Aatish - Tadapte Hain Na Rote Hain Na Ham Fariyad Karte Hain


Tadapte Hain Na Rote Hain Na Ham Fariyad Karte Hain,
Sanam Ki Yaad Mai'n Har-Dam Khuda Ko Yaad Karte Hain,

Unhi'n Ke Ishq Main Ham Nala-O-Fariyad Karte Hain,
Ilahi Dekhiye Kis Din Hamai'n Wo Yaad Karte Hai'n,

Shab-E-Furqat Mai'n Kya Kya Sanp Lahrate Hain Seene Par,
Tumhari Kakul-E-Pechan Ko Jab Ham Yaad Karte Hain. 

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>