Bewafaai Shayari

infidelty


Har Kisi Se Maangte Hain Ye Wafaaon Ka Saboot
Bewafaa Jab Se Wafaadaaron Ke Maalik Ho Gaye

[Manzar Bhopali]

-----------------------

Ham Se Sharmaata Hai Aaina Muqaabil Aa Kar
Bewafaa Hain Na Munaafiq Na Adaakaar Hain Ham

[Manzar Bhopali]

-----------------------

Har Ek Se Kahate Hain Ke ‘Daagh’ Bewafaa Nikla
Ye Poochhe In Se Koi Vo Ghulaam Kis Ka Tha

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

Tum Bhi Majaboor Ho Hum Bhi Majaboor Hain
Bewafaa Kaun Hai Aur Baa-Wafaa Kaun Hai

[Bashir Badr]

-----------------------

Baghair Us Bewafaa Se Ji Lagaaye
Jo Sach Poochho To Dil Kis Ka Lage Hai

[Kaleem Aajiz]

----------------------

Insaan Apne Aap Men Majaboor Hai Bahut
Koi Nahin Hai Bewafaa Afsos Mat Karo

[Bashir Badr]

-----------------------

Aashiqui Men Bahut Zaroori Hai
Bewafaai Kabhi Kabhi Kar Li

[Bashir Badr]

----------------------

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Meri Saadgi Dekh Kyaa Chaahata Hoon

[Allama Iqbal]

-----------------------

Gham To Ye Hai Ki Vo Ahad-E-Wafaa Toot Gaya
Bewafaa Koi Bhi Ho Tum Na Sahi Ham Hi Sahi

[Rahi Masoom Raza]

-----------------------

Mare Jaate Hain Teri Bewafaai Dekhne Vaale
Chiraagh-E-Subah Hai Shaam-E-Judaai Dekhane Vaale

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

‘Daagh’ Kyoon Tum Ko Bewafaa Kahta
Vo Shikaayat Ka Aadami Hi Nahin

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

Har Ek Se Kahte Hain Kyaa Daagh Bewafaa Nikla
Ye Poochhe In Se Koi Vo Ghulaam Kis Ka Tha

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

Qaasid Ki Guftagu Se Tasalli Ho Kis Tarah
Chhipti Nahin Wo Jo Teri Zabaan Ki Hai

[Daagh Dehlvi]

-------------------------

Hamen Bhi Doston Se Kaam Aa Pada Yaani
Hamaare Doston Ke Bewafaa Hone Ka Vaqt Aayaa

[Harichand Akhtar]

-----------------------

Haan Vo Nahin Khuda-Parast, Jaao Vo Bewafaa Sahi
Jis Ko Ho Deen-O-Dil Aziz Us Ki Gali Men Jaaye Kyun

[Mirza Ghalib]

-----------------------

Phir Usi Bewafaa Pe Marte Hain
Phir Vahi Zindagi Hamaari Hai

[Mirza Ghalib]

-----------------------

Qata’a Keejiay Na Ta’aluq Hum Se
Kuchh Nahin Hai To Adaawat Hi Sahi

[Mirza Ghalib]

-----------------------

Ab Jafa Se Bhi Hain Mehroom Ham Allah Allah
Is Qadar Dushman-E-Arbaab-E-Wafa Ho Jaana

[Ghalib]

-----------------------

Barse Baghair Hi Jo Ghataa Ghir Ke Khul Gai
Ek Bewafaa Kaa Ahad-E-Wafaa Yaad Aa Gayaa

[Khumar Barabankvi]

-----------------------

Bewafaa Tum Kabhi Na The Lekin
Ye Bhi Sach Hai Ki Bewafaa Se Rahe

[Javed Akhtar]

-----------------------

Ye Adaa-E-Beniyaazi Tujhe Bewafaa Mubaarak
Magar Aisi Berukhi Kya Ki Salaam Tak Na Pahunche

[Shakeel Badayuni]

-----------------------

Wafa-Sha’aar Kayi Hain Koi Haseen Bhi To Ho,
Chalo Phir Aaj Usi Bewafaa Ki Baat Karen

[Sahir Ludhianvi]

-----------------------

Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tum Ko,
Meri Baat Aur Hai Main Ne To Mohabbat Ki Hai

[Sahir Ludhianvi]

-----------------------

Dekha Mujhe To Tark-E-Taluq Ke Bawajood
Wo Muskura Diya Ye Hunar Bhi Ussi Ka Tha

[Ahmad Faraz]

-----------------------

Wo Zindagi Ho Ke Duniya ‘Faraz’ Kya Keejiye,
Ke Jis Se Ishq Karo Bewafa Nikalta Hai

[Ahmad Faraz]

-----------------------

Kyon Zamaane Ko Ilzaam Dein ‘Faraz’
Wo Nahin Hain To Be-Wafa Hain Hum

[Ahmad Faraz]

-------------------------

Khud Apne Aap Ko Parkhaa To Ye Nadaamat Hai
Ke Ab Kabhi Use Ilzaam-E-Bewafaai Na Doon

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Aa Ke Ab Tasleem Kar Len Tu Nahin To Main Sahi
Kaun Maanegaa Ke Ham Men Bewafaa Koi Nahin

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Wafa Ke Khwaab Mohabbat Ka Aasraa Le Jaa
Agar Chala Hai To Jo Kuchh Mujhe Diya Le Jaa

[Ahmad Faraz]

-------------------------

Wo Bewafa He Sahi Aao Us Ka Zikr Karein ‘Faraz’
Abhi To Umr Padi Hai Us Ko Bhulaane Ke Liye

[Ahmad Faraz]
-----------------------

Jis Ko Sab Be-Wafaa Samajhte Hon
Bewafaai Usi Se Mushkil Hai

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Is Qadar Musal-Sal Theen Shiddaten Judaai Ki
Aaj Pahli Baar Main Ne Us Se Bewafaai Ki

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Is Se Pahle Ke Bewafaa Ho Jaayen
Kyon Na Ai Dost Ham Judaa Ho Jaayen

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Payaam Aaye Hain Us Yaar-E-Bewafaa Ke Mujhe
Jise Qaraar Na Aayaa Kahin Bhulaa Ke Mujhe

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Kisi Bewafaa Ki Khaatir Ye Junoon Faraaz Kab Tak
Jo Tumhen Bhulaa Chukaa Hai Use Tum Bhi Bhool Jaao

[Ahmed Faraz]

-----------------------

Ham Baa-Wafa They Is Liye Nazron Se Gir Gaye
Shaayad Tumhen Talaash Kisi Bewafaa Ki Thi

[Unknown]

-----------------------

Nahin Shikvaa Mujhe Kuchh Bewafaai Ka Teri Hargiz
Gilaa Tab Ho Agar Tu Ne Kisi Se Bhi Nibhaai Ho

[Khwaja Meer Dard]

-----------------------

Teri Be-Wafaaiyon Pe, Teri Kaj-Adaaiyon Pe
Kabhi Sar Jhukaa Ke Roye Kabhi Munh Chhupaa Ke Roye

[Saifuddin Soz]

-----------------------

Aafaton Men Jaan-O-Dil Ka Daalnaa Bekaar Hai
Bewafaa Se Dil Lagaa Kar Kya Koi Phal Paaye Hai

[Jurrat]

-----------------------

Aap Ko Bhool Jaayen Ham Itne To Bewafaa Nahin
Aap Se Kyaa Gilaa Karen Aap Se Kuchh Gilaa Nahin

[Tasleem Fazli]

-----------------------

Ab Na Deje Zafar Kisi Ko Dil
Ki Jise Dekhaa, Bewafaa Dekhaa

[Bahadur Shah Zafar]

-----------------------

Badi Zaalim Nihaayat Bewafaa Hai
Ye Duniyaa Phir Bhi Kitni Khush-Numaa Hai

[Naresh Kumar Shad]

-----------------------

Bewafaa Bhi Ho Sitamagar Bhi Jafaa Peshaa Bhi
Ham Khuda Tum Ko Bana Lenge Tum Aao To Sahi

[Mumtaz Mirza]

-----------------------

Bewafaa Likhte Hain Vo Apani Qalam Se Mujh Ko
Ye Vo Qismat Ka Likhaa Hai Jo Mita Bhi Na Sakoon

[Ameer Minai]

-----------------------

Bewafaa To Na Vo The Na Ham
Yoon Huaa Bas Judaa Ho Gaye

[Nida Fazli]

-----------------------

Ai Dost Hum Ne Tark-E-Ta’aluq Ke Bawajood,
Mehsoos Ki Hai Teri Zaroorat Kabhi Kabhi

[Nasir Kazmi]

-----------------------

Wafa Tujh Se, Ai Be-Wafa Chahta Hoon
Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hoon

[Allama Iqbal]

-------------------------

Yeh Inaayaten Ghazab Ki, Yeh Bala Ki Meharbaani,
Meri Khairiyat Bhi Poochhi, Kisi Aur Ki Zubaani

[Nazeer Banarsi]

-----------------------

‘Qateel’ Apna Muqaddar Gham Se Begaana Agar Hota,
To Phir Apne Paraaye Hum Se Pehchaane Kahaan Jaate

[Qateel Shifai]

-----------------------

Karta Raha Jo Roz Mujhe Us Se Bad-Gumaan
Woh Shakhs Bhi Ab Us Ka Tamannaayi Ban Gaya

[Qateel Shifai]

-------------------------

Kabhu Jaaye Gi Udhar Saba To Yeh Kahiyo Us Se Ki Bewafa
Magar Ek ‘Meer’-E-Shikasta-Paa Tere Baagh-E-Taaza Mein Khaar Tha

[Meer Taqi Meer]

-----------------------

Duniya Ne Kis Ka Raah-E-Wafa Mein Diya Hai Saath
Tum Bhi Chale Chalo Yunhi Jab Tak Chali Chale

[Zauq]

-----------------------

Main Bhi Kuchh Khush Nahin Wafa Kar Ke
Tum Ne Bhi Achcha Kiya Nibaah Na Ki

[Momin]

-------------------------

‘Faiz’ Zinda Rahen Woh Hain To Sahi
Kya Huwa Agar Wafa-Sha’ar Nahin

[Faiz Ahmad Faiz]

-------------------------

Haal-E-Dil Sun Ke Woh Aazurda Hain, Shayed Un Ko
Is Hikaayat Pe Shikaayat Ka Gumaan Guzra Hai

[Abdul Majeed Saalik]

-----------------------

Bewafaa Tu Ne Mujhe Pyaar Kiya Hi Kyun Tha
Sirf Do-Chaar Savaalaat Ka Mauqa De De

[Qaiser Ul Jafri]

-----------------------

Dil Liyaa Jis Ne Bewafaai Ki
Rasm Hai Kyaa Ye Dil-Rubaai Ki

[Shefta]

-----------------------

Door Se Tha Vo Kai Chehron Mein Paas Se Koi Bhi Vaisaa Na Laga
Bewafaai Bhi Usi Kaa Thaa Chalan Phir Kisi Se Hi Shikaayat Na Hui

[Nida Fazli]

-----------------------

Ham Aksar Doston Ki Bewafaai Sah To Lete Hain
Magar Ham Jaante Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain

[Roshan Nanda]

-----------------------

Ho Jis Ada Se Mere Saath Bewafaai Kar
Ke Tere Baad Mujhe Koi Bewafaa Na Lage

[Qaiser Ul Jafri]

-----------------------

Is Men Kuchh Un Ki Jafaayen Bhi To Shaamil Hain Shamim
Bewafaai Ki Jo Tohmat Mere Sar Aai Hai

[Shamim Jaipuri]

-----------------------

Is Puraani Bewafaa Duniyaa Kaa Ronaa Kab Talak
Aaiye Mil Jul Ke Ik Duniyaa Nai Paidaa Karen

[Nazeer Banarasi]

-----------------------

Is Se Pahale Ki Saadgi Teri Lab-E-Khaamosh Ko Gilaa Kah De
Teri Majabooriyaan Na Dekh Sake Aur Dil Tujh Ko Bewafaa Kah De

[Saifuddin Saif]

-----------------------

Jab Mere Saare Charaagh-E-Tamannaa Havaa Ke Hain
Jab Mere Saare Khvaab Kisi Bewafaa Ke Hain

[Jaun Eliya]

-----------------------

Ji Men Aataa Hai Ke Us Shokh-E-Taghaaful Kesh Se
Ab Na Miliye Phir Kabhi Aur Bewafaa Ho Jaaiye

[Hasrat Mohani]

-----------------------

Jo Ye Daur Bewafaa Hai Tera Gham To Mustaqil Ho
Vo Hayaat-E-Aashiqi Kya Jo Davaam Tak Na Pahunche

[Yahya Jasdanwalla]

-----------------------

Kaam Aa Sakin Na Apni Wafaayen To Kyaa Karen
Ik Bewafaa Ko Bhool Na Jaayen To Kyaa Karen

[Akhtar Sheerani]

-----------------------

Kabhu Jaae Gi Udhar Sabaa To Ye Kahiyo Us Se Ki Bewafaa
Magar Ek Mir-E-Shikasta-Paa Tere Baagh-E-Taaza Men Khaar Thaa

[Meer Taqi Meer]

-----------------------

Main Chaahtaa Bhi Yahi Thaa Vo Bewafaa Nikle
Use Samajhane Kaa Koi To Silsilaa Nikle

[Wasim Barelvi]

-----------------------

Mujhe Mere Mitne Ka Gham Hai To Ye Hai
Tumhen Bewafaa Kah Rahaa Hai Zamaanaa

[Qamar Jalalvi]

-----------------------

Ye Jaan Tum Na Loge Agar Aap Jaayegi
Is Bewafaa Ki Khair Kahaan Tak Manaayen Ham

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

Zindagi Ke Udaas Lamhon Men
Bewafaa Dost Yaad Aate Hain

[Unknown]

-----------------------

Na Jaane Kyaa Hai Us Ki Be-Baak Aankhon Men
Vo Moonh Chhupa Ke Jaaye Bhi To Bewafaa Lage

[Qaiser Ul Jafri]

-----------------------

Naqsh-E-Divaar Kyoon Na Ho Aashiq
Hairat-Afzaa Hai Bewafaa Ki Adaa

[Wali Deccani]

-----------------------

Paayiye Kis Jagah Bataa Ai But-E-Bewafaa Tujhe
Umr-E-Guzashta Ki Tarah Ghum Hi Sadaa Suraag Hai

[Khwaja Mir Dard]

-----------------------

Raat Sapana Bahaar Ka Dekha Din Huaa To Ghubaar Sa Dekhaa
Bewafaa Vaqt Bezubaan Nikala Bezubaani Ko Naam Kya Den Ham

[Sudarshan Faakir]

-----------------------

Saari Duniyaa Ki Nazar Men Hai Meraa Ahad-E-Wafaa
Ek Tere Kahne Se Kyaa Main Bewafaa Ho Jaaoon Gaa

[Wasim Barelvi]

-----------------------

Sad Afsos Jaati Rahi Vasl Ki Shab
Zaraa Thahar Ai Bewafaa Kahte Kahte

[Momin Khan Momin]

-----------------------

Sar Jhukaao Ge To Patthar Devtaa Ho Jaae Gaa
Itnaa Mat Chaaho Use Voh Bewafaa Ho Jaae Gaa

[Bashir Badr]

-----------------------

Shehr-E-Wafaa Men Ab Kise Ahal-E-Wafaa Kahen
Ham Se Gale Milaa To Vo Hi Bewafaa Milaa

[Ayaz Jhanswi]

-----------------------

Tum Se Kyaa Kahen, Kitne Gham Sahe
Ham Ne Bewafaa Tere Pyaar Men

[Fana Nizami Kanpuri]

-----------------------

Tu Bewafaa Tu Meharbaan Ham Aur Tujh Se Bad-Gumaan
Ham Ne To Poochha Tha Zaraa Ye Vaqt Kyun Thahra Teraa

[Ibn-E-Insha]

-----------------------

Uth Ke Ik Bewafaa Ne De Di Jaan
Rah Gaye Saare BaaWafaa Baithe

[Khumar Barabankvi]

-----------------------

Us Bewafaa Kaa Shahar Hai Aur Ham Hain Doston
Ashk-E-Ravaan Ki Nahar Hai Aur Ham Hain Doston

[Munir Niazi]

-----------------------

Us Udoo-E-Jaan Ko Amjad Main Buraa Kaise Kahoon
Jab Bhi Aayaa Saamne Vo Bewafaa Achchaa Lagaa

[Amjad Islam Amjad]

-----------------------

Rakho Kisi Tarah To Sarokaar Meherbaan
Karte Raho Jafa Hi Wafa Gar Na Sake

[Nasikh]

-----------------------

Vo Charagh-E-Jaan Kabhi Jis Ki Lau, Na Kisi Havaa Se Nigoon Hui
Teri Bewafaai Ke Vaasavaa Use Chupke Chupke Bujhaa Gaye

[Amjad Islam Amjad]

-----------------------

Rakho Kisi Tarah To Sarokaar Meherbaan
Karte Raho Jafa Hi Wafa Gar Na Sake

[Nasikh]

-----------------------

Ghairon Se Kaha Tum Ne Ghairon Se Suna Tum Ne
Kuchh Hum Se Kaha Hota Kuchh Hum Se Suna Hota

[Chiragh Hasan Hasrat]

-------------------------

Un Ki Bewafaai Se Hamen Koi Shikvaa To Nahin
Gilaa To Apne Aap Se Hai Jo Un Ke Qaabil Na The

[Unknown]

-----------------------

Aisaa Bhi Nahin Ke Vo Laut Kar Na Aaye Gaa
Bewafaa Vo Sahi Par Itnaa Bhi Nahin

[Zor Dakkani]

----------------------------

Waabasta Meri Yaad Se Kuch Talkhiyan Bhi Thin,
Achcha Kiya Jo Mujh Ko Faraamosh Kar Diya

-----------------------

Ye Shahar Chhorna Hai Magar Is Se Peshtar
Uss Bewafaa Ko Ek Nazar Dekhna Bhi Hai

-----------------------

Merey Zawaal Se Pehle Woh Mujhe Chhor Gaya
Haseen To Thha Hi! Zaheen Kitna Thaa

-----------------------

Yunhi Mausam Ki Ada Dekh Ke Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insaan Jaanaan

-----------------------

Na Jaane Kya Kaha Tha Doobn Waale Ne Samandar Se,
Ke Lahren Aaj Tak Saahil Pe Apnaa Sir Patakhti Hain

-----------------------

Phir Is Duniya Se Ummeed-E-Wafa Hai
Tujhe Ai Zindagi Kya Ho Gaya Hai

-----------------------

Ab Hamen Bhi Aa Pada Hai Doston Se Kuchh Kaam
Ya’ani, Hamaare Doston Ko Bewafa Hone Ka Waqt Aaya

-----------------------

Teri Majbooriyan Durust Magar,
Tera Waada Tha Yaad Rakhne Ka

-----------------------

Saabit Huwa Ke Mujh Sey Mohabbat Nahin Rahi,
Wo Shakhs Mujh Ko Dekh Kar Aankhen Chura Gaya

-----------------------

Khaali Hai Dil Faqeer Ke Kashkol Ki Tarhah,
Iss Sheher-E-Bewafa Se Wafaa Kaun Le Gaya

-----------------------

Rehney De Yeh Kitaab Terey Kaam Ki Nahin,
Is Mein Likhe Hue Hain Wafaaon Ke Tazkerey

-----------------------

Hoti Hai Tere Naam Se Wehshat Kabhi Kabhi
Barham Hui Hai Yun Bhi Tabiyat Kabhi Kabhi

-----------------------

Wo Apni Zindagi Mien Huwa Masroof Itna,
Wo Kis Kis Ko Bhool Gaya Usay Yeh Bhi Yaad Nahin

-----------------------

Neend Bhi Mehbooba Ban Gayi Hai,
Bewafaa Raat Bhar Nahin Aati

-----------------------

Ta’aluq Jis Qadar Mazboot Tha Utna Hi Naazuk Tha
Zaraa Si Be-Niyaazi Ne Wafaa Naa-Mo’tabar Kar Di

-----------------------

Zahir Mein Jo Karta Hai Bade Pyar Ki Baatain,
Andar Se Wohi Shakhs Hamaara Nahin Hota

-----------------------

Shayad Tumhaare Sath Bhi Waapis Na Aa Saken,
Woh Walwale Jo Saath Tumhaare Chale Gaye

-----------------------

Zamana-Saaz Nikle Tum To Kya Hai,
Zara Si Baat Ko Kya Dein Hawa Hum

-----------------------

Yeh Inaayaten Ghazab Ki, Yeh Balaa Ki Meharbani,
Meri Khairiyat Bhi Poochhi, Kisi Aur Ki Zubani

-----------------------

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko,
Sametni Theen Jisey Meri Kirchiyan Mohsin

-----------------------

Khaali Hain Dil Faqeer Ke Kashkol Ki Tarah,
Iss Shahr-E-Bewafa Se Wafa Kaun Le Gaya

-----------------------

Maana Ke Woh Ek Khwaab Tha, Dhokha Nazar Ka Tha
Us Bewafa Sey Rabt Magar Umr Bhar Ka Tha

-------------------------

Mujh Mein Aisi Hi Khaami Dekhi Us Ne
Tark-E-Wafa Warna Itna Aasaan Nahin

-------------------------

Mujhe Wafa Ki Talab Hai Magar Har Ek Se Nahin
Koi Mile Magar Us Yaar-E-Bewafa Ki Tarah

-------------------------

Waada Jo Tha Nibah Ka Tum Ne Wafa Nahin Kiya
Hum Ne To Aaj Tak Tumhen Dil Se Juda Nahin Kiya

-------------------------

Sar-E-Mehfil Mujhi Se Parda Karna Tha Tujhe Zaalim
Phir Us Par Yeh Qayamat Ghair Ke Daaman Se Munh Dhaanpa

-------------------------

Ghairon Se Iltifaat Pe Toka To Yeh Kaha
Duniya Mein Baat Bhi Na Karen Kya Kisi Se Hum

-------------------------

Ghairon Ko Kya Padi Hai Ke Ruswa Karen Mujhey
In Saazishon Mein Haath Kisi Aashna Ka Hai

-------------------------

Bewafaai Ka Ab Gilaa Kaisa
Aap Pahle Bhi Kab Hamaare The

Meri Aankhon Men Phailte Hue Rang
Kal Talak Aap Ko Bhi Pyaare The

-----------------------

Badi Zalim Nihayat Bewafa Hai
Ye Duniya Phir Bhi Kitni Khush-Numa Hai
Har Ik Apne Hi Gham Mein Mubtila Hai
Kisi Ke Dard Se Kaun Aashna Hai
Mere Naqqad Meri Shayari To
Mere Toote Huye Dil Ke Sada Hai
Kahan Hoon Shaad Main To ‘Shaad’ Sa Hoon
Wo ‘Shaad’-E-Khush-Nava To Mar Chuka Hai

[Naresh Kumar Shaad]

-----------------------

Na Rava Kahiye Na Saza Kahiye
Kahiye Kahiye Mujhe Bura Kahiye
Dil Mein Rakhne Ki Baat Hai Gham-E-Ishq
Is Ko Hargiz Na Barmala Kahiye
Vo Mujhe Qatl Kar Ke Kahte Hain
Maanta Hi Na Tha Ye Kya Kahiye
Aa Gayi Aap Ko Masihaai
Marne Vaalon Ko Marhaba Kahiye
Hosh Udne Lage Raqeebon Ke
‘Daagh’ Ko Aur Bewafaa Kahiye

[Daagh Dehlvi]

-----------------------

Ek Muddat Se Mere Haal Se Begaana Hai,
Jaane Zaalim Ne Kis Baat Ka Bura Maana Hai,
Main Jo Ziddi Hoon To Woh Bhi Hai Anaa Ka Qaidi,
Mere Kehne Per Kahaan Us Ne Chale Aanaa Hai

-----------------------

Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Munh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To Hoga
Agar Na Kiya Hai Haasil Kuchh Hum Ne Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>