18 September 2016

Ghalib - Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar


Hai Bas Ki Har Ek Un Ke Ishaare Mein Nishaan Aur
Karte Hain Muhabbat To Guzarta Hai Giraan Aur

Yaa Rab! Woh Na Samjhe Hain Na Samjhen Ge Meri Baat
Dey Aur Dil Un Ko, Jo Na De Mujh Ko Zabaan Aur

Abroo Se Hai Kya Us Nigah-E-Naaz Ko Paiwand
Hai Teer Muqarrar Magar Uski Hai Kamaan Aur

Tum Shaher Mein Ho To Hamein Kya Ghum, Jab Uthen Ge
Le Aayen Ge Bazaar Se Jaa Kar Dil-O-Jaan Aur

Har Chand Subuk-Dast Huwe But-Shikani Mein
Hum Hain To Abhi Raah Mein Hai Sung-E-Geraan Aur

Hai Khoon-E-Jigar Josh Mein, Dil Khol Ke Rota
Hote Jo Kai Deeda-E-Khoon Naa Ba-Fishaan Aur

Marta Hoon Is Aawaz Pe, Har Chand Ki Sar Ud Jaaye
Jallad Ko Lekin Woh Kahe Jaayen Ki "Haan' Aur"

Logon Ko Hai Khurshid-E-Jahan-Taab Ka Dhoka
Har Roz Dikhaata Hoon Ek Dagh-E-Nihaan Aur

Leta, Na Agar Dil Tumhen Deta, Koi Dam Chain
Karta, Jo Na Marta Koi Din, Aah-O-Fughaan Aur

Paatey Nahin Jab Raah, To Chadh Jaate Hain Naale
Rukti Hai Meri Taba’ To Hoti Hai Rawaan Aur

Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achche
Kahte Hain Ki ‘Ghalib’ Ka Hai Andaaz-E-Bayaan Aur

-----------------------------------

17 September 2016

Ghalib - Hai Kis Qadar Halak-E-Fareb

Hai Kis Qadar Halak-E-Fareb


Hai Kis Qadar Halak-E-Fareb-E-Wafa-E-Gul
Bulbul Ke Karobar Pe Hain Khandha-Haa-E-Gul

Aazadi-E-Naseem Mubarak Ki Har Taraf
Toote Padein Hain Halqa-E-Daam-E-Hawa-E-Gul

Jo Tha, So Mauj-E-Rung Ke Dhoke Mein Mar Gaya
Ai Waaye Naala-E-Lab-E-Khoonee Nawa-E-Gul!

Khush-Haal Us Hareef-E-Siyah Must Ka Ki Jo
Rakhta Ho Misl-E-Saaya-E-Sar Ba-Paa-E-Gul

Eejaad Karti Hai Usey Terey Liye Bahar
Mera Raqeeb Hai Nafas-E-Itr-Saa-E-Gul

Sherminda Rakhte Hain Mujhe Baad-E-Bahar Se
Meenaa-E-Be Sharab-O-Dil-E-Be Hawaa-E-Gul

Satwat Se Terey Jalwa-E-Husn-E-Ghayoor Ki
Khoon Hai Meri Nigah Mein Rung-E-Ada-E-Gul

Tere Hi Jalwe Ka Hai Ye Dhoka Ki Aaj Tak
Be Akhtiyar Daude Hai Gul Dar Qaza-E-Gul

‘Ghalib’ Mujhe Hai Us Se Hum-Aaghoshi Arzoo
Jiska Khayal, Hai Gul-E-Jaib-E-Qaba-E-Gul

---------------------------

14 September 2016

Ghalib - Ghafil, Ba-Wahem-E-Naaz Khud Aaraa

Ghafil, Bawaheme naaz

Ghafil, Ba-Wahem-E-Naaz Khud Aaraa Hai, Warna Yaan
Be Shaana-E-Saba Nahin Turrah Giyaah Ka

Bazm-E-Qadah Se Aish-E-Tamanna Na Rakh Ki Rung
Said-E-Zadaam Jasta Hai Is Daam Gaah Ka

Rahmat Agar Qabool Kare, Kya Ba’eed Hai
Sharmindagi Se Uzr Na Karna Gunaah Ka

Maqtal Ko Kis Nishat Se Jaata Hoon Main Ki Hai
Pur Gul, Khayal-E-Zakham Se Daaman Nigaah Ka

Jaan Dar Hawaa-E-Yak Nigah-E-Garm Hai, ‘Asad’
Parwana Hai Wakeel Terey Daad-Khwaah Ka

-----------------------------------
Ghalib - Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi

Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi


Gila Hai, Shauq Ko, Dil Mein Bhi Tangi-E-Jaa Ka
Guhar Mein Maho Huwa Izteraab Dariya Ka

Yeh Jaanta Hoon Ki Tu Aur Pasukh-E-Maktoob!
Magar Sitam-Zadah Hoon, Zauq-E-Khaama Farsa Ka

Hena-E-Paa-E-Khizaan Hai, Bahaar Agar Hai Yehi
Dawaam-E-Kulfat-E-Khatir Hai, Aish Duniya Ka

Gham-E-Firaq Mein, Takleef Sair-E-Gul Mat Do
Mujhe Dimagh Nahin Khanda-Haa-E-Bejaa Ka

Hunooz Mahrami-E-Husn Ko Tarasta Hoon
Kare Hai Har Bun-E-Moo, Kam Chashm-E-Beena Ka

Dil Us Ko Pahle Hi Naaz-O-Ada Se De Baithe
Hamein Dimagh Kahan, Husn Ke Taqaaza Ka

Na Kah Ki Girya Ba-Miqdaar-E-Hasrat-E-Dil Hai
Meri Nigah Mein Hai Jama’ Wa Kharch Dariya Ka

Falak Ko Dekh Ke Karta Hoon Us Ko Yad ‘Asad’
Jafaa Mein Uski Hai Andaz-E-Kaar-Ferma Ka

---------------------------------

Ghalib - Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko

Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko


Ghuncha-E-Na-Shagufta Ko Door Se Mat Dikha, Ke Yon
Bosey Ko Poochhta Hoon Main, Munh Sey Bata Ke Yon

Pursish-Terz-E-Dilbari Keejiye Kya Ke Bin Kahe
Us Ke Har Ek Ishaare Sey Nikle Hai Yeh Ada Ke Yon

Raat Ke Waqt Mai Piye, Saath Raqeeb Ko Liye
Aaye Woh Yaan Khuda Kare, Par Na Kare Khuda Ke Yon

Ghair Se Raat Kya Bani, Yeh Jo Kaha, To Dekhiye
Saamne Aan Baithna, Aur Yeh Dekhna Ke Yon

Bazm Mein Us Ke Ru-Ba-Ru Kyon Na Kamosh Baithiye
Us Ki To Khamoshi Mein Bhi Hai Yahi Mudda’a Ke Yon

Main Ne Kaha Ke Bazm-E-Naaz Chaahiye Ghair Se Tahi
Sun Ke, Sitam Zareef Ne Mujh Ko Utha Diya Ke Yon

Mujh Se Kaha Jo Yaar Ne, Jaate Hain Hosh Kis Tarah
Dekh Ke Meri Bekhudi Chalne Lagi Hawa Ki Yon

Kab Mujhe Koo-E-Yaar Mein Rahne Ki Waza’ Yaad Thi
Aayina-Daar Ban Gayi Hairat-E-Naqsh-E-Paa Ke Yon

Gar Tere Dil Mein Ho Khayaal, Wasl Mein Shauq Ka Zawaal
Mauj-E-Muheet-E-Aab Mein Maare Hai Dast-O-Paa Ke Yon

Jo Yeh Kahe Ki ‘Rekhta’ Kyon Kar Ho Rashk-E-Farsi
Gufta-E-‘Ghalib’ Ek Bar Padh Ke Us Ko Suna Ke Yon

----------------------------------

12 September 2016

Ghalib - Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat

Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat


Gar Na Andoh-E-Shab-E-Furqat Bayan Ho Jaaye Ga
Be Takalluf Daahg-E-Mah, Mohr-E-Dahaan Ho Jaaye Ga

Zuhra Gar Sham-E-Hijr Mein Hota Hai Aab
Pataw-E-Mahtab-E-Seel-E-Khanmaan Ho Jaaye Ga

Le To Loon Sote Mein Uske Paun Ka Bosa Magar
Aisi Baton Se Woh Kafir Badgumaan Ho Jaaaye Ga

Dil Ko Hum Sarf-E-Wafa Samajhe They, Kya Maloom Tha
Ya’ni Yeh Pahle Hi Nazr-E-Imtehaan Ho Jaaye Ga

Sab Ke Dil Mein Hai Jagah Jo Too Raazi Hua
Mujh Pe Goya Ek Zamana Meherbaan Ho Jaaye Ga

Gar Nigah-E-Garm Farmaati Rahi Taleem-E-Zabt
Sho’la Khas Mein, Jaise Khoon Rag Mein Nihaan Ho Jaaye Ga

Bagh Mein Mujh Ko Na Le Jaa Warna Mere Haal Par
Har Gul-E-Tar, Ek Chashm-E-Khoon-Fishaan Ho Jaaye Ga

Waai Gar Mera Tera Insaf Mahshar Mein Na Ho
Ab Talak To Yeh Tawaqqo’ Hai Ki Waan Ho Jaaye Ga

Faayeda Kya, Soch, Aakhir Too Bhi Daana Hai ‘Asad’
Dosti Naadaan Ki Hai, Jee Ka Zeyaan Ho Jaaye Ga

---------------------------------

11 September 2016

Ghalib - Ek Ek Qatre Ka Mujhe Dena Pada Hisab

Ek Ek Qatre Ka Mujhe Dena Pada Hisab


Ek Ek Qatre Ka Mujhe Dena Pada Hisab
Khoon-E-Jigar Wa Dee’at-E-Mizgan-E-Yaar Tha

Ab Main Hoon, Aur Maatam-E-Yak Shahr-E-Arzo
Toda Jo Tu Ne Aayina-E-Tamsaal-E-Daar Tha

Galiyon Mein Meri Na’sh Ko Kheenche Phiro Ki Main
Jaan Daada Hawaai-E-Sar-E-Rahguzaar Tha

Mauj-E-Saraab-E-Dasht-E-Wafa Ka Na Pooch Haal
Her Zarrah Misl-E-Jauhar-E-Tegh Aabdaar Tha

Kam Jaante They Hum Bhi Gham-E-Ishq Ko, Par Ab
Dekha, To Kam Huwe Pa Gham-E-Rozgaar Tha

---------------------------------

Ghalib - Dost, Gham-Khwaari Mein Meri

Dost, Gham-Khwaari Mein Meri


Dost, Gham-Khwaari Mein Meri Sa’yee Farmaayen Ge Kya
Zakhm Ke Bharne Talak Naakhun Na Badh Jaayen Ge Kya

Be-Neyaazi Had Se Guzri, Band-Parwar, Kab Talak
Hum Kahen Ge Haal-E-Dil Aap Farmaa Den Ge Kya

Hazrat-E-Naseh Gar Aayen, Deeda-O-Dil Farsh-E-Raah
Koi Mujh Ko Yeh To Samjha Do Ki Samjhaayen Ge Kya

Aaj Waan Tegh-O-Kafan Baandhe Huwe Jaata Hoon Main
Uzr Mere Qatal Karne Mein Woh Ab Laayen Ge Kya

Gar Kiya Naseh Ne Hum Ko Qaid, Achcha, Yon Sahi
Yeh Junoon-E-Ishq Ke Andaz Chhut Jaayen Ge Kya

Khaana-Zaad-E-Zulf Hain, Zanjeer Se Bhaagen Ge Kyon
Hain Giraftar-E-Wafa, Zindaan Se Ghabraayen Ge Kya

Hai Ab Is Ma’moorey Mein Qaht-E-Gham-E-Ulfat, ‘Asad’
Hum Ne Yeh Maanaa Ke Dilli Mein Rahen, Khaayen Ge Kya

-----------------------------------