Aatish - Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai

Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si

Ai Sanam Jis Ne Tujhe Chaand Si Soorat Di Hai
Usi Allah Ne Mujh Ko Bhi Mohabbat Di Hai

Tegh Be-Aab Hai, Baazu-E-Qaatil Kamzor
Kuch Giraan Jaani Hai, Maut Befursat Di Hai

Koi Akseer Ghazi Dil Nahin Rakhti Aisa
Khaaksari Nahin Di Hai Daulat Di Hai

Furqat-E-Yaar Mein Ro Ro Ke Basar Karta Hoon
Zindagi Mujhe Kya Di Hai Museebat Di Hai

Yaad-E-Mehboob Faramosh Na Huye Ai Dil
Husn-E-Neeyat Ne Mujhe Ishq Si Ne’mat Di Hai

Gosh Paida Kiye Sun Ne Ko Tera Zikr-E-Jamaal
Dekh Ne Ko Tere Aankhon Mein Basaarat Di Hai

Lutf-E-Dilbastagi-E-Aashiq-E-Shaida Na Pooch
Do Jahaan Se Is Asseeri Ne Faraaghat Di Hai

Kamar-E-Yaar Ke Mazmoon Ko Baandh Aaye ‘Aatish’
Zulf Khubaan Si Mere Gham Ko Tabiyat Di Hai

------------------

Post a Comment

0 Comments

–>