Baarish Shayari

baarish shayri



Kal Halki Halki Baarish Thi,
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha,

Kal Phool Bhi Nikhre Nikhre They,
Kal Un Men Aap Ka Aks Bhi Tha,

Kal Baadal Gehre Kaale They,
Kal Chand Pe Laakhon Pehre They

Kuch Tukde Aap Ki Yaadon Ke,
Badi Der Se Dil Men Thehre They

Kal Yaaden Uljhi Uljhi Theen,
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Theen

Kal Yaad Bahut Tum Aaye They
Kal Yaad Bahut Tum Aaye They

[Parveen Shakir]

-------------------------


Baarish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye
Mausam Ke Haath Bhig Ke Saffaak Ho Gaye

Baadal Ko Kya Khabar Ki Baarish Ki Chaah Men
Kitne Buland-O-Baalaa Shajar Khaak Ho Gaye

Jugnoo Ko Din Ke Vaqt Pakadne Ki Zid Karen
Bachche Hamaare Ahad Ke Chaalaak Ho Gaye

Laharaa Rahi Hai Barf Ki Chaadar Hataa Ke Ghaas
Sooraj Ki Shah Pe Tinke Bhi Bebaak Ho Gaye

Sooraj Dimaagh Log Bhi Iblaagh-E-Fikr Men
Zulf-E-Shab-E-Firaaq Ke Pechaak Ho Gaye

Jab Bhi Gharib-E-Shahar Se Kuchh Guftagoo Hui
Lahaje Havaa-E-Shaam Ke Namnaak Ho Gaye

Saahil Pe Jitne Aab-Guzidaa The Sab Ke Sab
Dariyaa Ke Rukh Badalte Hi Tairaak Ho Gaye

[Parveen Shakir]

-------------------------


Ajeeb Shakhs Tha, Baarish Ka Rang Dekh Ke Bhi
Khule Dareeche Pe Ek Phooldaan Chhod Gaya

Jo Baadalon Se Bhi Mujhko Chhupaaye Rakhta Tha
Badhi Hai Dhoop To Besaayibaan Chhod Gaya

[Parveen Shakir]

-------------------------


Narm Aawaz Bhali Baatain Mohazzab Lehje
Pahli Baarish Main Hi Ye Rang Utar Jaate Hain

[Javed Akhtar]

-------------------------


Varna Ab Talak Yoon Tha Khvaahishon Ki Baarish Mein
Yaa To Toot Kar Royaa Yaa Ghazal-Saraai Ki

[Ahmed Faraz]

-------------------------


Ham To Samajhe They Ke Barsaat Mein Barse Gi Sharaab
Aayi Barsaat To Barsaat Ne Dil Tor Diyaa

Sudarshan Fakhir

-------------------------


Rehne Do Ab Ke Tum Bhi Mujhey Parh Na Sako Ge
Barsaat Mein Kaaghaz Ki Tarah Bheeg Gaya Hon

-------------------------


Wohi Barsaat Ka Mausam, Wohi Chhaaye Hue Baadal!
Woh Rut Laut Aayi Hai Lekin Woh Lamha Kyun Nahin Aaya

Qateel Shifai

-------------------------


Na Bach Sake Ga Adhoora Makaan Bhi Uska
Mujhe Khabar Hai Ki Barsaat Hone Waali Hai

Ameer Qazalbash

-------------------------


Barsaat Ke Aatey Hi, Tauba Na Rahi Baaqi
Baadal Jo Nazar Aaye, Badli Meri Neeyat Bhi

-------------------------


Bad-Naseebi Ka Main Qaa'il To Nahin Hoon, Lekin
Main Ne Barsaat Mein Jalte Hue Ghar Dekhe Hain

Ahmad Nadeem Qasmi

-------------------------


Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thi, Main Waaqif Na Thaa
Be-Sabab Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko

Shahryar

-------------------------


Kab Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabze Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbey Dhulen Ge Kitni Barsaaton Ke Ba’d

Faiz Ahmad Faiz

-------------------------


Shaam Se Le Kar Pau Phatne Tak, Kitni Ruten Badalti Hain
Aas Ki Kaliyaan, Yaas Ke Patjhar, Subah Ke Ashkon Ki Barsaat!

Ibn-E-Insha

-------------------------


Maza Barsat Ka Chaho To In Aankhon Mein Aa Baitho
Wo Barson Mein Kabhi Barsen, Yeh Barson Se Barasti Hain

-------------------------


Kitne Betaab They Rim-Jhim Mein Piyenge Lekin
Aayi Barsaat To Barsaat Pe Ronaa Aayaa

Saifuddin Saif

-------------------------


Barsaat Mein Deewaar-O-Dar Ki Saari Tehreeren Mitin
Mitata Nahin Dhoyaa Bahut Taqdeer Ka Likha Huwaa

-------------------------


Kal Bhi Boondein Barsi Thin
Kal Bhi Baadal Chhaye The

Aur Kavi Ne Sochaa Thaa

Baadal Ye Aakaash Ke Sapne, In Zulfon Ke Saaye Hain
Dosh-E-Hawaa Par Maikhaane Hi Maikhaane Ghir Aaye Hain
Rut Badlegi, Phool Khileinge, Jhonke Madhu Barsaayeinge
Ujle Ujle Kheton Mein Rangeen Aanchal Lahraayeinge
Charwaahe Bansi Ki Dhun Se Geet Fazaa Mein Boyeinge
Aamon Ke Jhundon Ke Neeche Pardesi Dil Kholeinge
Peng Barhaati Gori Ke Maathe Se Kaunde Lapkeinge
Johar Ke Thahre Paani Mein Taare Aankhein Jhapkeinge
Uljhi Uljhi Raahon Mein Wo Aanchal Thaame Aayeinge
Dharti, Phool, Aakaash Sitaare Sapna Sa Ban Jaayeinge

Kal Bhi Boondein Barsi Thin
Kal Bhi Baadal Chhaye The

Aur Kawi Ne Socha!

Aaj Bhi Boondein Barseingi
Aaj Bhi Baadal Chhaye Hain

Aur Kavi Is Soch Mein Hai

Basti Pe Baadal Chhaaye Hain, Par Ye Basti Kiski Hai
Dharti Par Amrit Barsegaa, Lekin Dharti Kiski Hai
Hal Jotegi Kheton Mein Allhad Toli Dahqaanon Ki
Dharti Se Phootegi Mehnat Faaqaakash Insaanon Ki
Faslein Kat Ke Mehnatkash, Galle Ke Dher Lagaayeinge
Jaageeron Ke Maalik Aakar Sab Poonji Le Jaayeinge
Boodhe Dahqaanon Ke Ghar Baniye Ki Qurqi Aayegi
Aur Qarze Ke Sood Mein Koi Gori Bechi Jaayegi
Aaj Bhi Jantaa Bhooki Hai Aur Kal Bhi Jantaa Tarsi Thi
Aaj Bhi Rimjhim Barkhaa Hogi, Kal Bhi Baarish Barsi Thi

Aaj Bhi Baadal Chaaye Hain
Aaj Bhi Boondein Barseingi

Aur Kavi Is Soch Mein Hai

[Sahir Ludhianvi]

-------------------------


Baarish Hui To Ghar Ke Dareeche Se Lage Ham
Chup-Chaap Sog-Vaar Tumhen Sochte Rahe

[Unknown]

-------------------------


Pattharon Ki Baarish Se Kaise Sar Bachaao Ge
Tum Agar Sitamgar Ko Aainaa Dikhaao Ge

[Manzar Bhopali]

-------------------------


Dharti Se Saawan Ki Boonden Milne Jab Bhi Aati Hain,
Us Ki Shikayat Karti Hain Kuchh Apna Dard Sunaati Hain.
Kuchh Rishte Naye Banaati Ehsaas Naya De Jaati Hain,
Har Ek Kali Ko Phool, Baagh Ko Gulshan Kar Jati Hain.
Chaahat Nayi Si Hoti Hai Armaan Naya De Jaati Hain,
Kuchh Khushi Ke Pal Kuchh Muskaan Nayi De Jaati Hain.

Dharti Se Sawan Ki Boonden Milne Jab Bhi Aati Hain,
Uski Shikayat Karti Hain Kuchh Apna Dard Sunati Hain.
Sookhe Kheton Se Jab Sondhi Si Khushboo Aati Hain,
Sooni Aankhon Mein Phir Se Ek Khwab Naya De Jaati Hain.
Kahin Pyar Naya Hota Hai Kahin Judaai De Jaati Hain,
Kahin Sawan Ke Jhoole Kahin Birha Ke Geet Sunaati Hain.

Dharti Se Sawan Ki Boonden Milne Jab Bhi Aati Hain,
Us Ki Shikayat Karti Hain Kuchh Apna Dard Sunaati Hain.

-------------------------


Barsat Ki Bheegi Raaton Mein Phir Koi Suhaani Yaad Aayi,
Kuchh Apna Zamaana Yaad Aaya Kuchh Unki Jawaani Yaad Aayi,
Hum Bhool Chuke They Jisne Hamein Duniya Mein Akela Chhor Diya,
Jab Ghaur Kiya To Ek Soorat Jaani Pehchaani Yaad Aayi.

-------------------------


Kisne Bheege Hue Baalon Se Ye Jhatkaa Pani,
Jhoom Ke Aayi Ghata Toot Ke Barasa Pani.

Koi Matawali Ghata Pee Ke Jawaani Ki Umang,
Dil Bahaa Le Gaya Barsat Ka Pehla Paani.

-------------------------


Mausam Hai Baarish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,
Barish Ke Har Qatre Se Aawaaz Tumhaari Aati Hai.

Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai,
Dil Ki Har Ek Dharkan Se Aawaaz Tumhaari Aati Hai.

Jab Tez Hawaayein Chalti Hain To Jaan Hamaari Jaati Hai,
Mausam Hai Baarish Ka Aur Yaad Tumhaari Aati Hai.

-------------------------


Barishon Ka Mausam Hai
Rooh Ki Fizaaon Mein
Gham-Zada Hawaaein Hain
Be-Sabab Udaasi Hai
Is Ajeeb Mausam Mein
Be-Qaraar Raaton Ki
Be-Shumaar Baatein Hain
Un-Ginat Fasaane Hain
Jo Bahot Khamoshi Se
Dil Pe Sehte Phirte Hain
Aur Ba-Amr-E-Majboori
Sab Se Kehte Phirte Hain
Aaj Mausam Achchaa Hai
Aaj Hum Bahot Khush Hain

-------------------------


Baarish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jaadu Karti Hain
Dil Se Khoon Ke Qatre Le Kar
Meri Aankhein Bharti Hain
Baarish Ke Is Dibaache Se
Kitne Manzar Khulte Hain
Khwab Sa Aalam, Lehja Madham,
Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Baarish, Pehli Khwaahish,
Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushboo, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Mein Padna
Jo Bhi Kehna Tashna Kehna
Toota Fiqra, Aadha Jumlaa,
Jalti Saansein, Thandi Aahein,
Bojhal Palkein, Saahir Aankhein,
Dhaani Joda, Sabz Dupatta,
Lambe Gesoo, Qatil Khushboo,
Ik Pehar Mein
Ik Jag Beeta
Maine Tera Baazoo Thama
Vasl Ki Is Pehli Baarish Mein
Kya Kuchh Khoya, Kya Kuchh Paaya
Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jaadu Karti Hain.

-------------------------


Baarishon Ke Mausam Mein,
Tum Ko Yaad Karne Ki,
Aadatien Purani Hain
Ab Ki Baar Sochaa Hai,
Aadatien Badal Daalein,
Phir Khayaal Aaya Ke
Aadatein Badalne Se
Baarishein Nahin Ruktin

-------------------------


Aaj Halki Halki Baarish Hai,
Aaj Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hai,

Aaj Phool Bhi Nikhre Nikhre Hain,
Aaj Un Mein Tumhara Aks Bhi Hai,

-------------------------


Barish Ki Tez Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaaze Par,
Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhaare Jaisa Tha,
Hawa Ke Halke Jhonke Ki Jab Aahat Huwi Khidki Par,
Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa Tha,
Main Tanha Chala Jab Baarish Mein, Ek Jhonke Ne Mera Saath Diya,
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Ehsaas Tumhaare Jaisa Tha,
Phir Ruk Gayi Woh Barish Bhi, Rahi Na Baaqi Aahat Bhi,
Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhaare Jaisa Tha.

-------------------------


Main Udas Rasta Hoon Shaam Ka ,Mujhe Aahaton Ki Talash Hai
Ye Sitaare Sab Hain Bujhe-Bujhe ,Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai
Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka Wo To Raaston Se Guzar Gaya
Mujhe Kab Se Rait Ke Shahar Mein Nai Baarishon Ki Talash Hai

-------------------------


Teri Qurbat Bhi Nahin Hai Mayassar,
Aur Din Baarishon Ke Aa Rahey Hain

-------------------------


Mera Shahar To Baarishon Ka Ghar Thehra
Yahan Ki Aankh Ho Ya Dil, Bahot Barasti Hain

-------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. good couplets chosen, no mediocrity
    thanks

    ReplyDelete

–>