi Too Hai Jaan Bhi Too Hai Tujhpe Fidaa Kyaa Karoon
[Unknown]
******************************
Behtar To Hai Yahi Ke Na Duniya Se Dil Lage
Par Kya Karen Jo Kaam Na Be-Dillagi Chale
[Zauq]
******************************
Phirte Huye Kisi Ki Nazar Dekhte Rahe
Dil Khoon Ho Rahaa Tha Magar Dekhte Rahe
[Asar Lucknawi]
******************************
Ab Kya Bataaoon Main Tere Milne Se Kya Mila
Irfaan-E-Gham Huaa Mujhe Dil Ka Pata Mila
[Seemab Akbarabadi]
******************************
Koi Mere Dil Se Poochhe Tere Teer-E-Neem-Kash Ko
Ye Khalish Kahaan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota
[Ghalib]
******************************
Haan Vo Nahin Khuda-Parast, Jaao Vo Bevafaa Sahi
Jis Ko Ho Deen-O-Dil Aziz Us Ki Gali Mein Jaae Kyon
[Ghalib]
******************************
Dil Se Khayaal-E-Yaar Ko Taale Huye To Hain
Ham Jaan De Ke Dil Ko Sambhaale Hue To Hain
[Fani Badayuni]
******************************
Kisi Ke Jaur-O-Sitam Ka To Ik Bahaanaa Tha
Hamaare Dil Ko Bahar-Haal Toot Jaanaa Tha
[Naresh Kumar Shad]
******************************
Rahte The Kabhi Jinke Dil Men Ham Jaan Se Bhi Pyaaron Ki Tarah
Baithe Hain Unhin Ke Kooche Men Ham Aaj Gunah-Gaaron Ki Tarah
[Majrooh Sultanapuri]
******************************
Is Ka Rona Nahin, Kyon Tumne Kiya Dil Barbaad
Is Ka Gham Hai Ki Bahut Der Mein Barbaad Kiya
[Josh Malihabadi]
******************************
Ek Din Kah Leejiye Jo Kuchh Hai Dil Mein Aap Ke
Ek Din Sun Leejiye Jo Kuchh Hamaare Dil Men Hai
[Josh Malihabadi]
******************************
Le Gaya Chheen Ke Kaun Aaj Teraa Sabr-O-Qaraar
Be-Qaraari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi
[Bahadurshah Zafar]
******************************
Dil Ka Kya Ho Gaya, Khudaa Jaane
Kyon Hai Aisa Udaas Kya Jaane
[Daagh Delhavi]
******************************
Dil Le Ke Muft, Kahte Hain Kuchh Kaam Ka Nahin
Ulti Shikaayaten Huin, Ehsaan To Gaya
[Daagh Delhavi]
******************************
Dil Mein Ab Yoon Tere Bhoole Hue Gham Aate Hain
Jaise Bichhde Hue Kaabe Mein Sanam Aate Hain
[Faiz Ahmed Faiz]
******************************
Dil Naa-Ummeed To Nahin Naa-Kaam Hi To Hai
Lambi Hai Gham Ki Shaam Magar Shaam Hi To Hai
[Faiz Ahmed Faiz]
******************************
Dil Hai Seene Mein Nahin Main Koi Patthar Ka Sanam.
Mujh Ko Rone Bhi Do Hansne Bhi Do Insaan Hoon Main
[Unknown]
******************************
Woh Din Gaye Ki Thi Mere Seene Mein Kuchh Kharaash
Ab Dil Kahaan Hai Dil Ka Nishaan Yaad Reh Gaya
[Daagh Dehlvi]
*******************************************
Hain Tere Dil Mein Sab Ke Thikaane Bure Bhale
Main Khaanma Kharaab Hi Barbaad Reh Gaya
[Daagh Dehlvi]
*******************************************
Jab Tere Dil Se Utar Jaata Hai Dil
Jeete Jee Kambakht Mar Jaata Hai Dil
Raah Mein Kaaba Bhi Hai But-Khaana Bhi
Dekhiye Le Ke Kidhar Jaata Hai Dil
Kis Ki Nibhti Hai Hamesha Rasm-O-Raah
Chaar Din Mein ‘Daagh’ Bhar Jaata Hai Dil
[Daagh Dehlvi]
More Dil Shayari
*******************************************
0 Comments