Firaq - Kisi Ka Yun Toh Hua Kaun Umar Bhar Phir Bhi

Kisi Ka Yun Toh Hua Kaun Umar Bhar Phir Bhi
Ye Husn-O-Ishq Toh Dhokha Hai Sab Magar Phir Bhi

Hazaar Baar Zamana Idhar Se Guzra Hai
Nayi Nayi Si Hai Kuch Teri Rahguzar Phir Bhi

Khusha Ishara-E-Paiham Zahe-Sakoot-E-Nazar
Daraaz Ho Ke Fasana Hai Mukhtsar Phir Bhi

Jhapak Rahi Hain Zaman-O-Makaan Ki Bhi Aankhen
Magar Hai Kaafila Aamada-E-Safar Phir Bhi

Shab-E-'Firaq' Se Aage Hai Aaj Meri Nazar
Ki Kat Hi Jayegi Ye Sham-E-Be_Sahar Phir Bhi

Kahin Yahi Toh Nahin Kaashif-E-Hayat-O-Mam'aat
Ye Husn-O-Ishq Bazaahir Hai Bekhabar Phir Bhi

Palat Rahe Hain Garib_Ul_Vatan Paltana Tha
Vo Kucha Ruu-Kashe-Zannat Ho Ghar Hai Ghar Phir Bhi

Luta Hua Chamn-E-Ishq Hai Nigahon Ko
Dikha Gaya Vahi Kya Kya Gul-O-Samar Phir Bhi

Kharab Ho Ke Bhi Socha Kiye Tere Mehzoor
Yahi Ki Teri Nazar Hai Teri Nazar Phir Bhi

Ho Be_Niyaaz-Asar Bhi Kabhi Teri Mitti
Vo Kimiya Hi Sahi Reh Gayi Kasar Phir Bhi

Lipat Gaya Tera Diwana Garche Manzil Se
Uddi Uddi Si Hai Kuch Khaaq-E-Rahguzar Phir Bhi

Teri Nigah Se Bachne Mein Umar Guzri Hai
Utar Gaya Rag-E-Jaan Mein Yaa Neshtar Phir Bhi

Gham-E-'Firaq' Ke Kushton Ka Hashr Kya Hoga
Ye Sham-E-Hizr Toh Ho Jayegi Sahar Phir Bhi

Fana Bhi Ho Ke Garanbaari-E-Hayat Na Pooch
Uthaye Uth Nahi Sakta Ye Dard-Sar Phir Bhi

Sitam Ke Rang Hain Har Iltafaat-E-Pinah Mein
Karamnuma Hain Tere Zor-E-Sar-Basar Phir Bhi

Khata Muaaf Tera Afav[Maufi] Bhi Hai Misl-E-Saza
Teri Saza Mein Hai Ik Shaan-E-Darguzar Phir Bhi

Agarche Bekhudi-E-Ishq Ko Zamana Hua
'Firaq' Karti Rahi Kaam Vo Nazar Phir Bhi

    --------------------

Post a Comment

5 Comments

  1. Zabardast Firaq Ji,

    " Acche acchho ko khatir me layi naa aaj tak,

    Oonchi hai kis kadar teri neechi Nigaah bhi"

    ReplyDelete
  2. Could anyone refer me in findiing this poetry's translation or provide us readers with one. There are many readers wwho are not very familiar with urdu. It be a great service. Thanks.

    ReplyDelete
  3. Could anyone refer me in findiing this poetry's translation or provide us readers with one. There are many readers wwho are not very familiar with urdu. It be a great service. Thanks.

    ReplyDelete
  4. Could anyone refer me in findiing this poetry's translation or provide us readers with one. There are many readers wwho are not very familiar with urdu. It be a great service. Thanks.

    ReplyDelete

–>