Ghalib - Hazaaron Khwaahishen Aisi Ki Har Khwaaish Pe Dam Nikle

Hazaaron Khwaahishen Aisi

Hazaron Khwahishen Aisi Ki Har Khwaish Pe Dam Nikle,
Bahut Nikle Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Nikle,

Dare Kyon Mera Qaatil Kya Rahega Uski Gardan Par,
Wo Khoon Jo Chashm-E-Tar Se Umr Bhar Yoon Dam-Ba-Dam Nikle,

Nikalnaa Khuld Se Aadam Kaa Sunte Aaye Hain Lekin,
Bahut Be-Aabroo Hokar Tere Kooche Se Ham Nikle,

Bharam Khul Jaaye Zaalim Tere Qaamat Ki Daraazi Ka,
Agar Is Turra-E-Purpech-O-Kham Ka Pech-O-Kham Nikle,

Magar Likhwaaye Koi Us Ko Khat To Ham Se Likhwaaye,
Hui Subah Aur Ghar Se Kaan Par Rakh Kar Qalam Nikle,

Hui Is Daur Men Mansoob Mujh Se Baada-Ashaami,
Phir Aaya Vo Zamaana Jo Jahaan Se Jaam-E-Jam Nikle,

Hui Jin Se Tavaqqo Khastagi Ki Daad Paane Ki,
Wo Ham Se Bhi Ziyaada Khasta-E-Tegh-E-Sitam Nikle,

Muhabbat Men Nahin Hai Farq Jeene Aur Marne Ka,
Usi Ko Dekh Kar Jeete Hain Jis Kaafir Pe Dam Nikle,

Zara Kar Jor Seene Par Ki Teer-E-Pursitam Nikle,
Jo Wo Nikle To Dil Nikle Jo Dil Nikle To Dam Nikle,

Khuda Ke Vaaste Parda Na Kaabe Se Utha Zaalim,
Kahin Aisa Na Ho Yaan Bhi Wahi Kaafir Sanam Nikle,

Kahan Maikhane Ka Darawaza 'Ghalib' Aur Kahaan Vaaiz,
Par Itna Jaante Hain Kal Vo Jaata Tha Ke Ham Nikle

--------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>