Aatish - Taar Taar Pairahan Hain Bhar Gayi Hai Boo-E-Dost


Taar Taar Pairahan Hain

Taar Taar Pairahan Hain Bhar Gayi Hai Boo-E-Dost
Misle Tasweer Nihaali Main Hoon Ya Pahlu-E-Dost

Hijr Ki Shab Ho Gayi Roz-E-Qayamat Se Daraaz
Dosh Se Neeche Nahin Utre Abhi Gesu-E-Dost

Daagh-E-Dil Par Khair Guzri To Ghanimat Jaaniye
Dushman-E-Jaan Hain Jo Aankhen Dekhti Hain Soye Dost

Farsh-E-Gul Bistar Tha Apna, Khaak Par Sote Hain Ab
Khisht Zer-E-Sar Nahin Yaa Takia Tha Zaanu-E-Dost

Yaad Kar Ke Apni Barbaadi Ko Rote Hain Hum
Jab Udaati Hain Hawaaein Tund Khaak-E-Koo-E-Dost

Is Balaa-E-Jaal Se ‘Aatish’ Dekhiye Kyunkar Nibhe
Dil Siwa Sheeshe Se Naazuk, Dil Se Naazuk Khoo-E-Dost

-----------------------


Post a Comment

0 Comments

–>